Posts

Showing posts with the label N

Noor wala aaya hai Noor lekar aaya hai Lyrics / नूर वाला आया है, नूर लेकर आया है

noor wala aaya hai, noor lekar aaya hai noor wala aaya hai, noor lekar aaya hai saare aalam mein ye dekho, kaisa noor chhaya hai assalatu wassalamu alayk ya rasulallah assalatu wassalamu alayk ya habiballah jab talak ye chand taare jilmilaate jaaeinge tab talak jashn-e-wilaadat ham manaate jaaeinge noor wala aaya hai, noor lekar aaya hai saare aalam mein ye dekho, kaisa noor chhaya hai assalatu wassalamu alayk ya rasulallah assalatu wassalamu alayk ya habiballah naat-e-mahboob-e-khuda sunte sunaate jaaeinge ya rasulallah ka naara lagaate jaaeinge noor wala aaya hai, noor lekar aaya hai saare aalam mein ye dekho, kaisa noor chhaya hai assalatu wassalamu alayk ya rasulallah assalatu wassalamu alayk ya habiballah jashn-e-milaad-e-mubarak kaise chhodein ham bhala jinka khate hein unhin ke geet gaate jaaeinge noor wala aaya hai, noor lekar aaya hai saare aalam mein ye dekho, kaisa noor chhaya hai assalatu wassalamu alay...

Noor wale Aaqa ka Milaad aaya Lyrics / नूर वाले आक़ा का मिलाद आया

noor wale aaqa ka milaad aaya salla-la-llahu alayk ya rasulallah sallam alayk ya habiballah mustafa ya mustafa, marhaba salle ala naara-e-ishq-o-wafa, marhaba salle ala hai sahaba ki nawa , marhaba salle ala hai sada-e-sayyida, marhaba salle ala reliyon mein hai sada, marhaba salle ala har taraf shor utha, marhaba salle ala wird ye rozana, marhaba salle ala sari duniya ne kaha, jaan-o-dil tum pe fida chand utar aaya, noor noor chhaya noor wale aaqa ka milaad aaya zikr-e-nabi-e-paak to din-raat karenge langar, sabeel, sadqa-o-khairat karenge suni koi gali-mohalla kahin hoga karke charagaan, noor ki barsaat karenge gali-gali shaher-shaher dhoom machi hai aamina ke laal ke aane ki khushi hai noor wale aaqa ka milaad aaya bolo ahlanw-w-sahlan marhaba bolo ahlanw-w-sahlan marhaba aamad hai kis payambar-e-aali makaam ki aane lagin sadaaein, durood-o-salaam ki milaad-e-mustafa se hein duniya m...

Noor aa gaya, Haan Haq ka Noor aa gaya Naat Lyrics / नूर आ गया हाँ हक़ का नूर आ गया

Naat-Khwaan: Owais Raza Qadri noor aa gaya haan haq ka noor aa gaya noor aa gaya, noor aa gaya haan haq ka, noor aa gaya, noor aa gaya sub'h taiba mein hui baTta hai baada noor ka sadqa lene noor ka aaya hai taara noor ka noor aa gaya, noor aa gaya haan haq ka, noor aa gaya, noor aa gaya main gada tu badshah, bhar de piyaala noor ka noor din-duna tera, de daal sadqa noor ka noor aa gaya, noor aa gaya haan haq ka, noor aa gaya, noor aa gaya naariyon ka daur tha, dil jal raha tha noor ka tumko dekha ho gaya, thanda kaleja noor ka noor aa gaya, noor aa gaya haan haq ka, noor aa gaya, noor aa gaya teri nasl-e-paak mein hai baccha baccha noor ka tu hai ain-e-noor, tera sab gharana noor ka noor aa gaya, noor aa gaya haan haq ka, noor aa gaya, noor aa gaya aye raza! ahmad-e-noori ka faiz-e-noor hai ho gayi meri gazal padh kar qaseeda noor ka noor aa gaya, noor aa gaya haan haq ka, noor aa gaya, noor aa gaya नूर आ गया ...

