Nabi aaj paida hua chahta hai Lyrics

Nabi aaj paida hua chahta hai
Ye kaaba ghar uska hua chahta hai

Na kyu aaj kaba bane rashk e gulshan
Wo gul jalva farma hua chahta hai
Nabi aaj paida hua chahta hai

Ye ro ro ke apas mai but keh rahe hain
Khuda jaane ab kya hua chahta hai
Nabi aaj paida hua chahta hai



Nida aa rahi hai ke haq ke kamar ka
Jahan mai ujala hua chahta hai
Nabi aaj paida hua chahta hai

Kharidega isyaan ko rahamt ke badle
Kharid daar paida hua chahta hai
Nabi aaj paida hua chahta hai

Ye alam banaya hai jiska barati
Habeeba wo dulha hua chahta hai
Nabi aaj paida hua chahta hai

Jo alam katre se sairab karde
Rava aisa dariya hua chahta hai
Nabi aaj paida hua chahta hai

Falak ke sitare juke aa rahe hain
Ke paida vo maula hua chahta hai
Nabi aaj paida hua chahta hai

Khuda ke khazano ka muktaro hakeem
Shahe deeno duniya hua chahta hai
Nabi aaj paida hua chahta hai

Malaeek mu'addab rahe hukm e haq hai
Ke mehboob paida hua chahta hai
Nabi aaj paida hua chahta hai

Salato salam arz kar ae Jameel ab
Ijabat ka darbaa hua chahta hai
Nabi aaj paida hua chahta hai

Comments

Our Application

Our Application
Google Play Application

All Time Favorite

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / Lyrics

Ya Husain Ibne Ali Lyrics / या हुसैन इब्ने अली / یا حسین ابن علی in English Hindi Urdu

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar Lyrics / मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर / مرحبا مرحبا، اے علی کے پسر

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics / शाह सवार-ए-कर्बला की शाह सवारी को सलाम / شاہ سوارِ کربلا کی شاہ سواری کو سلام

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics / उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम / اس حسین ابنِ حیدر پہ لاکھوں سلام

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से / Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

husain zindabaad zindabaad rahega || हुसैन ज़िंदाबाद ज़िंदाबाद रहेगा || حسین زندہ باد زندہ باد رہیگا || Lyrics