Mera Maula Maula Husain hai Lyrics || Hafiz Tahir Qadri


Mera Maula Maula Husain hai
Mera Maula Maula Husain hai

Jo hua Nawasa-e-Mustafa
Wo Ali ka beta Husain hai
Jo Yazidiyat ko fanah kare
Shahe Karbala wo Husain hai
Bibi Fatima ka wo ladla
Mera Badshah wo Husain hai

Mera Maula Maula Husain hai
Mera Maula Maula Husain hai

Kya sunaun wakiya-e-karbala
Haae teer neza kahan laga
Jise chumte rahe Mustafa
Wo Husaini sar tha kata hua
Sara ghar ka ghar bhi luta diya
Wo jo kar gaya wo Husain hai

Mera Maula Maula Husain hai
Mera Maula Maula Husain hai

Yahi bole Hazrate Hurr Shaha
Ya Husain aap ka shukriya
Ke Yazidiyon se nikal kar
Jo Husainiyon mein bitha diya
Muje mazilon ka pata diya
Mera rehnuma wo Husain hai

Mera Maula Maula Husain hai
Mera Maula Maula Husain hai

Wo bhi banda kitna ajeeb hai
Jo kahe yazeed bhi thik hai
Ya Husaini ban ya yazeedi ban
Aese Jhuth mein kyun sharik hai
Kyun do kashtiyon ka sawar hai
Jo hai haqnuma wo Husain hai

Mera Maula Maula Husain hai
Mera Maula Maula Husain hai

Jo dare Husain pe aa gaya
Sari mannaton ko wo paa gaya
Ye gharana Aale Nabi ka hai
Jo sakhawaton ko sikha gaya
Jo fakeer ko kare badshah
Aesa badshah wo Husain hai

Mera Maula Maula Husain hai
Mera Maula Maula Husain hai

Ye wazifa hai meri naukari
Mein padunga naad-e-Ali Ali
Mein piyunga jaame kalandari
Mein lagaun naara-e-Haidari
Do Ujagar ishq mein ye sada
Muje mil gaya wo Husain hai

Mera Maula Maula Husain hai
Mera Maula Maula Husain hai

Naat Khwan : 

Hafiz Tahir Qadri

Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu