Kyun aake ro raha hai Muhammad ke Shehar mein || क्यों आके रो रहा है मुहम्मद के शहर में || Lyrics Full


Short Lyrics:

Roman(ENG):

Kyun aake ro rahaa hai Muhammad ke Shahar mein
Har dard ki Dawaa hai Muhammad ke Shahar mein

Aao Gunahgaron chalo sar ke bal chalein
Tauba ka Dar khula hai Muhammad ke shehar mein

Kadmon ne Unke khaak ko kundan banaa diya
Mitti bhi kimiya hai Muhammad ke Shehar mein

Sadqa luta raha hai Khuda Unke Naam ka
Sona nikal rahaa hai Muhammad ke Shehar mein

Sab to juke hein Khaana-e-Kaaba ke saamne
Kaaba juka hua hai Muhammad ke Shehar mein

Saaya nahi hai Gumbade Khazra ka Aaj bhi
Zinda Ye mojaza hai Muhammad ke Shehar mein

Aye Raaz Tu to Hind mein maujud hai magar
Din Raat pad raha hai Muhammad ke Shehar mein




हिंदी (HINDI):


क्यों आके रो रहा है मुहम्मद के शहर में
हर दर्द की दवा है मुहम्मद के शहर में

आओ गुनाहगारों चलो सर के बल चलें
तौबा का दर खुला है मुहम्मद के शहर में

क़दमों ने उनकी ख़ाक को कुंदन बना दिया
मिट्टी भी कीमिया है मुहम्मद के शहर में

सदक़ा लुटा रहा है खुदा उनके नाम का
सोना निकल रहा है मुहम्मद के शहर में

सब तो जुके हैं खाना-इ-काबा के सामने   
काबा जुका हुआ है मुहम्मद के शहर में

साया नहीं है गुम्बदे ख़ज़रा का आज भी
ज़िंदा ये मोजज़ा है मुहम्मद के शहर में

अये राज़ तू तो हिन्द में मौजूद है मगर
दिन रात पड़ रहा है मुहम्मद के शहर में





Full Lyrics:

Roman(ENG):

Ya Nabi Aap ke jalwon mein wo raanaaii hai
Dekhne par bhi Meri Aankh tamannaii hai
Haq ta-aala bhi Kareem aur Muhammad bhi Kareem
Do Kareemon mein Gunahgaar ki ban aaai hai

Muhammad ke Shehar mein , Muhammad ke Shehar mein
Muhammad ke Shehar mein , Muhammad ke Shehar mein

Dukh Dardo Alam gam kat te hein
Hasanain ke sadqe bat te hein

Muhammad ke Shehar mein , Muhammad ke Shehar mein

Pade hue hein saare reh guzar Madine mein
Hazaaron sham'aa Hazaaron Qamar Madine mein

Sataale Jitna sataaye Muje ghame doori
Nikaal dunga saari kasar , Muhammad ke shehar mai

Kuchh aesi bhid lag jaati hai Shaahe Deen ke Roze par
Hawa ko raasta mushkil se milta hai Muhammad ke shehar mai
Hawaaein bhi adab ke saath chalti hein Muhammad ke shehar mai

Gamon se jab bhi tabiyat maloor hoti hai
To shaad ba Naame Rasool hoti hai

Ho jis Duaa mein Muhammad ka waasta shaamil
Huzure Haq Wo yakinan qabool hoti hai

Muhammad ke Shehar mein Muhammad ke Shehar mein
Muhammad ke Shehar mein Muhammad ke Shehar mein

Hath mein Tasbeeh , bagal me Musallah , Lab pe jaari Allah Allah
Kehti hui pahunchi Baytullah Aur pukaari Aye Mere Allah !

