Paat Vo Kuchh , Dhaar Ye Kuchh , Zaar Ham
Paat Vo Kuchh , Dhaar Ye Kuchh , Zaar Ham
Ya Ilahi Kyu Kar Utre Paar Ham
Kis Bala Ki Mai Se Hai Sarshar Ham
Din Dhala Hote Nahi Hushyaar Ham
Tum Karam Se Mushtari Har Aib Ke
Jinse Naa Makbool-e-Har Bazaar Ham
Dushmano Ki Ankh Mai Bhi Fuul Tum
Doston Ki Bhi Nazar Mai Khaar Ham
Lagzish-e-Paa Ka Sahara Ek Tum
Girne Vaale Lakhon Na Hanjaar Ham
Sadka Apne Baazuon Ka Al Madad
Kaise Tode Ye But-e-Bandaar Ham
Apni Rehmat Ki Taraf Dekhen Huzur
Jante hai Jaise Hai Badkaar Ham
Apne Kuche Se Nikale To Na Do
Hai To Had Bhar Ke Khudai Khaar Ham
Haath Utha Kar Ek Tukda Ae Kareem
Hai Sakhi Ke Maal Mai Hakdaar Ham
Nazishain Karte Hai Apas Mai Malak
Hai Gulaman-e-Shahe Abraar Ham
Un Ke Aage Da'ava-e-Hasti Raza
Kya Bake Jaata Hai Ye Har Baar Ham
Comments
Post a Comment