Posts

Showing posts with the label hindi

Bhalai kar bhala hoga Burai kar bura hoga Lyrics / भलाई कर भला होगा , बुराई कर बुरा होगा

bhalai kar bhala hoga, buraai kar bura hoga - English bhalai kar bhala hoga , buraai kar bura hoga koi dekhe na dekhe par , KHuda to dekhta hoga ye gathri paap ki sar par, liye firta hai kyu.n nadaa.n bhalai se tu munh ko mod kar baitha hai kyu.n nadaa.n ye duniya chaar din ki hai fir iske baad kya hoga bhalai kar bhala hoga , buraai kar bura hoga abhi jitna bhi ji chaahe lagaale aag pani me.n ek aisa waqt bhi aayega teri zindagani me.n na hoga koi tera bas usi ka aasra hoga bhalai kar bhala hoga , buraai kar bura hoga zara daulat jo hath aayi hai to magroor ban baitha dil-e-insaniyat ke waste nasoor ban baitha khabar bhi hai tuje ek roz tera khaatma hoga bhalai kar bhala hoga , buraai kar bura hoga yahaa.n se zindagani teri khaali hath jayegi fakat karni teri duniya se tere sath jayegi wahaa.n ke waste bhi kuchh na kuchh to sochna hoga bhalai kar bhala hoga , buraai kar bura hoga ye angaare na chun tu apna daaman fulo.n se bharle ...

Madina yaad aata hai Lyrics | dare aqdas pe haal e dil Lyrics / मदीना याद आता है | दर-ए-अक़दस पे हाल-ए-दिल सुनाना याद आता है

dar-e-aqdas pe haal-e-dil sunaana yaad aata hai Naat-Khwaans: Shahbaz Kamar Afridi dar-e-aqdas pe haal-e-dil sunaana yaad aata hai madina yaad aata hai, madina yaad aata hai madine me.n jo guzra wo zamaana yaad aata hai madina yaad aata hai, madina yaad aata hai adab se baith kar us gumbad-e-khazra ke saaye me.n nabi ki yaad me.n aansu bahaana yaad aata hai madina yaad aata hai, madina yaad aata hai rasoolallah ke darbaar me.n unki mahobbat me.n ye tera roz-o-shab ka aana-jaana yaad aata hai madina yaad aata hai, madina yaad aata hai uwes karni bole maa ijaazat dijiye mujhko judaaee me.n tadapta hu.n, madina yaad aata hai madina yaad aata hai, madina yaad aata hai mazaar-e-faatema pe karbala walo.n ki yaad aaee madine waale aaqa ka gharaana yaad aata hai madina yaad aata hai, madina yaad aata hai nabi ke zikr ki mahfil me.n aate hi mujhe m...

Baarwi ka Chand aaya Barwi ka Chand Lyrics / बारवी का चाँद आया बारवी का चाँद

baarwi ka chand aaya baarwi ka chand baarwi ka chand aaya baarwi ka chand baarwi ka chand aaya baarwi ka chand jande lagaao, ghar ko sajaao  karke charagaan, khushiyaan manaao baarwi ka chand aaya baarwi ka chand baarwi ka chand aaya baarwi ka chand baccha baccha muskuraaya baarwi ka chand aaya khushiyon ka toofan laaya baarwi ka chand aaya baarwi ka chand aaya baarwi ka chand baarwi ka chand aaya baarwi ka chand jande lagaao, ghar ko sajaao  karke charagaan, khushiyaan manaao shadmani ke taraane gunjte hein dahar mein wajd mein har shakhs aaya baarwi ka chand aaya baarwi ka chand aaya baarwi ka chand baarwi ka chand aaya baarwi ka chand jande lagaao, ghar ko Sajaao  karke charagaan, khushiyaan manaao baarwi ka chand aaya baarwi ka chand baarwi ka chand aaya baarwi ka chand roshni hi roshni hai, chandni hi chandni zarra zarra jagmagaaya, baarwi ka chand aaya baarwi ka chand aaya ...

Khake Madina hoti Mein khaak-saar hota Lyrics / ख़ाक-ए-मदीना होती मैं ख़ाक-सार होता

“Khaak-e-Madina Hoti” ek roohani aur jazbaati kalaam hai jo Madina Munawwara ki muhabbat aur Rasool Allah ﷺ se wafadari ko bayan karta hai. Is kalaam mein ashq bhare alfaaz se Madina ki khaak, sabz gumbad aur huzoor ﷺ ke dar ki arzoo ka izhar hai. Yeh naat dil ko sukoon dene wali aur ishq-e-Rasool ﷺ se roshan hai. khaak-e-madina hoti main khaak-saar hota khaak-e-madina hoti main khaak-saar hota hoti rah-e-madina mera ghubaar hota aaqa agar karam se taiba mujhe bulaate roze par sadqe hota unpar nisaar hota mar mitke khub lagti mitti meri thikaane gar unki rah-guzar par mera mazaar hota ye aarzu hai dil ki hota wo sabz gumbad aur main gubaar ban kar us par nisaar hota taiba mein gar muyassar do gaz zameen hoti unke qareeb basta dil ko karaar hota bechain dil ko ab tak samja buja ke rakkha magar ab to is se aaqa nahin intezar hota wo bekason ke aaqa, bekas ko gar bulaate kyun sab ki thokaron par, padh kar khunwaar hota ...

Marhaba wo Habibe Khuda aa gaye Lyrics / मरहबा वो हबीबे खुदा आ गए

marhaba wo habibe khuda aa gaye marhaba marhaba marhaba marhaba marhaba wo habibe khuda aa gaye salle ala nabiyyena salle ala muhammadin josh mein aa gayi rehmate kibriya ham garibon ke haajat rawa aa gaye gam ke maron ke gam door hone lage shor utha ke mushkil kusha aa gaye marhaba marhaba marhaba marhaba marhaba wo habibe khuda aa gaye salle ala nabiyyena salle ala muhammadin aaftaabe risaalat daraksha hua door duniya se saara andhera hua zikr se unke dil jagmagaane laga leke anwaar noorul huda aa gaye marhaba marhaba marhaba marhaba marhaba wo habibe khuda aa gaye salle ala nabiyyena salle ala muhammadin ham gunaahgaar jate na jaane kahaan mil gayi hai khusha unke dar ki amaan faizo bakhshish ke dar khul gaye har taraf ho mubaarak shafeeul wara aa gaye marhaba marhaba marhaba marhaba marhaba wo habibe ...

Sohna Aaya Te saj gaye ne Galiyan Bazar Lyrics / सोहना आया ते सज गए ने गालियां बाज़ार

sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar saani na koi mere sohne nabi lajpaal da lab ke le aawaan kittu sohna tere naal da shaana ondhiyaan uchiyaan te rutba kamaal da lab ke le aawaan kittu sohna tere naal da sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar kyun na sohne diya siftaan karaan mein dam dam oda kyun na zikr karaan mein rabb ne banaaya oda rutba kamaal da lab ke le aawaan kittu sohna tere naal da sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar mera deen imaan hai tussi mere kon ho aap hi rabb de aakhari rasool ho rab ne banaaya nahi koi tere naal da lab ke le aawaan kittu sohna tere naal da sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar eda sona nabi koi duniya te aaya nahin yaar enu jeda koi rabb ne banaaya nahin deed mere nabi di aye rabb da nazaara sohn...

Mere Tum Khwaab mein Aao Lyrics / मेरे तुम ख़्वाब में आओ

mere tum khwaab mein aao mere ghar roshni hogi mere tum khwaab mein aao mere ghar roshni hogi meri qismat jagaa jaao inaayat ye badi hogi madine mujko aana hai ghame furkat mitaana hai kab aaqa-e-madina dar pe meri haazri hogi shahensha-e-madina do, tadapne ka kareena do wo aankh aaqa inaayat ho, ki jo ashkon bhari hogi banaalo apnaa diwaana, banaalo apnaa mastaana khazaane mein tumhaare kya kami pyaare nabi hogi ghame doori rulaata hai, madina yaad aata hai tasalli rakh aye diwane! teri bhi haazri hogi muje gar deed ho jaaye, to meri eid ho jaaye tera deedaar jab hoga, muje haasil khushi hogi khazaan ka sakht pehra hai, ghamon ka dhup andhera hai zara sa muskuraa doge, to dil mein roshni hogi ilahi! gumbade khazraa ke saaye mein shahaadat de meri laash unke kadmon mein na jaane kab padhi hogi hamein bhi izn mil jaaye shahaa qadmon mein aane ka na jaane kab...

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Image
kya bataun ki kya madina hai kya bataun ki kya madina hai bas mera mudda'aa madina hai uth ke jaaun kahan madine se kya koi dusra madina hai kya bataun ki kya madina hai uski aankhon ka noor to dekho jiska dekha hua madina hai kya bataun ki kya madina hai dil mein ab koi aarzu hi nahin ya muhammad hai ya madina hai kya bataun ki kya madina hai duniya wale to dard dete hein zakhmi dil ki dawa madina hai kya bataun ki kya madina hai mere aaqa! mujhe bula lijiye mujhko bhi dekhna madina hai kya bataun ki kya madina hai dil fida hai madine wale pa...

Ek Roz Mominon Tumhein marna zarur hai Lyrics / एक रोज़ मोमिनों तुम्हें मरना ज़रूर है / ایک روز مومنو! تمہیں مرنا ضرور ہے

ek roz mominon tumhein marna zarur hai ek roz mominon tumhein marna zarur hai padte raho namaaz ye qaule rasool hai padte raho namaaz toh chahere pe noor hai padte nahin namaaz ye apna kasur hai apne kiye ki aap saza jald paoge sidhe hi be namazi jahannam mein jaaoge jis roz ke takht pe baithega kibriya us waqt kya kahoge tumhein aayegi haya sharmo haya se us gadi sar ko jukaaoge jannat to kya milegi jahannam mein jaaoge tauba karo khudaara namaazien pada karo makro fareb jhuth se har dam bacha karo masjid khuda ka ghar hai ibaadat ka kaam hai duniya ka kaam karna to mutlak haraam hai padte hein jo namaaz jamaa'at se sar b sar tayyar kar rahe hein wo jannat mein apna ghar bakhshaayeinge khuda se use shaahe bahero bar muslim ne aur bukhari ne likhi hai ye khabar jo tark ki namaz to wo naash ho gaya jisne padhi namaz to wo paak ho gaya ...

Ye Kis Shahenshahe Wala Ki Aamad Aamad hai Lyrics / ये किस शहंशाहे-वाला की आमद आमद है

Naat-Khwaan: Owais Raza Qadri ye kis shahenshah-e-wala ki aamad aamad hai ye kis shahenshah-e-wala ki aamad aamad hai bolo marhaba bolo marhaba ye kaun se shah-e-baala ki aamad aamad hai bolo marhaba bolo marhaba rusool unhin ka to muzdaa sunaane aaye hein unhi ke aane ki khushiyaan manaane aaye hein firishte aaj jo dhoomein machaane aaye hein unhin ke aane ki shaadi rachaane aaye hein ye kis shahenshahe-waala ki aamad aamad hai bolo marhaba bolo marhaba chamak se apni jahaan ko jagmagaane aaye hein mahek se apni ye kooche basaane aaye hein ye sidhaa raasta haq ka bataane aaye hein ye haq ke bandon ko haq se milaane aaye hein ye kis shahenshahe waala ki aamad aamad hai bolo marhaba bolo marhaba jo gir rahe the unhein naaebon ne thaam liya jo gir chuke hein ye unko uthaane aaye hein raoof aese hein aur ye raheem hein itne ke ...

Falak ke nazaaron Zameen ki bahaaron Huzur aa gaye hain Lyrics / फलक के नज़ारों ज़मीं की बहारों हुज़ूर आ गए हैं

falak ke nazaaron zameen ki baharon huzur aa gaye hein huzur aa gaye hein huzur aa gaye hein falak ke nazaaron zameen ki baharon sab eiden manao huzur aa gaye hein utho gham ke maaron chalo be-saharon khabar ye sunao huzur aa gaye hein anokha nirala wo zee-shan aaya wo saare rasoolon ka sultan aaya are kaj kulaao are badshahon nigaahen jukaao huzur aa gaye hein huzur aa gaye hein huzur aa gaye hein hua char-su rehmaton ka basera ujaala ujaala sawera sawera haleema ko pahunchi khabar aamena ki mere ghar mein aao huzur aa gaye hein huzur aa gaye hain huzur aa gaye hain hawaon mein jazbaat hein marhaba ki fazaon mein nagmaat salle ala ki durudon ke gajre salaamon ke tohfe gulaamon sajaao huzur aa gaye hein huzur aa gaye hein huzur aa gaye hein sama hai sana-e-habeebe khuda ka ye milaad hai sarware ambiya ka nabi ke gadaaon sab ek dusre...