Mere parde mein wahdat ke siwaa kya hai
Ja jo Tuje lena hai le Muhammad ke Shehar mein

Kyun aake ro rahaa hai Muhammad ke Shehar mein
Har dard ki Dawaa hai Muhammad ke Shehar mein

Aao Gunaahgaaron chalo Sar ke bal chalein

Wo bargaah Naaze Rasoole Arabi hai
Palkon ka jabakna bhi wahan be-adadbi hai
Wahaan Sar jukaate hein Auliya
Wahaan Paaon rakhna rawaa nahin

Naazaa hai Jispe husn Wo Husne Rasool hai
Ye kehkashaa to Aapke qadmon ki dhul hai
Taybaah ke raaste ka to kaanta bhi phool hai
Aye Rehnawaa-e-shauq chalo Sar ke bal chalein

Begaana-e-Irfaan ko haqeeqat ki khabar kya
Jo Aapse waakif na ho Wo Ahle nazar kya
Manzoor-e-Nazar Kaun hua Is ki khabar kya
Wo Fazl pe aa jaaye to ayebo hunar kya

Kaameel ko dare yaar ke sadkon se na roko
Qurbaan jahaan Dil ho wahaan kimat khaar kya

Chalo sar ke bal chalein , Chalo sar ke bal chalein

Aao gunahgaron chalo sar ke bal chalein
Tauba ka Dar khula hai Muhammad ke shehar mein

Kadmon ne Unke khaak ko kundan banaa diya

Teri Nigaah se zarre bhi mahero maah bane
Gadaa-e-be saro samaan jahaan panaah bane

Huzur hi ke karam ne Muje tasalli di
Huzur hi mere gham mein Meri panaah bane

Wohi makaam Mohabbat ke jalwaa gaah bane
Jahaan jahaan se Wo guzre jahaan jahaan Wo pahunche

Kadmon ne Unke khaak ko kundan banaa diya
Mitti bhi kimiya hai Muhammad ke Shehar mein

Sadqa luta raha hai Khuda Unke Naam ka
Sona nikal rahaa hai Muhammad ke Shehar mein

Sab to juke hein Khaana-e-Kaaba ke saamne
Kaaba juka hua hai Muhammad ke Shehar mein

Haajiyon aao Shahenshah ka roza dekho
Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba dekho

Madina Wo hai ke Kaaba bhi Sajda karta hai
Kaaba juka hua hai Muhammad ke Shehar mein

Phool gulaab ka Aap ke chehre jaisa lagtaa hai
Aur chamakta Chand Nabi ka talwaa lagtaa hai

Kaaba khud Taybaah ki jaanib juktaa lagta hai
Kaabe ka Kaaba khud Huzur ka Roza lagta hai

Kaba juka hua hai Muhammad ke Shehar mein

Saaya nahi hai Gumbade Khazra ka Aaj bhi

Khicha kuchh Is niraali Shaan se naksha Muhammad ka
Ke nakkaash-e-Ajal bhi ho gayaa shayda Muhammd ka

Koi kya dekhta aqse kazebala Muhammad ka
Saraapa Noor tha Wo kamaate Zayba Muhammad ka

Isi baaees nazar aata na tha saaya Muhammad ka

Saaya nahi hai Gumbade Khazra ka Aaj bhi
Zinda Ye mojaza hai Muhammad ke Shehar mein

Aye Raaz Tu to Hind mein mojud hai magar
Din Raat pad raha hai Muhammad ke Shehar mein






हिंदी (HINDI):


या नबी आप के जलवों में वो रानाई है
देखने पर भी मेरी आँख तमन्नाई है
हक़ तआला भी करीम और मुहम्मद भी करीम
दो करीमों में गुनहगार की बन आयी है

मुहम्मद के शहर में , मुहम्मद के शहर में
मुहम्मद के शहर में , मुहम्मद के शहर में

दुःख दर्दो अलम ग़म कटते हैं
हसनैन के सड़के बंटते हैं

मुहम्मद के शहर में , मुहम्मद के शहर में

पड़े हुए हैं सारे रहगुज़र मदीने में
हज़ारों शम'अ हज़ारों कमर मदीने में

सताले जितना सताये मुझे ग़मे दूरी
निकाल दूंगा साड़ी कसर , मुहम्मद के शहर में

कुछ ऐसी भीड़ लग जाती है शाहे दीं के रोज़े पर
हवा को रास्ता मुश्किल से मिलता है मुहम्मद के शहर में
हवाएं भी अदब के साथ चलती हैं मुहम्मद के शहर में

ग़मों से जब भी तबियत मालूर होती है
तो शायद बनामे रसूल होती है

हो जिस दुआ में मुहम्मद का वास्ता शामिल
हुज़ूरे हक़ वो यक़ीनन क़बूल होती है

मुहम्मद के शहर में , मुहम्मद के शहर में
मुहम्मद के शहर में , मुहम्मद के शहर में

हाथ में तस्बीह , बगल में मुसल्लह, लब पे जारी अल्लाह अल्लाह
कहती हुई पहुंची बैतुल्लाह , और पुकारी अये मेरे अल्लाह !

