Paat Vo Kuchh , Dhaar Ye Kuchh , Zaar Ham Ya Ilahi Kyu Kar Utre Paar Ham Kis Bala Ki Mai Se Hai Sarshar Ham Din Dhala Hote Nahi Hushyaar Ham Tum Karam Se Mushtari Har Aib Ke Jinse Naa Makbool-e-Har Bazaar Ham Dushmano Ki Ankh Mai Bhi Fuul Tum Doston Ki Bhi Nazar Mai Khaar Ham Lagzish-e-Paa Ka Sahara Ek Tum Girne Vaale Lakhon Na Hanjaar Ham Sadka Apne Baazuon Ka Al Madad Kaise Tode Ye But-e-Bandaar Ham Apni Rehmat Ki Taraf Dekhen Huzur Jante hai Jaise Hai Badkaar Ham Apne Kuche Se Nikale To Na Do Hai To Had Bhar Ke Khudai Khaar Ham Haath Utha Kar Ek Tukda Ae Kareem Hai Sakhi Ke Maal Mai Hakdaar Ham Nazishain Karte Hai Apas Mai Malak Hai Gulaman-e-Shahe Abraar Ham Un Ke Aage Da'ava-e-Hasti Raza Kya Bake Jaata Hai Ye Har Baar Ham