Nabi hamare bane hein dulha Lyrics / नबी हमारे बने हैं दूल्हा

nabi hamare bane hain dulha nabi hamare bane hain dulha wo sarwar-e-kishwar-e-risalat jo arsh par jalwagar hue the naye nirale tarab ke samaan arab ke mehmaan ke liye the nabi hamare bane hain dulha bahar hai shadiyan mubarak chaman ko aabadiyan mubarak malak falak apni apni leh mein ye gur-ana dil ka bolte the nabi hamare bane hain dulha waha falak par yaha zameen mein rachi thi shadi machi thi dhoomein udhar se anwar hanste aate idhar se naf'hat uth rahe the nabi hamare bane hain dulha khushi ke badal umat ke aaye dilon ke taoos rang laaye wo naghma-e-naat ka sama tha haram ko khud wajd aa rahe the nabi hamare bane hain dulha gubar ban kar nisar jayein kahan us rah guzar ko payein hamare dil huriyon ki aankhen farishton ke par jahan bichhe the nabi hamare bane hain dulha utar kar unk...

Jo koi gham sataae to Madina Yaad Karlena Lyrics / जो कोई ग़म सताये तो मदीना याद कर लेना

jo koi gham sataae to madina yaad kar lena Asad Raza Attari jeene ki taraf dekh na marne ki taraf dekh jab chot lage dil ki madine ki taraf dekh jo koi gham sataae to madina yaad kar lena na dil ko chain aaye to madina yaad kar lena sahara be-saharon ka madaawa gham ke maaron ka na koi kaam aaye to madina yaad kar lena umuman zindagi mein dukh ke din bhi aa hi jaate hein kabhi lamha ye aaye to madina yaad kar lena suna hai mushkilon mein sath koi bhi nahin chalta zamana chhod jaaye to madina yaad kar lena kabhi ashkon ki boli bhi khamoshi mein badal jaaye aur dil aansu bahaye to madina yaad kar lena hawaaein bhi mukhaalif hon ho dariya mein bhi tugyaani aur kashti doob jaaye to madina yaad kar lena kabhi jo saans bikhri ho kabhi dhadkan jo ulji ho na dil bhi jo sambhal paaye to madina yaad kar lena musibat mein to har koi unhin ko yaad karta hai khushi ahmad jo aaye to madina yaad kar lena जो कोई ग़म सत...

Nahi hai Amena ke laal ki misal nahi Lyrics / नहीं है आमेना के लाल की मिसाल नहीं / نہیں ہے آمنہ کے لال کی مثال نہیں

nahi hai amena ke laal ki misaal nahi nahi hai amena ke laal ki misaal nahi jamaal-e-mustafa ka to kahi jamaal nahi sabhi zubaano ki tareekh pad ke dekh liya zamaane bhar mein kahi teri ek bhi misaal nahi urooz aapke jood-o-karam ne bakhsha hai kasam khuda ki mera zarra bhi kamaal nahi tumhaare hurmato namaus par nikal aaye nahi hai degh koi, neza koi dhaal nahi har ek urooz ko humne zawaal dekha hai ye ek naat ka sooraj hai jise zawaal nahi tumhaari mohr-e-nubuwwat ka raag taari hai nigahein kaise uthaaye, koi majaal nahi ada ne dohre nabi ki misaal kaise ho ghulaam laakhon hain lekin koi bilaal nahi hasan husain hain jannat ke dono shahzaade nabi ki aal se badhkar to koi aal nahi ajab nahi hai ujagar vo roz haazir-e-dar mere nabi ke liye kuchh bhi to muhaal nahi नहीं है आमेना के लाल की मिसाल नहीं नहीं है आमेना के लाल की मिसाल नहीं जमाल-ए-मुस्तफा का तो कहीं जमाल नहीं सभी ज़ुबानों की तारीख़ पढ़ के देख लिया ज़माने भर में ...

Noor se Apne Sarware Aalam Duniya Jagmagane aaye Lyrics / नूर से अपने सरवरे आलम दुनिया जगमगाने आये

noor se apne sarwar-e-aalam duniya jagmagane aaye noor se apne sarwar-e-aalam duniya jagmagane aaye gam ke maaron dukhiyaron ko seene se lagane aaye noor-e-nigaah-e-ambiya, mere huzur aa gaye shan-o-nishan-e-kibriya mere huzur aa gaye noor se apne sarwar-e-aalam duniya jagmagane aaye nikhra hua hai roo-e-ghul, faili hui hai boo-e-ghul banke bahaar-e-jaan-fiza mere huzur aa gaye noor se apne sarwar-e-aalam duniya jagmagane aaye ashkon se bhar kar jholiyan aankhein bichha do raah mein salle-ala ki do sadaa, mere huzur aa gaye noor se apne sarwar-e-aalam duniya jagmagane aaye saaeem kamaal-e-zauq se, qalb-o-nazar ko shauq se raahon mein aaj do bichha, mere huzur aa gaye noor se apne sarwar-e-aalam duniya jagmagane aaye नूर से अपने सरवर-ए-आलम दुनिया जगमगाने आए नूर से अपने सरवर-ए-आलम दुनिया जगमगाने आए ग़म के मारों दुखियारों को सीने से लगाने आए नूर-ए-...

