Aise hote hein ali ke naukar Lyrics

Aise hote hein ali ke naukar
Aise hote hein ali ke naukar

Wakt par wakt ki raftar badal dete hein
Fitrate khanjaro talwar badal dete hein
Daar par lehja e guftar badal dete hein
Zere khanjar bhi sada dete hein haidar haidar
Aise hote hein ali ke naukar



Tumne maula ki mahobbat ka nazara dekha
Lashkare kufr ziyada tha magar har gaya
Chand afrad ne labnan ka naksha badla
Bhagne wale zara dekh to pichhe mud kar
Aise hote hein ali ke naukar

Ishke haidar ki ye tableeg kiya karte hein
Aise deewane hein danaee ata karte hein
Akl waale inhe behlore kaha karte hein
Haan mitti se bana dete hein ye khuld ke ghar
Aise hote hein ali ke naukar

Kasr be'yat ke sutunon ko girane ke liye
Apna ghar qalbe payambar mein banane ke liye
Jutiyna sibate payambar ki uthane ke liye
Hurr ne haste hue duniya ko laga di thokar
Aise hote hein ali ke naukar

Marke bhi ulfate haidar nahi marne deti
Baat ye hazrate salman ne sabit kardi
Ba'd marne ke agar inko bulayenge ali
Maut ki ghod se labbayk kahenge uth kar
Aise hote hein ali ke naukar

Baat karne ki liye jab bhi zubanein kholein
Apne kirdar ko mizane amal par tolein
Lakh ham khud ko gulame haidar bolein
Baat jab hai ke hamein dekh ke bolein haidar
Aise hote hein ali ke naukar

Comments

Post a Comment

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu