- Get link
- X
- Other Apps
Rah Pur Khaar Hai Kya Hona Hai
Paao Afghar Hai Kya Hona Hai
Khuahk Hai Khun Ke Dushman Zalim
Sakht Khunkhaar Hai Kya Hona Hai
Ham Ko Bid Kar Vahi Karna Jis Se
Dost Be Zaar Hai Kya Hona Hai
Tan ki aab kaun khabar le he-hai
Dil ka aazaar hai kya hona hai
Meethe sharbat de maseeha jab bhi
Zid hai inkaar hai kya hona hai
Dil ki teemar hamara karta
Aap bimaar hai kya hona hai
Par kate, tang kafas aur bulbul
Nou-giraftaar hai kya hona hai
Chup ke logo(n) se kiye jiske gunah
Woh khabardaar hai kya hona hai
Are O mujhrim e be-parwah dekh
Sar pe talwaar hai kya hona hai
Tere bimaar ko mere isaa
Gash lagatar hai kya hona hai
Nafse puzor ka wo zor aur dil
Zer hai zaar hai kya hona hai
Kaam zinda ke kiye aur hame
Shouke gulzaar hai kya hona hai
Haye re neend musafir teri
Kooch taiyar hai kya hona hai
Duur jaana hai raha din thoda
Rah dushwaar hai kya hona hai
Ghar bhi jaana hai musafir ki nahi
Mat pe kya maar hai kya hona hai
Jaan halkaan hui jaati hai
Baar sa baar hai kya hona hai
Paar jaana hai nahi milti naav
Zor par dhaar hai kya hona hai
Raah to taigh par aur talwo(n) ko
Gila-e khaar hai kya hona hai
Roushni ki hame aadat aur ghar
Teera-wo taar hai kya hona hai
Beech me aag ka dariya ha-il
Qasd us paar hai kya hona hai
Iss kadee dhoop ko kyu kar jhele
Shola jan naar hai kya hona hai
Haye bigdi tu kaha aakar naav
Ayn e manj-dhaar hai kya hona hai
Kal to deedar ka din aur yaha
Aankh bekaar hai kya hona hai
Muh dikhane ka nahi aur sahar
Aam darbaar hai kya hona hai
Unko raham aaye to aaye warna
Woh kadi maray kya hona hai
Le wo haakim ke sipahi aaye
Subhe izhaar hai kya hona hai
Wa(n) nahi baat banane ki majaal
Chaara iqraar hai kya hona hai
Saath walo ne yahi chor diya
Bekasi yaar hai kya hona hai
Aakhri deed hai aao mil le
Rang bekaar hai kya hona hai
Dil hame tumse lagana hi na tha
Ab safar baar hai kya hona hai
Jaane walo pe ye rona kaisa?
Banda nachaar hai kya hona hai
Naz'A me dhyan na batt jaye kahi
Ye abas pyar hai kya hona hai
Iska ghum hai ki har ek ki soorat
Gale ka haar hai kya hona hai
Baatein kuch aur bhi tumse karte
Par kaha vaar hai kya hona hai
Kyu Raza kudhte ho haste uththo
Jab wo ghaffar hai kya hona hai
Meethe sharbat de maseeha jab bhi
Zid hai inkaar hai kya hona hai
Dil ki teemar hamara karta
Aap bimaar hai kya hona hai
Par kate, tang kafas aur bulbul
Nou-giraftaar hai kya hona hai
Chup ke logo(n) se kiye jiske gunah
Woh khabardaar hai kya hona hai
Are O mujhrim e be-parwah dekh
Sar pe talwaar hai kya hona hai
Tere bimaar ko mere isaa
Gash lagatar hai kya hona hai
Nafse puzor ka wo zor aur dil
Zer hai zaar hai kya hona hai
Kaam zinda ke kiye aur hame
Shouke gulzaar hai kya hona hai
Haye re neend musafir teri
Kooch taiyar hai kya hona hai
Duur jaana hai raha din thoda
Rah dushwaar hai kya hona hai
Ghar bhi jaana hai musafir ki nahi
Mat pe kya maar hai kya hona hai
Jaan halkaan hui jaati hai
Baar sa baar hai kya hona hai
Paar jaana hai nahi milti naav
Zor par dhaar hai kya hona hai
Raah to taigh par aur talwo(n) ko
Gila-e khaar hai kya hona hai
Roushni ki hame aadat aur ghar
Teera-wo taar hai kya hona hai
Beech me aag ka dariya ha-il
Qasd us paar hai kya hona hai
Iss kadee dhoop ko kyu kar jhele
Shola jan naar hai kya hona hai
Haye bigdi tu kaha aakar naav
Ayn e manj-dhaar hai kya hona hai
Kal to deedar ka din aur yaha
Aankh bekaar hai kya hona hai
Muh dikhane ka nahi aur sahar
Aam darbaar hai kya hona hai
Unko raham aaye to aaye warna
Woh kadi maray kya hona hai
Le wo haakim ke sipahi aaye
Subhe izhaar hai kya hona hai
Wa(n) nahi baat banane ki majaal
Chaara iqraar hai kya hona hai
Saath walo ne yahi chor diya
Bekasi yaar hai kya hona hai
Aakhri deed hai aao mil le
Rang bekaar hai kya hona hai
Dil hame tumse lagana hi na tha
Ab safar baar hai kya hona hai
Jaane walo pe ye rona kaisa?
Banda nachaar hai kya hona hai
Naz'A me dhyan na batt jaye kahi
Ye abas pyar hai kya hona hai
Iska ghum hai ki har ek ki soorat
Gale ka haar hai kya hona hai
Baatein kuch aur bhi tumse karte
Par kaha vaar hai kya hona hai
Kyu Raza kudhte ho haste uththo
Jab wo ghaffar hai kya hona hai
More Lyrics :
ala hazrat naat
owais qadri naat
R
- Get link
- X
- Other Apps
Related Lyrics
Quran Shareef
Popular Naat Lyrics
Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर
Al Madad — Peeraan-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Immerse yourself in the heartfelt naat "Al Madad Peeraan-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer " . Below , you will find the complete lyrics presented in Roman Urdu , Hindi (Devanagari) , and Urdu (Rasm-ul-Khat) , so that every reader may connect and recite. If you enjoy this piece, explore more devotional naats and translations on naat-e-sarkar.com Al-Madad Peeran-e-Peer, Ghaus-e-Azam Dastageer ek roohani manqabat hai jo Hazrat Ghaus-e-Azam Shaykh Abdul Qadir Jilani رحمتہ اللہ علیہ ke rutba, karamaat aur maqam-e-wilayat ko bayan karti hai. Is kalam mein unki roohani qudrat, Ali al-Murtaza aur Hasnain ka saaya aur murdo ko zinda karne ki karamaat ka zikr hai. al-madad peeraan-e-peer, gaus-e-aa'zam dastageer! al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer ! rutba ye wilaayat me.n , ky...
Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا
Here is Full Lyrics of Madani Sehra "Fazl-e-Rabb-e-Paak se Beta mera Dulha bana" in English, Hindi and Urdu written by Maulana Ilyas Attar Qadri, naat khwan Hafiz Tahir Qadri fazl-e-rabb-e-paak se, beta mera dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana fazl-e-rabb-e-paak se , beta mera dulha bana khushnuma khushrang phoolo.n ka hai sar sehraa sajaa dulha bana dulha bana inko khushiyaa.n do Jahaa.n me.n tu ataa kar kibriyaa ! inpe ranj-o-gham ki na chhaye kabhi kaali ghata dulha bana dulha bana tu sadaa rakhna salaamat inka jhoda ya KHuda ! koi bhi jagda na ho , aapas me.n , aye rabb-ul-ula ! dulha bana dulha bana meethe meethe ho.n madine ke inhe.n munne 'ataa meethi meethi ho.n madine ki inhein munniyaan 'ataa waasta ya rabb ! madine ki mubaarak khaak ka dulha bana dulha bana is tarha mehka kare ye gh...
Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन
Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim sabse ulaa wa aala hamara nabi sabse bala wa wala hamara nabi apne maula ka pyara hamara nabi donon aalam ka dulha hamara nabi allaahumma salli-'ala sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim laakhon aae yahaan aur laakhon gae unche unche shahenshah yahaan na rahe kitne diye jale jalke phir bujh gae kya khabar kitne taare khile chhup gae par na doobe na dooba hamara nabi allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim jinke talwon ka dhowan hai aab-e-hayaat hai wo jaan-e-masiha hamara nabi khalq se auliya, auliya se rusool aur rasuulon se aala hamara nabi kaun deta hai dene ko munh chahiye dene wala hai sachcha hama...
Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है
kya bataun ki kya madina hai kya bataun ki kya madina hai bas mera mudda'aa madina hai uth ke jaaun kahan madine se kya koi dusra madina hai kya bataun ki kya madina hai uski aankhon ka noor to dekho jiska dekha hua madina hai kya bataun ki kya madina hai dil mein ab koi aarzu hi nahin ya muhammad hai ya madina hai kya bataun ki kya madina hai duniya wale to dard dete hein zakhmi dil ki dawa madina hai kya bataun ki kya madina hai mere aaqa! mujhe bula lijiye mujhko bhi dekhna madina hai kya bataun ki kya madina hai dil fida hai madine wale pa...
Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام
shaah-e-do 'aalam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam karo duur har Gam salaam assalaam har aankh hoke pur-nam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam a Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam rabb ne baDe pyaar se me'raaj me.n kahaa rahne do naa'lain ko aa jaao mustafaa qadam-e-mustafaa ka liyaa arsh ne bosaa jhuum uthe saare malaa.ik o marhabaa maa.nge jo nabii rab ne vo diyaa rab ne jo diya, nabii ne vo liyaa jhuuka 'arsh-e-aa'zam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam aapne jo kar diyaa u.nglii ka ishaaraa chaand do tukDe hua qurbaan ho gayaa jab namaaz-e-'asr 'ali ki hui qazaa aapne suraj ko dubaaraa palat diyaa aap jo kiye, mo'jize bane aap ...
Baghdad Hai Pyara Lyrics / बग़दाद है प्यारा
baGdaad mein har simt hai taiba ka nazaara baGdaad mein har simt hai taiba ka nazaara baGdaad hai pyaara baghdaad hai pyaara kehte hein jise sab hai bahot khoob wahi hai har 'aashiq-e-sarkaar ka matloob wahi hai allah ke mahboob ka mahboob wahi hai ek baar jo dekh aaye wo jaata hai dobaara baGdaad hai pyaara baGdaad hai pyaara rahmat ka khazeena hein wo baGdaad ki galiyaan tasweer-e-madina hein wo baGdaad ki galiyaan jannat ka nageena hein wo baGdaad ki galiyaan bahta hai sada rahmat-o-anwaar ka dhaara baGdaad hai pyaara baGdaad hai pyaara chaadar wahaan rahti hai tani hasani-husaini har samt wahaan chhanw mili hasani husaini khushbu hai fazaaon mein basi hasani husaini baGdaad ka dulha hai, 'ali ka hai dulaara baGdaad hai pyaara baGdaad hai pyaara us dar ki mohabbat hai madine ki mohabbat us dar ki inaayat hai madine ki ina...
Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा
koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera ho jo haatim ko muyassar ye nazaara tera keh uthe dekh ke bakhshish mei.n ye rutba tera waah! kya jood-o-karam hai shah-e-bat.ha tera nahi.n sunta hi nahi.n maangne waala tera kuchh bashar hone ke naate tujhe khud-sa jaanei.n aur kuchh mahez payaami hi KHuda ka jaanei.n inki auqaat hi kya hai ke ye itna jaanei.n farsh waale teri shoqat ka 'uloo kya jaane KHush-rawaa.n 'arsh pe udta hai pharera tera mujhse naa-chiz pe hai teri 'inaayat kitni tune har gaam pe ki meri himaayat kitni kya bataau.n teri rahmat mei.n hai wus'at kitni ek mai.n kya meri 'isyaa.n ki haqiqat kitni mujhse so-laakh ko kaafi hai ishaara tera kaee pushto.n se ghulaami ka ye rishata hai bahaal yahi.n tiflee -o-jawaani ke guzaare mah-o-saal ab budhaape mei.n KHudaara ! na hamei.n dar se nikaal tere tukdo.n pe pale ghair ki thok...
Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ
labbaik ya rasool-allah ! labbaik ya rasool-allah ! labbaik ya rasool-allah ! labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! khud ko mita denge, hum jaan luta denge naamus-e-aaqa par, hum sar kataa denge labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! haazir hei.n, haazir hei.n, haazir hei.n hum labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! kariya-kariya, basti-basti, zikr nabi ka aam karo pyaare aaqa ke diwaano.n ! haath mei.n daale haath chalo hubb-e-nabi ka har dil mei.n, tum jaa ke deep jalaao unche mei.n uncha nabi ka janda, ghar-ghar mei.n lehraao khud ko mita denge, hum jaan luta denge naamus-e-aaqa par, hum sar kataa denge labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! haazir hei.n, haazir hei.n, haazir hei.n hum labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! ibn-e-'ali ne karbo-bala mei.n tum ko ye paighaam diya yaad rakkho, pyaare aaqa ne tum ko paak nizaam diya tod do baahu ...
Sarkar ka nokar hun koi aam nahi hoon Lyrics / सरकार का नौकर हूँ कोई आम नहीं हूँ
sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri itna kaafi hai zindagi ke liye rakh le.n sarkar jo naukari ke liye sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n duniya ke kisi shobe mein nakaam nahi hu.n sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n mere nijaat ka yahi raasta dikhai de allah mujko makka madina dikhai de roza-e-mustafa hai jaha.n par aye momino.n aashiq wahi.n pe jeeta aur marta dikhai de sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n duniya ke hukmarano.n se darta nahi.n kabhi dollar se ya riyal se bikta nahi.n kabhi jis zehn me.n samaya hai faqat dast-e-karbala momin wo sar kataata hai jukta nahi.n kabhi sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n aaqa ka faisala wahi qudrat ka faisala mehshar mein hoga unki shafa'at ka fai...
Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है
wo mera nabi mera nabi mera nabi hai Naat-Khwaan: Zohaib Ashrafi Laiba Fatima wo jiske liye mahfil-e-kaunain saji hai firdaus-e-bari jiske wasile se bani hai wo haashmii makki madani ul 'arabii hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai ahmad hai mohammad hai wah KHatm-e-rasuul hai maKHduum o murabbii hai wahi vaalii-e-kul hai us par hi nazar saare zamane ki lagi hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai wash-shams o wad-duHa chehra-e-anwar ki jalak hai wal-layl saza gesuu-e-hazrat ki latak hai 'aalam ko ziya uske wasile se mili hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai allah ka farman "alam-nashrah la-ka sadrak" mansuub hai "wa-raf'aana la-ka zikrak" jis zaat ka quraan me.n bhi zikr-e-jalii hai wo mera nab...







.png)


Comments
Post a Comment