Chalo Diyare Nabi ki Janib Lyrics / चलो दियार-ए-नबी की जानिब / || چلو دیار نبی کی جانب
chalo diyaar-e-nabi ki jaanib Naat-Khwaan: Owais Raza Qadri salla 'alaika ya rasulallah wa sallam 'alaika ya habiballah chalo diyaar-e-nabi ki jaanib, durood lab par sajaa sajaa kar bahaare.n lutenge ham karam ki, dilo.n ko daaman bana bana kar chalo diyaar-e-nabi ki jaanib, durood lab par sajaa sajaa kar salla 'alaika ya rasulallah, wa sallam 'alaika ya habiballah na unke jaisa sakhi hai koi, na unke jaisa ghani hai koi wo be-nawaao.n ko har jagaah se, nawaazte he.n bula-bula kar chalo diyaar-e-nabi ki jaanib ,durood lab par sajaa sajaa kar salla 'alaika ya rasulallah , wa sallam 'alaika ya habiballah hai unko ummat se pyaar kitna, karam hai rahmat shi'aar kitna hamaare jurmo.n ko dho rahe hein, huzur aansu baha-baha kar chalo diyaar-e-nabi ki jaanib ,durood lab par sajaa sajaa kar ...