rab ne arz-o-samaan hai sajaaye Lyrics / रब ने अर्ज़-ओ-समां है सजाए / رب نے ارض و سماں ہے سجائے

rab ne arz-o-samaan hai sajaaye Naat-Khwaan: Imran Shaikh Attari noor wala aamina bibi ke ghar mein aaya hai haq ne paida aaj apne pyaare ko farmaaya hai aaye aaye aaye aaye nabi aaye nabi aaye aaye rab ne arz-o-samaan hai sajaaye qudsiyon ne qaside hai gaaye aashiqon ne ye naare lagaaye nabi aaye aaye nabi aaye aaye jinki aamad ki nabiyon ne di hai khabar chaand wal fajr ka ho gaya jalwagar aaye makke mein jab rashk-e-shams-o-qamar saj gayi har gali har gali har nagar nabi aaye aaye nabi aaye aaye rab ne arz-o-samaan hai sajaaye... ban ke noor-ul-huda aa gaye mustafa un ki tazeem mein khaana-e-kaaba jhuka mere lajpaal aaqa ke hi noor se zarra zarra har ek jagmagaane laga nabi aaye aaye nabi aaye aaye rab ne arz-o-samaan hai sajaaye... zinda dar gor karti thi jo betiyan un se milne laga betiyon ko amaan zaat-e-baa...

Nabi ka Jashna Aaya Chand Taaron Jhumte rehna Lyrics / नबी का जश्न आया चाँद तारों झूमते रहना / نبی کا جشن آیا چاند تاروں جھومتے رہنا

nabi ka jashn aaya chaand taaron jhumte rehna marhaba marhaba marhaba ya mustafa marhaba marhaba marhaba marhaba ya mustafa marhaba nabi ka jashn aaya chaand taaron jhumte rehna nabi ke naam par aye naam-daaron jhumte rehna marhaba marhaba marhaba ya mustafa marhaba jahaan mein noor le kar noor waala aane waala hai mere hamrah tum bhi dil ke taaron jhumte rehna marhaba marhaba marhaba ya mustafa marhaba marhaba aaqa ki aamad marhaba daata ki aamad marhaba maula ki aamad marhaba manja ki aamad marhaba aala ki aamad marhaba aula ki aamad marhaba sohne ki aamad marhaba jaana ki aamad marhaba marhaba marhaba marhaba ya mustafa marhaba gali kunche saja dena hare jhande laga dena taqaaza ishq ka hai mere yaaron jhumte rehna marhaba marhaba marhaba ya mustafa marhaba nabi-e-sarware kaunain ki aamad ke lamhon mein duroode paak padte padte saron jhumte...

नबी सरवर-ए-हर रसूल ओ वली है / نبی سرورِ ہر رسول و ولی ہے / Nabi Sarware Har Rasoolo wali hai

nabi sarwar-e-har rasool o wali hai nabi sarwar-e-har rasool o wali hai nabi raazdaar-e-ma'llah li hai wo naami ke naam-e-khuda naam tera ra’oof-o-raheem-o-'aleem-o-'ali hai hai betaab jis ke liye arsh-e-aa'zam wo is raah rawa-e-laa-makaa.n ki gali hai nakeeren karte hein ta’zeem meri fida hoke tujh pe ye izzat mili hai talatum hai kashti pe tufaan-e-gham ka ye kaisi hawa-e-mukhaalif chali hai na kyun kar kahun ya habeebi agisni isi naam se har musibat tali hai saba hai mujhe sarsar-e-daste taiba isi se kali mere dil ki khili hai tere chaaron hamdam hein yak jaan yak dil abu bakr-o-farooq-o-usmaan ali hai khuda ne kiya tujh ko aagaah sab se do aalam mein jo kuchh khafi-o-jali hai tamanna hai farmaaiye roz-e-mehshar ye teri rihaayi ki chitthi mili hai shafa’at kare hashr mein jo raza ki siwa tere kis ko ye qudrat mili hai ...

Nigah-e-Lutf ke Umeedwar ham bhi hein Lyrics / निगाह-ए-लुत्फ़ के उम्मीदवार हम भी हैं / نگاہِ لطف کے امیدوار ہم بھی ہیں

nigaah-e-lutf ke ummidwaar ham bhi hein nigaah-e-lutf ke ummidwaar ham bhi hein diye hue dil-e-beqaraar ham bhi hain hamqare dast-e-tamanna ki laaj bhi rakhna tere faqeeron mein aye shehr-e-yaar ham bhi hain tumhaari ek nigah-e-karam mein sab kuch hai pade hue to sare raah-guzaar ham bhi hain jo sar pe rakhne ko mil jaaye naal-e-paak-e-huzoor to phir kahenge ke haan ! taajdaar ham bhi hain ye kis shahensha-e-balaa ka sadqa banTta hai khusrawon mein padi hai pukaar ham bhi hain hasan hain jinki sakhawat ki dhoom aalam mein unhi ke tum bhi ho ek reza-khaar ham bhi hain निगाह-ए-लुत्फ़ के उम्मीदवार हम भी हैं निगाह-ए-लुत्फ़ के उम्मीदवार हम भी हैं दिए हुए दिल-ए-बेकरार हम भी हैं हमारे दस्त-ए-तमन्ना की लाज भी रखना तेरे फ़क़ीरों में ऐ शहरे-यार हम भी हैं तुम्हारी एक निगाह-ए-करम में सब कुछ है पड़े हुए तो सारे राह-गुज़र हम भी हैं जो सर पे रखने को मिल ...

Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye Lyrics / नूर वाले मुस्तफ़ा आ गए छा गए / نور والے مصطفیٰ آ گئے چھا گئے

noor wale mustafa aa gaye chha gaye Naat-Khwaan:  Hafiz Tahir Qadri noor wale mustafa aa gaye chha gaye noor wale mustafa aa gaye chha gaye noor wale mustafa shehre aalam mein aa gaye dekhte hi dekhte saare jahan pe chha gaye jagmagaai hai ye duniya mustafa ke noor se mehr chamka maag chamka mustafa ke noor se jashne aaqa par sajin galiyaan sitaron ki tarha dil mein khushiyan raks karti hein bahaaron ki tarha doston dekho to sahi kaisi galiyaan saji hui hein kaisi ronakein lagi hui hein har taraf khushiyan hi khushiyan hein har taraf jande hi jande hein har jagah marhaba ya mustafa ki sadaein buland ho rahi hein marhaba ya mustafa marhaba ya mustafa marhaba ya mustafa marhaba ya mustafa sarkar ki aamad ...... marhaba dildar ki aamad ...... marhaba huzur ki aamad ...... marhaba purnoor ki aamad ...... marhaba mubarak ho wo shah parde se bah...

Nabi ka Zikr hi Khuda ka Zikr hai Lyrics / नबी का ज़िक्र ही खुदा का ज़िक्र है / نبی کا ذکر ہی خدا کا ذکر ہے

nabi ka zikr hi khuda ka zikr hai Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri nabi ka zikr hi khuda ka zikr hai nabi ki baat hi khuda ki baat hai yadullah keh diya to saabit ho gaya nabi ka haath hi khuda ka haath hai nabi ka zikr hi khuda ka zikr hai nabi ki baat hi khuda ki baat hai nabi ka lab par jo zikr hai bemisaal aaya kamaal aaya jo hijre taybaah mein yaad ban kar, khayaal aaya kamaal aaya teri duaaon hi ki badolat, azaabe rabb se bache hue hain jo haqq mein ummat ke tere lab par sawaal aaya kamaal aaya kausar bhi inhin ki hai, jannat bhi inhin ki hai sach puchho to allah ki, har cheez inhin ki hai na ban saki hai na ban sakega misaal teri jawaab tera tu shaahe khubaan, tu jaane jaanan hai chehra ummul kitaab tera tu sabse awwal tu sabse aakhir mila hai husne dawaam tujhko hai umr lakhon baras ki teri magar hai taaza shabaab tera apni rehmat ke samandar...

