Ham Madine se Allah kyun aa gaye LyricsHam Madine se Allah kyun aa gaye
Qalbe Hairan ki Taskeen Wahin reh gayi
Dil Wahin reh gaya Jaan Wahin reh gayiKham Usi Dar pe Apni Zabeen reh gayi

Yaad aate hein Hamko Wo Shamo Sahar
Wo Sukune Dilo-Jaan Wo Rooho-Nazar
Ye Unhi ka Karam hai Unhi ki Ata
Ek Kaifiyate Dilnaheen reh gayiAllah Allah Wahan ka Duroodo Salam
Allah Allah Wahan ka Sujudo Qayam
Allah Allah Sahan ka Wo Kaifo Dawam
Wo Salate Sukun Aafareen reh gayi

Jis Jagah Sajda-Rezi ki Lazzat mili
Jis Jagah Har Qadam Unki Rehmat mili
Jis Jagah Noor rehta hai Shamo Sahar
Wo Falak reh gaya Wo Zameen reh gayi

Padh ke Nasrum-Minallahi Fathun-Qareeb
Jab huye Ham rawan Sooe Kooe Nabi
Barkatein Rehmatein sath Chalne lageen
Be-basi Zindagi ki Yahin reh gayi

Zindagani Wahin kash hoti basar
Kash Behzad aate na Ham Laut kar
Aur puri hui Har Tamanna magar
Ye Tamanna-e-Qalbe Hazeen reh gayiComments

Facebook Page

Followers

Popular Naat Lyrics

Wo jiske liye Mehfile Konain saji hai Lyrics || Roman(Eng) and Hindi(हिंदी)

Shahe Do Aalam Salaam Assalaam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी (Hindi)

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)