Ya Husain Ibne Ali Aap par lakhon Salam Lyrics
Ya Husain Ibne Ali Aap par lakhon Salam
Aap hein Aale Nabi Aap par lakhon Salam
Aabe Kausar mein kami Aap par Lakhon Salam
Kufiyon ne Aap par jo kiye zulmo sitam
Aesa na dekha kabhi Aap par lakhon Salam
Raste bhi band kiye Paani bhi roka gaya
Aah ! re ye sang dili Aap par lakhon Salam
Hai dua Sarkar se Hazrin-e-Bazm ko
Aap na bhulen kabhi Aap par lakhon Salam
Aap ka Altaf hai Deeno Duniya mein Huzur
Aap na bhulen kabhi Aap par lakhon Salam
Comments
Post a Comment