Panjatan ke gharane ki kya baat hai Lyrics
Panjatan ke gharane ki kya baat hai
Panjatan ke gharane ki kya baat hai
Deke sar deen ko firse zinda kiya
Panjatan ke gharane ki kya baat hai
Ibne Haidar ne dushman ko ruswa kiya
Panjatan ke gharane ki kya baat hai
Panjatan ke gharane ki kya baat hai
Ya Husain ibne Haidar karam kijiye
Fir se aesa Mujaheed ata kijiye
Kar de fitnon ka duniyan se jo khatema
Panjatan ke gharane ki kya baat hai
Mera Abbas jo ke Alamdar hai
Zakhm hai pyas hai fir bhi Sardar hai
Zakhm khaye hein fir bhi na shikwa kiya
Panjatan ke gharane ki kya baat hai
Wo shabi-e-Nabi Akbar-e-naujawan
Jinke zakhmon pe roye Zameen Aasman
Karbala ki zameen pe jo kurbaan hua
Panjatan ke gharane ki kya baat hai
Naaz Furqan nisbat pe apni karo
Unki ta'zeem har aan karte raho
Kaam aayega maheshar mein ye waseta
Panjatan ke gharane ki kya baat hai
Comments
Post a Comment