Fir Ke Gali Gali Tabah Thokare Sab Ki Khaae Kyu
Fir Ke Gali Gali Tabah Thokare Sab Ki Khaae Kyu
Dil Ko Jo Akl De Khuda Teri Gali Se Jaae Kyu
Rukhsat-e-Kaafila Ka Shor Ghas Se Hame Uthaae Kyu
Sote Hai Unke Saae Mai Koi Hame Jagae Kyu
Baar Na The Habib Ko Paalate Hi Gareeb Ko
Roye Jo Ab Naseeb Ko Chain Kaho Gavaen Kyu
Sang-e-Dare Huzur Se Hamko Khuda Na Sabr De
Jaana Hai Sar Ko Jaa Chuke Dil Ko Karaar Aae Kyu
Ab To Na Rok Ae Gani Adat-e-Sag Bigad Gaee
Mere Kareem Pehle Hi Lukmaa-e-Tar Khilaae Kyu
Jaan Hai Ishk-e-Mustafa Roz Fazoon Kare Khuda
Jis Ko Ho Dard Ka Mazaa Naaz-e-Dava Uthae Kyu
Ham To Hai Ap Dil Figaar Gham Mai Hansi Hai Na Gavaar
Chhed Ke Gul Ko No Bahaar Khun Hame Rulaae Kyu
Dekh Ke Hazrate Gani Faill Pade Fakir Bhi
Chhaee Hai Ab To Chhavni Hashr Hi Aa Na Jaae Kyu
Hai To RAZA Nira Sitam Jurm Pe Gar Lajaae Ham
Koi Bajaae Soze Gam Saaz-e-Tarab Bajaae Kyu
Hak hussian
ReplyDelete