Posts

Showing posts with the label roman

Aye Khatme Rusool Makki Madani Lyrics / अये खत्मे रसूल मक्की मदनी

Image
aye khatm-e-rusool makki madani - English Naat-Khwaan: Hafiz Uzair Akhtari aye khatm-e-rusool makki madani kaunain  mein tumsa koi nahin aye noor-e-mujassam tujh jaisa mahboob khuda ka koi nahin ausaaf to sab ne paaye hein par husn mein tumsa koi nahin aadam se janaab-e-isa tak sarkaar ke jaisa koi nahin tu hai  KHurshiid -e-risaalat pyaare ! chhup gaye hein teri wila mein taare ambiyaa aur hein sab  maah-paare tujh se hi noor liya karte hein ausaaf to sab ne paaye hein par husn mein tumsa koi nahin ho jaaye agar ek chashm-e-karam mahshar mein hamari laaj rahe aye shaafa-e-mahshar tere siwa bakhshish ka sila koi nahin khairaat muhammad se pa kar kis shaan se kehte hein mangte dukhiyon pe karam karne waale sarkar ke jaisa koi nahin aye khatm-e-rusool makki madani kaunain  mein tumsa koi nahin aye noor-e-mujassam tujh jaisa mahbuub khudaa ka koi nahin Naat-Khwaan: Sibtain Haidar taazim se leta hai khuda ...

Nematein bantata Jis simt wo zeeshan gaya Lyrics / नेमतें बांटता जिस सिम्त वो ज़ी-शान गया

ne'matein bantata jis simt wo zee-shaan gaya - English ne'matein bantata jis simt wo zee-shaan gaya sath hi munshi-e-rahmat ka qalam-daan gaya le khabar jald ke gairon ki taraf dhyaan gaya mere aaqa! mere maula! tere qurbaan gaya aah! wo aankh ke nakaam-e-tamanna hi rahi haaye! wo dil jo tere dar se pur-armaan gaya dil hai wo dil jo teri yaad se ma'moor raha sar hai wo sar jo tere qadmon pe qurbaan gaya unhein jaana, unhein maana, na rakkha gair se kaam lillahil hamd main duniya se musalmaan gaya aur tum par mere aaqa ki inaayat na sahi najdiyon! kalma padaane ka bhi ahesaan gaya aaj le unki panaah, aaj madad mang unse phir na maanenge, qayaamat mein agar maan gaya uff re! munkir ye bada josh-e-ta'assub aakhir bhid me.n hath se kambakht ke imaan gaya jaan-o-dil hosh-o-khirad sab to madine pahunche tum nahin chalte raza! saara to saaman gaya Click Here for Mushkil Alfaaz ke ma'ani ने'मतें बांटता जिस सिम्त वो ज़ी-शान गय...

Bhalai kar bhala hoga Burai kar bura hoga Lyrics / भलाई कर भला होगा , बुराई कर बुरा होगा

bhalai kar bhala hoga, buraai kar bura hoga - English bhalai kar bhala hoga , buraai kar bura hoga koi dekhe na dekhe par , KHuda to dekhta hoga ye gathri paap ki sar par, liye firta hai kyu.n nadaa.n bhalai se tu munh ko mod kar baitha hai kyu.n nadaa.n ye duniya chaar din ki hai fir iske baad kya hoga bhalai kar bhala hoga , buraai kar bura hoga abhi jitna bhi ji chaahe lagaale aag pani me.n ek aisa waqt bhi aayega teri zindagani me.n na hoga koi tera bas usi ka aasra hoga bhalai kar bhala hoga , buraai kar bura hoga zara daulat jo hath aayi hai to magroor ban baitha dil-e-insaniyat ke waste nasoor ban baitha khabar bhi hai tuje ek roz tera khaatma hoga bhalai kar bhala hoga , buraai kar bura hoga yahaa.n se zindagani teri khaali hath jayegi fakat karni teri duniya se tere sath jayegi wahaa.n ke waste bhi kuchh na kuchh to sochna hoga bhalai kar bhala hoga , buraai kar bura hoga ye angaare na chun tu apna daaman fulo.n se bharle ...