Na chhedo zikre jannat ab madina yad aaya hai Lyrics / ना छेड़ो ज़िक्र-ए-जन्नत अब मदीना याद आया है / نہ چھیڑو ذکرِ جنت اب مدینہ یاد آیا ہے

na chhedo zikr-e-jannat ab madina yaad aaya hai na chhedo zikr-e-jannat ab madina yaad aaya hai nabi ka sabz gumbad dil ki aankhon mein samaya hai mila karti hain munh maangi muraadein unke roze par gulaamon ne tere dar se jo maanga hai wo paaya hai khuda ki saltanat ke ho tum dulha ya rasulallah tumhaare waaste rab ne ye sab aalam sajaaya hai shab-e-asra mubarak baad thi ye hoor-o-gilma mein muhammad ko khuda-e-paak ne dulha banaaya hai namazon mein, azaan mein, kalma mein aur arsh par har jaa khuda ne naam tera naam se apne milaaya hai zameen ko cheerte daudhe hue aaye hain khidmat mein darakhton ne ishaara aapka jis waqt paaya hai ijaabat ne liya bosa tumhaare pyaare hothon ka dua ke waaste jis waqt tum ne lab hilaaya hai tumhaari zaat par kyun kar bharosa ho na aalam ko gunahgaaron ko tumne naare dozakh se bachaaya hai koi pursaan-e-haal apna nahin hai y...

Naat Sarkar Ki Parta hoon Main Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

naat sarkar ki padhta hun mein naat sarkar ki padhta hun mein bas isi baat se ghar mein mere rehmat hogi ek tera naam waseela hai mera ranj-o-gham mein bhi isi naam se rahat hogi ye suna hai ke bohot ghor andheri hogi qabr ka khauf na rakhna aye dil wahan sarkar-e-do aalam ki ziyarat hogi unko mukhtar banaya hai mere maula ne khuld mein bas wahi ja sakta hai jisko hasanain ke baba ki ijazat hogi hashr ka din bhi ajab dekhne wala hoga zulf lehra ke wo jab aayenge phir qayamat mein bhi ek aur qayamat hogi kahin yaseen kahin taha kahin wash-shams aaya jinki qasme mera rab khata hai kitni dilkash mere sarkar ki soorat hogi mera daman to gunahon se bhara hai altaaf ek sahara hai ke mein unka hun isi nisbat se sar-e-hashr shafa'at hogi

Allah Tera hai ehsan lyrics / Noore Ramzan / अल्लाह तेरा है अहसान / اللّٰہ تیرا ہے احسان / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

allah tera hai ahesaan shukr-e-KHuda karo, maah-e-rahmaan aa gaya taqseem karne ne'matei.n, ramzaan aa gaya allah tera hai ahesaan, roze, namaazei.n, aur quraan hei.n ye sab rooh-e-imaan, noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan 'ilm mashroot hai 'amal se, aur ye haasil hota hai jab koshish ki jaaye dil se 'ilm-o-'adab sikhlaaeinge, deen-e-KHuda failaaeinge masjid mei.n bhi jaaeinge, hum to naat sunaaenge allah tera hai ahesaan, tune badaa di sabki shaan aaya hai banke mahemaan, noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan deen-e-islaam, mohabbat ka payaam allah ka in'aam , KHaaliq ka hai paighaam kaisi hawa-e-'ishq chali, KHatm hui nafrat dil ki baant rahe hei.n pyaar sabhi , sahri ho ya iftaari allah tera hai ahesaan, ek hue saare insaan saj gaye ghar ghar dastar-khwaan, noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan meri KHaatir KHuda ! tune kya-kya kiya tune khus...

Nazar pe kisi ki Nazar ho rahi hai Lyrics in English ~ Hindi

nazar pe kisi ki nazar ho rahi hai meri chashm kaan-e-gauhar ho rahi hai mere khufiya naalo.n ko wo sun rahe hei.n 'inaayat kisi ki kidhar ho rahi hai wo taiba mei.n mujhko talab kar rahe hei.n talab meri ab mo'tabar ho rahi hai madine mei.n hu.n aur pichhla pahar hai shab-e-zindagi ki sahar ho rahi hai koi shab nahi.n hai zamaane mei.n aesi shab-e-taiba rashk-e-qamar ho rahi hai hua taalib-e-taiba matloob-e-taiba talab teri aye muntazir ho rahi hai nayi zindagi ki wo meh de rahe hei.n meri zindagaani amar ho rahi hai guzaara hai jis dar se dono.n jahaa.n ka usi dar pe apni guzar ho rahi hai madine se meri bala jaye akhtar meri zindagi waqf-e-dar ho rahi hai नज़र पे किसी की नज़र हो रही है मेरी चश्म कान-ए-गौहर हो रही है मेरे ख़ुफ़िया नालों को वो सुन रहे हैं 'इनायत किसी की किधर हो रही है वो तैबा में मुझको तलब कर रहे हैं  तलब मेरी अब मो'तबर हो रही है मदीने में हूँ और पिछला पहर है  शब्-ए-ज़िन्दगी की सहर हो रही है  कोई शब् नहीं है ज़माने में ऐसी शब्-ए-तैबा रश्क़-ए-कमर...