Kitna Pyara hai Pyare Muhammad ka naam Lyrics / कितना प्यारा है प्यारे मुहम्मद का नाम / کتنا پیارا ہے پیارے محمّد نہ نام

kitna pyara hai pyare muhammad ka naam kitna pyara hai pyare muhammad ka naam unpe lakho.n durood, unpe lakho.n salaam wo shaah-e-dee.n , wo paygambaro.n ke imaam unpe lakho.n durood , unpe lakho.n salaam kaun kehta hai wo he.n arab ke liye kamli wale nabi to he.n sab ke liye faiz paate he.n unse sabhi khaas-o-'aam unpe lakho.n durood , unpe lakho.n salaam wo muhammad bhi, taaha bhi, yaseen bhi rashk-e-imaan bhi, naazish-e-deen bhi jinpe naazil hua hai KHuda ka qalaam unpe lakho.n durood , unpe lakho.n salaam taajdaar-e-umam, sarwar-e-do jahaa.n sayyad-ul-ambiya shaah-e-kaun-o-makaa.n arsh-e-aa'zam se uncha hai jinka makaam unpe lakho.n durood , unpe lakho.n salaam jinki taaraeef khud haq ta'aala kare unki tauseef anwar koi kya likhe wo he.n aaqa mere ham he.n unke ghulam unpe lakho.n durood , unpe lakho.n s...

Ganj Bakhshe Faize Aalam Mazhare Noore Khuda Lyrics / गंज बख़्शे फ़ैज़े आलम, मज़हरे नूरे ख़ुदा

ganj bakhsh-e-faiz-e-aalam mazhar-e-noor-e-khuda Naat-Khwaan:  Hafiz Tahir Qadri ganj bakhsh-e-faiz-e-aalam, mazhar-e-noor-e-khuda naakisaara peer-e-kaamil, kaamilara rahnuma ganj bakhshi aapki mash-hoor hai, ham par karam kar karam, karwaa karam, donon jahaan mein rakh bharam ganj bakhsh-e-faiz-e-aalam , mazhar-e-noor-e-khuda naakisaara peer-e-kaamil , kaamilara rahnuma dildagi khasta dilon ki aapka dastoor hai ganj bakhshi aapke aafaaq mein mash-hoor hai ganj bakhsh-e-faiz-e-aalam , mazhar-e-noor-e-khuda naakisaara peer-e-kaamil , kaamilara rahnuma nargaa-e-aa’daa mein ye qalbe hazee mahsoor hai al-madad ya ganj bakhsh! muntazir mahjoor hai ganj bakhsh-e-faiz-e-aalam , mazhar-e-noor-e-khuda naakisaara peer-e-kaamil , kaamilara rahnuma ya ali makhdoom hajweri! baraa-e-dast khair gair ka hone na do, hamko gada, ya ganj bakhsh ganj bakhsh-e-faiz-e-aalam , mazhar-...

ibn-e-muslim musibat ke maare lyrics / इब्न-ए-मुस्लिम मुसीबत के मारे / ابنِ مسلم مصیبت کے مارے

ibn-e-muslim musibat ke maare dono.n maasum , muslim ke pyaare firte the jaa.n chhupaate be-chare paanw me.n unke chhale pade the  aur jeene ke laale pade the tanha jungle me.n the be-sahaare ibn-e-muslim musibat ke maare humse puchhengi maa ye bataao haal baaba ka apne sunaao kya bataaenge hum gham ke maare ibn-e-muslim musibat ke maare chup rahengi haa.n ! aankhe.n bahengi kaise amma ye sadma sahengi jab sunengi gaye wo tumhare ibn-e-muslim musibat ke maare dekhi hoti jo baaba ki turbat karte quraan ki jaa kar tilaawat ab kahaa.n jaaye.n hum be-sahaare  ibn-e-muslim musibat ke maare bola bhai , karo sabr bhai ! sabr hi me.n hai apni bhalaaee he.n ye taqdeer ke sab nazaare ibn-e-muslim musibat ke maare hai ye pardes mere biraadar ! kyu.n rulaate ho tum humko ro kar sun le , ro-na na dushman hamare ibn-e-muslim mus...

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Baghdad Hai Pyara Lyrics / बग़दाद है प्यारा

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا

Imdad kun Imdad kun Lyrics | Ya Ghaus-e-Aazam Dastagir Lyrics / इमदाद-कुन इमदाद-कुन | या ग़ौस-उल-आ'ज़म दस्त-गीर

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Sarkar ka nokar hun koi aam nahi hoon Lyrics / सरकार का नौकर हूँ कोई आम नहीं हूँ

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा