maula salaamat rakkhe, mere huzoor taajussahriyya ko maula salaamat rakkhe, mere huzoor taajussahriyya ko maula salaamat rakkhe, jaa-nashin-e-mufti-e-aa'zam ko chehra to zara dekho, kya shaan-e-jalaalat hai hai noor-e-KHuda inmei.n, ye baat haqiqat hai chehra lage suhaana, mere azhari miyaa.n ka har sunni hai diwaana, mere azhari miyaa.n ka murshid ko zara dekho, nazdik se tum ja kar har ek 'ada unki paaband-e-shariyat hai taqwa mei.n misaali hai, fatwa mei.n misaali hai dhundhe.n to kahaa.n dhundhe.n, ab koi duja akhtar is daur-e-zamaana mei.n inka na koi saani ye badr-e-tariqat hei.n, ye taaj-e-shariyat hei.n baghdaad se madina, ajmer se bareli ruhaani aana jaana, mere azhari miyaa.n ka is daur-e-zamaana mei.n inka na koi saani ye badr-e-tariqat hei.n, ye taaj-e-shariyat hei.n is daur-e-zamaana mei.n dekhe to bahot se hei.n par taaj-e-shariyat ka, jachta hai tere upar is daur-e-zamaana mei.n inka na koi saani ye badr-e-tariqat hei.n, ye taaj-e-shariyat hei.n nisbat hai kisi ...