मेरे परदे में वहदत के सिवा क्या है
जा जो तुजे लेना है ले मुहम्मद के शहर में

क्यों आके रो रहा है मुहम्मद के शहर में
हर दर्द की दवा है मुहम्मद के शहर में

आओ गुनहगारों चलो सर के बल चलें

वो बारगाह नाज़े रसूले अरबी है
पलकों का जबकना भी वहाँ बे-अदबी है
वहाँ सर जुकाते हैं औलिया
वहाँ पाऊँ रखना रवा नहीं

नाज़ा है जिसपे हुस्न वो हुस्ने रसूल है
ये कहकशा तो आपके क़दमों की धुल है
तयबाह के रास्ते का तो काँटा भी फूल है
अये रेहनावा-इ-शौक़ चलो सर के बल चलें

बेगाना-इ-इरफ़ान को हकीकत की खबर क्या
जो आपसे वाक़िफ़ न हो वो अहले नज़र क्या
मंज़ूरे नज़र कौन हुआ इसकी खबर क्या
वो फ़ज़ल पे आ जाए तो ऐबो हुनर क्या

कामिल को दरे यार के सदको से न रोको
क़ुर्बान जहां दिल हो वहाँ कीमत खार क्या

चलो सर के बल चलें चलो सर के बल चलें

आओ गुनाहगारों चलो सर के बल चलें
तौबा का दर खुला है मुहम्मद के शहर में

क़दमों ने उनकी ख़ाक को कुंदन बना दिया

तेरी निगाह से ज़र्रे भी मेहरो माह बने
गदा-इ-बे सरो सामां जहां पनाह बने

हुज़ूर ही के करम ने मुझे तसल्ली दी
हुज़ूर ही मेरे गम में मेरी पनाह बने

वही मकाम महोब्बत के जलवा-गाह बने
जहां जहां से वो गुज़रे , जहां जहां वो पहुंचे

क़दमों ने उनकी ख़ाक को कुंदन बना दिया
मिट्टी भी कीमिया है मुहम्मद के शहर में

सदक़ा लुटा रहा है खुदा उनके नाम का
सोना निकल रहा है मुहम्मद के शहर में

सब तो जुके हैं खाना-इ-काबा के सामने
काबा जुका हुआ है मुहम्मद के शहर में

हाजियों आओ शहंशाह का रोज़ा देखो
काबा तो देख चुके काबे का काबा देखो

मदीना वो है के काबा भी सज्दा करता है
काबा जुका हुआ है मुहम्मद के शहर में

फूल गुलाब का आपके चेहरे के जैसा लगता है
और चमकता चाँद नबी का तलवा लगता है

काबा खुद तयबाह की जानिब जुका लगता है
काबे का काबा खुद हुज़ूर का रोज़ा लगता है

काबा जुका हुआ है मुहम्मद के शहर में

साया नहीं है गुम्बदे ख़ज़रा का आज भी

खिंचा कुछ इस निराली शान से नक्शा मुहम्मद का
के नक्काशे अजल भी हो गया शयदा मुहम्मद का

कोई क्या देखता अकशे कजे बाला मुहम्मद का
सरापा नूर था वो कमाते जैबा मुहम्मद का

इसी बाइस नज़र आता न था साया मुहम्मद का

साया नहीं है गुम्बदे ख़ज़रा का आज भी
ज़िंदा ये मोजज़ा है मुहम्मद के शहर में

अये राज़ तू तो हिन्द में मौजूद है मगर
दिन रात पड़ रहा है मुहम्मद के शहर में





Comments

All Time Favorite

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Al Madad Peerane Peer Gaus-e-Aazam Dastageer lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Faslon ko khudara mita do Jaliyon par Nigahe Jami hai Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Sarkare Ghouse Azam Nazre karam Khudara Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Imdad kun Imdad kun, Ya Ghaus-e-Aazam Dastagir Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Sakht Mushkil mein hun Bagdaad se aao jaldi Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Shaianillah Ya Abdul Qadir Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics