Khushiya Manao Dhume Machao
Khushiya Manao Dhume Machao
Khushiya manao Dhume Machao Aa gae sarkar
Khushiya Manao Dhume Machao......
Amad hui hai inki sab zulmaten chhati hai
Aaj divano mil kar bolo aa gae sarkar
Khushiya Manao Dhume Machao.....
Pur noor hai ye aalam sab muskura rahe hai
Unki amad ke charche hai aa gae sarkar
Khushiya Manao Dhume Machao......
Aqa ki amad se to soye nasib jage
Kul nabiyon ke sarvar aaye aa gae sarkar
Khushiya Manao Dhume Machao......
Mehshar ke roz jinse pehchane jaenge ham
Kyu gabhrate ho divano aa gae sarkar
Khushiya Manao Dhume Machao.......
Ghar ghar charaga karlo Galiyon ko jagmagao
Milke lagao naara khushi ka aa gae sarkar
Khushiya Manao Dhume Machao........
Nazrana e akidat jo pesh kar raha hu
Naat likhi hai aaj ali ne aa gae sarkar
Khushiya Manao Dhume Machao.......