Aaya na hoga Is Tarha Rango Shabaab ret par Lyrics

Aaya na hoga Is Tarha Rango Shabaab ret par
Gulshane Faatima ke the Saare Gulaab ret par

Jaane Batul ke Siwa koi nahin khila saka
Katara-e-Aab ke bigair Itne Gulaab ret par

Tarse Husain Aab ko Mein Jo kahun be-Adab
Lamse Labe Husain ko Tarsa hai Aab ret par

Ishq mein Kya Lutaeeye Ishq mein Kya Bachaeeye
Aale Nabi ne likh diya Saara Nisaab ret par

Lazzate Sozeeshe Bilaal Shoqe Shahadate Husain
Jisne liya yunhi liya Apna Khitaab ret par

Jitne Suwaal Ishq ne Aale Rasool se kiye
Ek se badh kar Ek diya Sab ne Jawaab ret par

Aale Nabi ka Kaam tha Aale Nabi hi kar gaye
Koi na Likh saka Adee esi Kitaab ret par

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Sikka Chalega Amena ka Laal ka Lyrics / सिक्का चलेगा आमेना के लाल का / سکہ چلے گا آمنہ کے لال کا

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Hum Apne Nabi Pak se yun Pyar karenge Lyrics / हम अपने नबी पाक से यूँ प्यार करेंगे

Har Desh mein gunjega Ab Ya Rasool-allah Lyrics Full / हर देश में गूंजेगा, अब या रसूलल्लाह / ہر دیش میں گونجے گا، اب یا رسول اللہ

Dekhte kya ho Ahle Safa Lyrics / देखते क्या हो अहले सफ़ा / دیکھتے کیا ہو اہلِ صفا

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है