Nahin hai koi Duniya mein Humara - tadapta hai ye dil mera lyrics / नहीं है कोई दुनिया में हमारा - तड़पता है ये दिल मेरा

nahi.n hai koi duniya mei.n hamaara ya rasulallah ! nahi.n hai koi duniya mei.n hamaara ya rasulallah ! hamei.n to aap hi ka hai sahaara ya rasulallah ! nahi.n hai koi duniya mei.n hamaara ya rasulallah ! hu.n sar se paao.n tak dooba hua gham ke samandar mei.n nahi.n aata nazar koi kinaara ya rasulallah ! nahi.n hai koi duniya mei.n hamaara ya rasulallah ! talaatum-KHaiz hai dariya, bhanwar mei.n hai meri kashti nazar aata nahi.n koi kinaara ya rasulallah ! nahi.n hai koi duniya mei.n hamaara ya rasulallah ! tadapta hai ye dil mera, tarasti hei.n meri aankhei.n bulaalo ab madine mei.n dubaara ya rasulallah ! nahi.n hai koi duniya mei.n hamaara ya rasulallah ! tadapta hai mera dil aur tarasti hei.n meri aankhei.n bulaalo ab madine mei.n dubaara ya rasulallah ! nahi.n hai koi duniya mei.n hamaara ya rasulallah ! KHuda jab tumse farmaaye, ke laao apni ummat ko humaari taraf bhi kar dena ish...

Ne'matein bantata Jis simt wo zeeshan gaya || ने'मतें बांटता जिस सिम्त वो ज़ी-शान गया || نعمتیں بانٹتا جس سمت وہ ذی شان گیا || Lyrics

Roman(ENG): ne'mate.n bantata jis simt wo zee-shaan gaya sath hi munshi-e-rahmat ka qalam-daan gaya le khabar jald ke gairo.n ki taraf dhyaan gaya mere aaqa ! mere maula ! tere qurbaan gaya aah ! wo aankh ke nakaam-e-tamanna hi rahi haaye ! wo dil jo tere dar se pur-armaan gaya dil hai wo dil , jo teri yaad se ma'moor raha sar hai wo sar , jo tere qadmo.n pe qurbaan gaya unhe.n jaana , unhe.n maana , na rakkha gair se kaam lillahil hamd mai.n duniya se musalmaan gaya aur tum par mere aaqa ki inaayat na sahi najdiyo.n ! kalma padaane ka bhi ahesaan gaya aaj le unki panaah , aaj madad mang unse fir na maanenge , qayaamat me.n agar maan gaya uff re ! munkir ye bada josh-e-ta'assub aakhir bhid me.n hath se kambakht ke imaan gaya jaan-o-dil hosh-o-khirad sab to madine pahunche tum nahi.n chalte raza  , saara to saaman gaya Click Here for Mushkil Alfaaz ke ma'ani हिंदी(HINDI): ने'मतें बांटता जिस सिम्त वो ज़ी-शान गया साथ ही मुंशी-ए-रहमत का क़लम-दान गया ले ...

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन / اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلا سَیَّدْنا و مَولانا مُحَمّدٍ / Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammadin

Sohna Aaya Te saj gaye ne Galiyan Bazar Lyrics / सोहना आया ते सज गए ने गालियां बाज़ार

Sikka Chalega Amena ka Laal ka Lyrics / सिक्का चलेगा आमेना के लाल का / سکہ چلے گا آمنہ کے لال کا

Kya batau ki kya Madina hai lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है

Pandra so Sala Jashne Wiladat Lyrics / पन्द्रह-सौ साला जश्न-ए-विलादत

Peshe Haq Muzda Shafaat ka Sunate Jaaeinge Lyrics / पेश-ए-हक़ मुज़्दा शफ़ा'अत का सुनाते जाएंगे

Gali Gali Saj gayi Shaher Shaher Saj gaya Lyrics / गली गली सज गयी, शहर शहर सज गया

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर