Meri Maa Pyari Maa Lyrics / मेरी माँ प्यारी माँ / میری ماں پیاری ماں
meri maa pyaari maa Naat-Khwaan: Shahana Shaikh suni suni dagar ujda ujda chaman bin tere ye na mehkega mashke khutan tut kar jaise gir jaayeiga ye gagan meri maa tu hai jannat mein mashko magan kaise tujhse kahun fir se aaja yahaan meri maa meri maa meri maa pyaari maa meri maa meri maa sabr karta to hun sabr aata nahin saamne teri surat koi laata nahin tera paigam ab koi laata nahin darde dil haaye mera bhi jaata nahin kisko apni sunaayeinge ham daastaan meri maa meri maa meri maa pyaari maa meri maa meri maa qabr teri bane ek umda chaman tera maila na ho ta-qayaamat qafan soti reh jaise soti ho koi dulhan ye duaa karte hain saare hi mardo zan tujhko mil jaaye jannat mein behtar maqaam meri maa meri maa meri maa pyaari maa meri maa meri maa ye to mumkin nahin bhool jaun tujhe ...