Mein to nadan tha Danista bhi kya kya na kiya
Laaj rakh li Mere Sarkar ne ruswa na kiya
Ye kabhi unki sakhawat ne gawara na kiya
Wo ghar baithe hi mil jata hai
Jo likha ho mukaddar mein
Jo kismat mein na likha ho
Wo milta hai Madine se
Joli khali liye laute koi unke dar se
Ye kabhi unki sakhawat ne gawara na kiya
Jis taraf dekhiye Sarkar nazar aate hein
Aesa lagta hai ke Sarkar ne parda na kiya
Roshni jitni Teri yaad ne failayi hai
Maaho Khurshid ne bhi itna ujala na kiya
Ye bhi Allah ka ek khas karam hai ke Waqqar
Jis pe khud shayda hein uska hame diwana kiya
Laaj rakh li Mere Sarkar ne ruswa na kiya