Jalva hai noor hai ke sarapa Raza ka hai Lyrics


Jalva hai noor hai ke sarapa Raza ka hai
Tasveer e sunniyat hai ke chehra Raza ka hai

Wadi Raza ki kohe himala Raza ka hai
Jis simt dekhiye wo ilaka Raza ka hai



Dastar aa rahi hai zameen par jo sar uthe
Itna buland aaj farera Raza ka hai

Kis ki majal hai jo nazar bhi mila sake
Darbare Mustafa main thikana Raza ka hai

Alfaz beh rahe hain daleelon ki dhar par
Chalta hua kalam hai ke dhara Raza ka hai

Chhuta hai asmaan ko minaar azam ka
Yani atal pahad irada Raza ka hai

Nukte ibaraton se ubharte hain khud ba khud
Nakton nazar pe esa ijara Raza ka hai

Dariya fasahaton ke rava shayari mai hai
Ye sahele mumtan'e hai ke lehja Raza ka hai

Jo likh diya hai usne sanad hai wo deen main
Ahle kalam ki abaru nukta Raza ka hai

Aglon ne bhi likha hai bahot  ilme deen par
Jo kuchh hai is sadee main vo tanha Raza ka hai

Is daur e pur fitan main nazar khush akidagi
Sarkar ka karam hai waseela Raza ka hai

Comments

Post a Comment

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu