Nahi hai Amena ke laal ki misal nahi
Nahi hai Amena ke laal ki misal nahi
Jamal e mustafa ka to kahi jamaal nahi
Sabhi zubano ki tarikh pad ke dekh liya
Zamane bhar mai kahi teri ek bhi misal nahi
Uruz apke judo karam ne bakhsha hai
Kasam Khuda ki mera zarra bhi kamal nahi
Tumhare hurmato namus par nikal aaye
Nahi hai deg koi neza koi dhal nahi
Har ek uruz ko hamne zaval dekha hai
Ye ek naat ka suraj jise zaval nahi
Tumhari mohr e nubuvvat ka rog tari hai
Nigahein kese uthaye koi majal nahi
Ada ne dohre nabi ki misal kese ho
Gulam lakho hai lekin koi bilal nahi
Hasan husain hai jannat ke dono shahzade
Nabi ki aal se bad kar to koi aal nahi
Ajab nahi hai UJAGAR vo roz hazir e dar
Mere nabi ke liye kuchh bhi to muhal nahi
Comments
Post a Comment