Kuchh Esa Karde Mere Kirdagar Ankho Mai


Kuchh Esa Kar De Mere Kirdagar Ankhon Mai
Hamesha Naksh Rahe Rooh-e-Yaar Ankhon Mai

Vo Noor De Mere Parvardigar Ankho Mai
Ke Jalva-e-Ghar Rahe Rukh Ki Bahar Ankho Mai

Basa Hua Hai Koi Ghul Azar Ankho Mai
Khila Hai Chaar Taraf La La Zaar Ankhon Mai

Unhe Na Dekha To Kis Kaam Ki Hai Ye Ankhen
Ke Dekhne Ki Hai Saari Bahar Ankhon Mai

Nazar Mai Kese Samaenge Ful Jannat Ke
Ke Bas Chuke Hai Madeene Ke Khaar Ankhon Mai

Ajab Nahi Ke Likha Loh Ka Nazar Aae
Jo Naksh-e-Paa Ka Lagaoo Gubaar Ankho Mai

Ye Kya Suvaal Hai Ke Kis Ka Banda Hai
Mai Jis Ka Banda Hu Hai Noor Baar Ankho Mai

Piya Hai Jaam-e-Muhabbat Jo Apne Noori
Hamesha Iska Rahega Khumaar Ankho Mai




Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا

Salare Sahaba Wo Pahla Khalifa Lyrics / सालारे सहाबा वो पहला खलीफा

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Mere Ghar mein saja hai aaj Maula ka Dastarkhwaan Lyrics / मेरे घर में सजा है आज मौला का दस्तरख्वान

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika Lyrics / All Versions / या नबी सलाम 'अलैक या रसूल सलाम 'अलैक

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics / मदीने के आक़ा, सलामुन अलैक / مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام