Posts

Showing posts with the label K

Khili Khili Kaliyaan hein, Taiba ki Galiyaan hein Lyrics / ख़िली ख़िली कलियाँ हैं, तैयबा की गलियाँ हैं / کِھلی کِھلی کلیاں ہیں، طیبہ کی گلیاں ہیں

khili khili kaliyaan hein, taiba ki galiyaan hein khili khili kaliyaan hein, taiba ki galiyaan hein khili khili kaliyaan hein, taiba ki galiyaan hein ajab dil-kusha hein, madine ki galiyaan mu'attar hein yun, jaise phoolon ki kaliyaan khili khili kaliyaan hein, taiba ki galiyaan hein madine ki har she'a nafaasat bhari hai madine se kaa'be ko izzat mili hai wahin ki to phoolon mein khushbu basi hai saba jum kar wajd mein keh rahi hai khili khili kaliyaan hein, taiba ki galiyaan hein madine se hoti hai taqseem-e-ne'mat wahin se bata karti hai saari daulat fida uspe hoti hai har waqt jannat barasti hai din-raat waan haq ki rahmat khili khili kaliyaan hein, taiba ki galiyaan hein muraadein yahin se gada paa rahe hein salaatin yahaan haath faila rahe hein bashar kya malaaik yahaan aa rahe juka kar sar-e-ijz farma rahe hein khili khili kaliyaan hein, taiba ki galiyaan hein wo galiya...

Qurbaani ka kissa hai Taarikh ka hissa hai Lyrics / क़ुरबानी का किस्सा है, तारीख का हिस्सा है / قربانی کا اسلام میں ہے مرتبہ افضل

qurbaani ka kissa hai taarikh ka hissa hai Naat-Khwaan: Mohammed Aziz allah ki marzi pe jo qurbaan hua hai shaan usko mili saahibe imaan hua hai qurbaani ka kissa hai taarikh ka hissa hai qurbani ka islam mein hai martaba afzal qurbani se ho jaata hai imaan mukammal aadam se maseeha talak aaye jo payambar qurbaniyaan dete rahe sab naame khuda par qurbani ka paygaam jahaan ko diya sab ne ikraar kiya azmate qurbani ka sabne qurbani se pura hua iqraar wafaa ka qurbani se bandon ko mila qurb khuda ka qurbani ko imaan ka juz jaan lo bando tum dil se har ek hukme khuda maan lo bando sar apna jukaate raho paygaame khuda par qurbani dilo jaan se do naame khuda par qurbaani ka kissa hai taarikh ka hissa hai quraan mein hai qurbani ki takmeel ka kissa ke hazrate ibrahimo ismaeel ka kissa the hazrat ibrahim bade saahibe azmat allah ne ata ki ...

Karbala ke Jaan Nisaron ko salam Lyrics / कर्बला के जाननिसारों को सलाम / کربلا کے جان نثاروں کو سلام

karbala ke jaan nisaaron ko salaam karbala ke jaan nisaaron ko salaam fatima zahra ke pyaaron ko salaam karbala teri bahaaron ko salaam jaanisari ke nazaron ko salaam karbala ke jaan nisaaron ko salaam fatima zahra ke pyaaron ko salaam ya hussain ibne ali mushkil kusha aap ke sab jaan-nisaaron ko salaam karbala ke jaan nisaaron ko salaam fatima zahra ke pyaaron ko salaam akbar-o-asghar pe jaan qurbaan ho mere dil ke taajdaaron ko salaam karbala ke jaan nisaaron ko salaam fatima zahra ke pyaaron ko salaam qasimo abbas par lakhon durood karbala ke shah-sawaaron ko salaam karbala ke jaan nisaaron ko salaam fatima zahra ke pyaaron ko salaam jis kisi ne karbala mein jaan di un sabhi imaandaaron ko salaam karbala ke jaan nisaaron ko salaam fatima zahra ke pyaaron ko salaam bhooki pyaasi bibiyon par ho durood bhooke...

Jannat me leke jayegi chahat rasool ki Lyrics / जन्नत में लेके जाएगी चाहत रसूल की / جنّت میں لے کے جائے گی چاہت رسولؐ کی

kyun kar na mere dil mein ho ulfat rasool ki kyun kar na mere dil mein ho ulfat rasool ki jannat mein leke jaegi chahat rasool ki jannat mein leke jaegi chahat rasool ki bigdi bhi banaenge dar pe bhi bulaaenge ghabrao na diwano sarkar bulaaenge chalta hoon main bhi kafile walo.n ruko zara milne do bas mujhe bhi ijaazat rasool ki jannat mein leke jaegi chahat rasool ki kya sabz sabz gumbad ka khoob hai nazara hai kis qadar suhana kaisa hai pyara pyara sarkar ne bulaake madina dikha diya hogi hame.n naseeb shafaat rasool ki jannat mein leke jaegi chahat rasool ki in aankho.n ka warna koi masraf hi nahin hai sarkar tumhara rukh-e-zaiba nazar aaye ya rab dikha de aaj ki shab jalwa-e-habib ik baar to ata ho ziyaarat rasool ki qabr mein sarkar aaye.n to main qadmom mein giru.n gar firishte bhi uthaaye.n to main unse yun kahu.n ab to p...

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں

mujh pe kyun band karte ho paani ya husain ya husain ya husain ya husain ya husain ya husain mera nana nabi meri maa sayyida mera baba ali mera bhai hasan ham hi hain panjtan ham hi hain panjtan meri kya hai khata meri kya hai khata meri kya hai khata meri kya hai khata mujh pe kyun band karte ho paani kya muhammad ka pyara nahin hoon kya main zehra ka jaaya nahin hoon kya nabi ka nawasa nahin hoon mujh pe kyun band karte ho paani kya muhammad ka pyara nahin hoon mere nana ne kalma sikhaya sur quraan tum ko sunaya kya main nana ka saaya nahin hoon kya nabi ka nawasa nahin hoon mujh pe kyun band karte ho paani kya muhammad ka pyara nahin hoon wo madina jahan mera ghar hai aur masjid mein us ghar ka dar hai kya main us ghar mein khela nahin hoon kya nabi ka nawasa nahin hoon mujh pe kyun band karte ho paani kya muhammad ka pyara nahin hoon chakkiyaan pees kar maa ne pala mujh ko nana ne jhula jhulaya apna bachpan main bhula nahin hoon kya nabi ka nawasa...

Karam ka chand utra hai Janabe Aamena ke ghar Lyrics / करम का चाँद उतरा है जनाबे आमिना के घर / کرم کا چاند اُترا ہے جنابِ آمنہ کے گھر

aamena ke ghar chaand utra hai aamena ke ghar chaand utra hai wo dekho aamena ke ghar chaand utra hai wo dekho karam ka chaand utra hai janabe aamena ke ghar khuda ka noor faila hai janabe aamena ke ghar wo rehbar hai rasoolon ka wo hai sartaj nabiyon ka khuda ne jisko bheja hai janabe aamena ke ghar charaage shab jalane ki zarurat hi nahin padti muhammad jab se aaya hai janabe aamena ke ghar shabe jashne wiladat hai wo jibraeel ko dekho mubarak dene baitha hai janabe aamena ke ghar ye kiski roshni jaati hai neele aasmanon tak diya ye kaisa jalta hai janabe aamena ke ghar sawere sath lekar kaun aaya hai ye farooqi ke shab ko bhi ujala hai janabe aamena ke ghar आमिना के घर चाँद उतरा है आमिना के घर चाँद उतरा है वो देखो आमिना के घर चाँद उतरा है वो देखो करम का चाँद उतरा है जनाबे आमिना के घर ख़ुदा का नूर फैला है जनाबे आमिना के घर वो रहबर है रसू...