Nabiyon mein Sabse Afzal Rutba Mere Nabi ka Lyrics / नबियों में सबसे अफ़ज़ल रुतबा मेरे नबी का

Image
nabiyon mein sabse afzal rutba mere nabi ka - English nabiyon mein sabse afzal rutba mere nabi ka quraan hai mukammal chehra mere nabi ka utra nahin zameen par saaya mere nabi ka allah ka hai jalwa jalwa mere nabi ka nabiyon mein sabse afzal rutba mere nabi ka allah ki kasam wo taqdeer ke dhani hein jo log dekh aaye roza mere nabi ka nabiyon mein sabse afzal rutba mere nabi ka sarkaare do jahaan ka ye khaas mojaza hai kankar bhi pad rahe hein kalma mere nabi ka nabiyon mein sabse afzal rutba mere nabi ka ho jayein lakh paida islaam ke mukhaalif chalta rahe ga yun hi sikka mere nabi ka nabiyon mein sabse afzal rutba mere nabi ka kami karo na salaamo salaat mein wo khubiyaan hein sarware aalam ki zaat mein quraan utra pyare nabi ki sifaat mein haq ne na banaya aapsa jab kaaynat mein saari khudaai de di muhammad ke haath mein nabiyon mein sabse afzal rutba mere nabi ka muhammad mustafa allah...

Madina yaad aata hai Lyrics | dare aqdas pe haal e dil Lyrics / मदीना याद आता है | दर-ए-अक़दस पे हाल-ए-दिल सुनाना याद आता है

dar-e-aqdas pe haal-e-dil sunaana yaad aata hai Naat-Khwaans: Shahbaz Kamar Afridi dar-e-aqdas pe haal-e-dil sunaana yaad aata hai madina yaad aata hai, madina yaad aata hai madine me.n jo guzra wo zamaana yaad aata hai madina yaad aata hai, madina yaad aata hai adab se baith kar us gumbad-e-khazra ke saaye me.n nabi ki yaad me.n aansu bahaana yaad aata hai madina yaad aata hai, madina yaad aata hai rasoolallah ke darbaar me.n unki mahobbat me.n ye tera roz-o-shab ka aana-jaana yaad aata hai madina yaad aata hai, madina yaad aata hai uwes karni bole maa ijaazat dijiye mujhko judaaee me.n tadapta hu.n, madina yaad aata hai madina yaad aata hai, madina yaad aata hai mazaar-e-faatema pe karbala walo.n ki yaad aaee madine waale aaqa ka gharaana yaad aata hai madina yaad aata hai, madina yaad aata hai nabi ke zikr ki mahfil me.n aate hi mujhe m...

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Image
Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim sabse ulaa wa aala hamara nabi sabse bala wa wala hamara nabi apne maula ka pyara hamara nabi donon aalam ka dulha hamara nabi allaahumma salli-'ala sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim laakhon aae yahaan aur laakhon gae unche unche shahenshah yahaan na rahe kitne diye jale jalke phir bujh gae kya khabar kitne taare khile chhup gae par na doobe na dooba hamara nabi allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim jinke talwon ka dhowan hai aab-e-hayaat hai wo jaan-e-masiha hamara nabi khalq se auliya, auliya se rusool aur rasuulon se aala hamara nabi kaun deta hai dene ko munh chahiye dene wala hai sachcha hama...

Baarwi ka Chand aaya Barwi ka Chand Lyrics / बारवी का चाँद आया बारवी का चाँद

baarwi ka chand aaya baarwi ka chand baarwi ka chand aaya baarwi ka chand baarwi ka chand aaya baarwi ka chand jande lagaao, ghar ko sajaao  karke charagaan, khushiyaan manaao baarwi ka chand aaya baarwi ka chand baarwi ka chand aaya baarwi ka chand baccha baccha muskuraaya baarwi ka chand aaya khushiyon ka toofan laaya baarwi ka chand aaya baarwi ka chand aaya baarwi ka chand baarwi ka chand aaya baarwi ka chand jande lagaao, ghar ko sajaao  karke charagaan, khushiyaan manaao shadmani ke taraane gunjte hein dahar mein wajd mein har shakhs aaya baarwi ka chand aaya baarwi ka chand aaya baarwi ka chand baarwi ka chand aaya baarwi ka chand jande lagaao, ghar ko Sajaao  karke charagaan, khushiyaan manaao baarwi ka chand aaya baarwi ka chand baarwi ka chand aaya baarwi ka chand roshni hi roshni hai, chandni hi chandni zarra zarra jagmagaaya, baarwi ka chand aaya baarwi ka chand aaya ...

Khake Madina hoti Mein khaak-saar hota Lyrics / ख़ाक-ए-मदीना होती मैं ख़ाक-सार होता

“Khaak-e-Madina Hoti” ek roohani aur jazbaati kalaam hai jo Madina Munawwara ki muhabbat aur Rasool Allah ﷺ se wafadari ko bayan karta hai. Is kalaam mein ashq bhare alfaaz se Madina ki khaak, sabz gumbad aur huzoor ﷺ ke dar ki arzoo ka izhar hai. Yeh naat dil ko sukoon dene wali aur ishq-e-Rasool ﷺ se roshan hai. khaak-e-madina hoti main khaak-saar hota khaak-e-madina hoti main khaak-saar hota hoti rah-e-madina mera ghubaar hota aaqa agar karam se taiba mujhe bulaate roze par sadqe hota unpar nisaar hota mar mitke khub lagti mitti meri thikaane gar unki rah-guzar par mera mazaar hota ye aarzu hai dil ki hota wo sabz gumbad aur main gubaar ban kar us par nisaar hota taiba mein gar muyassar do gaz zameen hoti unke qareeb basta dil ko karaar hota bechain dil ko ab tak samja buja ke rakkha magar ab to is se aaqa nahin intezar hota wo bekason ke aaqa, bekas ko gar bulaate kyun sab ki thokaron par, padh kar khunwaar hota ...

Marhaba wo Habibe Khuda aa gaye Lyrics / मरहबा वो हबीबे खुदा आ गए

marhaba wo habibe khuda aa gaye marhaba marhaba marhaba marhaba marhaba wo habibe khuda aa gaye salle ala nabiyyena salle ala muhammadin josh mein aa gayi rehmate kibriya ham garibon ke haajat rawa aa gaye gam ke maron ke gam door hone lage shor utha ke mushkil kusha aa gaye marhaba marhaba marhaba marhaba marhaba wo habibe khuda aa gaye salle ala nabiyyena salle ala muhammadin aaftaabe risaalat daraksha hua door duniya se saara andhera hua zikr se unke dil jagmagaane laga leke anwaar noorul huda aa gaye marhaba marhaba marhaba marhaba marhaba wo habibe khuda aa gaye salle ala nabiyyena salle ala muhammadin ham gunaahgaar jate na jaane kahaan mil gayi hai khusha unke dar ki amaan faizo bakhshish ke dar khul gaye har taraf ho mubaarak shafeeul wara aa gaye marhaba marhaba marhaba marhaba marhaba wo habibe ...

Sohna Aaya Te saj gaye ne Galiyan Bazar Lyrics / सोहना आया ते सज गए ने गालियां बाज़ार

sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar saani na koi mere sohne nabi lajpaal da lab ke le aawaan kittu sohna tere naal da shaana ondhiyaan uchiyaan te rutba kamaal da lab ke le aawaan kittu sohna tere naal da sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar kyun na sohne diya siftaan karaan mein dam dam oda kyun na zikr karaan mein rabb ne banaaya oda rutba kamaal da lab ke le aawaan kittu sohna tere naal da sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar mera deen imaan hai tussi mere kon ho aap hi rabb de aakhari rasool ho rab ne banaaya nahi koi tere naal da lab ke le aawaan kittu sohna tere naal da sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar eda sona nabi koi duniya te aaya nahin yaar enu jeda koi rabb ne banaaya nahin deed mere nabi di aye rabb da nazaara sohn...

