Duniya Bhar mein Fazle Rabb se Charche hein Attar ke
Badhe Badhe Gun Gaate hein Inke Suthre Kirdar ke
Duniya Bhar mein Fazle Rabb se Charche hein Attar ke
Mere Murshid Sohne Murshid Zulfein Jinki Pyari
Sarpe Sabz Imama hai Chehre pe Pyari Dahdi
Roohani Jalwe hein Mere Murshid ke Rukhsar ke
Darse Shariyat dene wale Mere Shaikhe Tarikat hein
Gause Paak ke Sadke mein Waliyon se rakhte akidat hein
Pakke Razwi Aashiq hein Ye Nabiyon ke Sardar ke
Duniya Bhar mein Fazle Rabb se Charche hein Attar ke
Sidhi Balochi Kishto Punjabi ka Sab Fark Mitaya hai
Jo bhi Aaya Paas mein Inke Usko Gale Lagaya hai
Murshid Unse Pyar hein Karte Jo Aashiq Sarkar ke
Paygame Sunnat ko Duniya bhar mein Yun Pahunchaya hai
Jo bhi Bola Uspe Pehle Karke Amal Dikhaya hai
Asia Yorop Wale hein Gardida Inke Pyar ke
Duniya Bhar mein Fazle Rabb se Charche hein Attar ke
Inke Chahne Wale Karodon Lakhon Jaan Lutate hein
Inke Diwanon mein Zamzam Aur Farook bhi aate hein
Hein Mushtak Mahak Dekho Attar ke Gulzar ke
Duniya Bhar mein Fazle Rabb se Charche hein Attar ke
Jinke Amal ko dekh ke Mujreem Dil se Taeeb hote hein
Fazle Rabb se Kitne hi Islam mein dakhil hote hein
Shukre Khuda ke Murshid hein Wo Afzal se Badkar ke
Duniya Bhar mein Fazle Rabb se Charche hein Attar ke