क़ायदे अहले सुन्नत चले आइए / قائدِ اہلِ سنت چلے آئیے / Qaeed-e-Ahle Sunnat Chale Aaeeye Lyrics

qaeed-e-ahle sunnat chale aaiye qaeed-e-ahle sunnat chale aaiye sham'a-e-rushd-o-hidayat chale aaiye paikar-e-ilm-o-hikmat chale aaiye suni suni si hai bazm-e-ahle sunan qaeed-e-ahle sunnat chale aaiye baag-e-siddiq-e-akbar ke shaadaab ghul tajdar-e-wajahat chale aaiye tere jaane se mehfil ki raunak gayi rashk-e-husn-o-malahat chale aaiye tarjuman-e-ali wo raza kya gaya gham mein doobi hai ummat chale aaiye hurmat-e-haidari tera shewa raha ae mere sher-e-sunnat chale aaiye puri duniya ki mirzaiyat ke liye phir se ban kar qayamat chale aaiye bhigi palkon se hazrat anas ne kaha meri jaan meri izzat chale aaiye tere at'har ki khwahish hai itni si bas khwab mein ho ziyaarat chale aaiye qaeed-e-ahle sunnat chale aaiye sham'a-e-rushd-o-hidayat chale aaiye paikar-e-ilm-o-hikmat chale aaiye क़ायदे अहले सुन्नत चले आइए...

इन्नल तीयारी हस्सबा / اِنّ الطیاری حسبا / Innal Tiyari Hassaba Qaseeda-e-Zainul Aabidin

innal tiyari hassaba - Qaseeda-e-Zainul Aabidin allah allah allah allah allah allah allah allah ya sayyidi irhamlana ya sayyidi irhamlana innal tiyari hassaba yawman ila aradil haram ballig salami rawdatan fihan-nabiyul muhtaram manwaj-hu hu shamsu-dduha man khadduhu badru-dduja man zatuhu noorul huda man kaffuhu bahrul hamam qur'aanu hu burhanu na naskhan li adyanimm'datat izz jaa ana ahkamu-hu kullu suhufe-ssarul adam ya laytani kuntu kamany-yattabe'a nabiyyan aaleman yawman w laylan daeeman warzuq kazali bil karam ak'baduna majruhatun min sayfi hijril mustafa tuba l'ahli baldatin fihin'nabiyul muhtasham ya rehmatullil aalamin ant shafee'ul muznibin akrim lana yawmal hazeen fadlanw wa judanw wal karam ya rehmatullil aalamin adrik li zaynil aabidin mahdusi aydi...

Kash daste Tayba mai me bhatak ke mar jaata Lyrics / काश दस्त-ए-तैबा में मैं भटक के मर जाता / کاش دستِ طیبہ میں میں بھٹک کے مر جاتا

kash daste tayba mein main bhatak ke mar jaata kash daste tayba mein main bhatak ke mar jaata fir baqi-e-garqad mein dafn koi kar jaata kaash! jaanib-e-tayba aah! yun agar jaata chak chak mein lekar seena o jigar jaata kaash! gumbad-e-khazra par nigah padte hi khaak-e-gasht mein gir jaata fir tadap ke mar jaata ya nabi-e-rahmat ye mere dil ki hasrat hai khaak ban ke tayba ki kaash main bikhar jaata kaash! aisa mil jaata ishq naam sunte hi aankh bhi umand aati dil bhi gham se bhar jaata dil se ulfat-e-duniya bil-yaqeen nikal jaati khaar unke sehra ka dil mein ghar utar jaata jazba-e-ghazali do, walwale-e-bilaali do kaash murshidi jaisa milta pan jigar jaata zaeer-e-madina tu chal raha hai hans hans kar kaash le ke muztar qalb aur chashm-e-tar jaata be-dhadak madine mein daakhila hua tera kaash! paon ke badle sar ke bal agar jaata unka aa gaya attar...