Mere Tum Khwaab mein Aao Lyrics / मेरे तुम ख़्वाब में आओ

mere tum khwaab mein aao mere ghar roshni hogi mere tum khwaab mein aao mere ghar roshni hogi meri qismat jagaa jaao inaayat ye badi hogi madine mujko aana hai ghame furkat mitaana hai kab aaqa-e-madina dar pe meri haazri hogi shahensha-e-madina do, tadapne ka kareena do wo aankh aaqa inaayat ho, ki jo ashkon bhari hogi banaalo apnaa diwaana, banaalo apnaa mastaana khazaane mein tumhaare kya kami pyaare nabi hogi ghame doori rulaata hai, madina yaad aata hai tasalli rakh aye diwane! teri bhi haazri hogi muje gar deed ho jaaye, to meri eid ho jaaye tera deedaar jab hoga, muje haasil khushi hogi khazaan ka sakht pehra hai, ghamon ka dhup andhera hai zara sa muskuraa doge, to dil mein roshni hogi ilahi! gumbade khazraa ke saaye mein shahaadat de meri laash unke kadmon mein na jaane kab padhi hogi hamein bhi izn mil jaaye shahaa qadmon mein aane ka na jaane kab...

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Image
kya bataun ki kya madina hai kya bataun ki kya madina hai bas mera mudda'aa madina hai uth ke jaaun kahan madine se kya koi dusra madina hai kya bataun ki kya madina hai uski aankhon ka noor to dekho jiska dekha hua madina hai kya bataun ki kya madina hai dil mein ab koi aarzu hi nahin ya muhammad hai ya madina hai kya bataun ki kya madina hai duniya wale to dard dete hein zakhmi dil ki dawa madina hai kya bataun ki kya madina hai mere aaqa! mujhe bula lijiye mujhko bhi dekhna madina hai kya bataun ki kya madina hai dil fida hai madine wale pa...

Ek Roz Mominon Tumhein marna zarur hai Lyrics / एक रोज़ मोमिनों तुम्हें मरना ज़रूर है / ایک روز مومنو! تمہیں مرنا ضرور ہے

ek roz mominon tumhein marna zarur hai ek roz mominon tumhein marna zarur hai padte raho namaaz ye qaule rasool hai padte raho namaaz toh chahere pe noor hai padte nahin namaaz ye apna kasur hai apne kiye ki aap saza jald paoge sidhe hi be namazi jahannam mein jaaoge jis roz ke takht pe baithega kibriya us waqt kya kahoge tumhein aayegi haya sharmo haya se us gadi sar ko jukaaoge jannat to kya milegi jahannam mein jaaoge tauba karo khudaara namaazien pada karo makro fareb jhuth se har dam bacha karo masjid khuda ka ghar hai ibaadat ka kaam hai duniya ka kaam karna to mutlak haraam hai padte hein jo namaaz jamaa'at se sar b sar tayyar kar rahe hein wo jannat mein apna ghar bakhshaayeinge khuda se use shaahe bahero bar muslim ne aur bukhari ne likhi hai ye khabar jo tark ki namaz to wo naash ho gaya jisne padhi namaz to wo paak ho gaya ...

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Salare Sahaba Wo Pahla Khalifa Lyrics / सालारे सहाबा वो पहला खलीफा

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika Lyrics / All Versions / या नबी सलाम 'अलैक या रसूल सलाम 'अलैक

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics / मदीने के आक़ा, सलामुन अलैक / مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है