Kyun aake ro raha hai Muhammad ke Shehar mein / क्यों आके रो रहा है मुहम्मद के शहर में / کیوں آکے رو رہا ہے محمد کے شہر میں

kyun aake ro rahaa hai muhammad ke shehar mein kyun aake ro rahaa hai muhammad ke shehar mein har dard ki dawaa hai muhammad ke shehar mein aao gunahgaaron chalo sar ke bal chalein tauba ka dar khula hai muhammad ke shehar mein kadmon ne unke khaak ko kundan banaa diya mitti bhi kimiya hai muhammad ke shehar mein sadqa luta rahaa hai khuda unke naam ka sona nikal rahaa hai muhammad ke shehar mein sab to jhuke hein khaana-e-kaaba ke saamne kaaba jhuka hua hai muhammad ke shehar mein saaya nahi hai gumbade khazra ka aaj bhi zinda ye mojzaa hai muhammad ke shehar mein aye raaz tu to hind mein maujood hai magar din raat pad rahaa hai muhammad ke shehar mein Full Lyrics ya nabi aap ke jalwon mein wo raanaaii hai dekhne par bhi meri aankh tamannaii hai haq ta-aala...

क्या ख़बर क्या सज़ा मुझको मिलती / کیا خبر کیا سزا مجھ کو ملتی / Kya khabar kya saza mujko milti Lyrics

kya khabar kya saza mujko milti kya khabar kya saza mujko milti mere aqa ne izzat bachali farde isyaan meri mujse le kar kaali kamli mein apni chhupali wo ata par ata karne wale aur ham bhi nahin talne wale jaisi dewdi hai waise bhikhari jaisa data hai waise sawali main gada hun magar kiske dar ka wo jo sultan-e-kauno makan hain ye gulaami badi mustanad hai mere sar par hai taaj-e-bilaali mein madine se kya aa gaya hun zindagi jaise bujh si gayi hai ghar ke andar faza suni suni ghar ke bahar sama khaali khaali meri umr-e-raavan bas thahar jaa ab safar ki zarurat nahi hai unke kadmon mein meri zameen hai aur haathon mein roze ki jaali main faqat naam lewa hun unka unki tauseef mein kya karunga main na iqbal khusru na sa'di main na kudsi jaami na haali kya khabar kya saza mujko milti mere aqa ne izzat bachali farde i...

kya Karun ke yaad aati hein sunehri jaliyaan Lyrics || क्या करूँ के याद आती हैं सुनहरी जालियां || کیا کروں کے یاد آتی ہیں سنہری جالیاں

kya karun ke yaad aati he.n sunehri jaliyaan kya karun ke yaad aati he.n sunehri jaliyaa.n dil me.n ek halchal machaati hai sunehri jaliyaa.n apni palko.n se unhe.n mai.n chumta hu.n der tak dil me.n jab bhi jagmagati hein sunehri jaliyaa.n phootne lagti hein phir ummid ki kirnein nayi khwaab aankho.n mein jagaati he.n sunehri jaliyaa.n zindagi bhar ki thakan ko door kar deti hai wo pyar se jab muskurati he.n sunehri jaliyaa.n puchhne wale ! mai.n lafzo.n mein bayaa.n kaise karu.n kya batau.n kya dikhati he.n sunehri jaliyaa.n jo yahaa.n pahuncha wo aaqa ki shafa'at pa gaya raah jannat ki dikhati he.n sunehri jaliyaa.n क्या करूँ के याद आती हैं सुनहरी जालियां क्या करूँ के याद आती हैं सुनहरी जालियां दिल में एक हलचल मचाती हैं सुनहरी जालियां अपनी पलकों से उन्हें मैं चूमता हूँ देर तक दिल मे...

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں

Ya Husain Ibne Ali Lyrics / या हुसैन इब्ने अली / یا حسین ابن علی in English Hindi Urdu

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar Lyrics / मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर / مرحبا مرحبا، اے علی کے پسر

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics / शाह सवार-ए-कर्बला की शाह सवारी को सलाम / شاہ سوارِ کربلا کی شاہ سواری کو سلام

अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन / اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلا سَیَّدْنا و مَولانا مُحَمّدٍ / Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammadin

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics / उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम / اس حسین ابنِ حیدر پہ لاکھوں سلام

Al Madad Peerane Peer Gause Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर / ہم نے آنکھوں سے دیکھا نہیں ہے مگر

husain zindabaad zindabaad rahega || हुसैन ज़िंदाबाद ज़िंदाबाद रहेगा || حسین زندہ باد زندہ باد رہیگا || Lyrics