Ramzaan Ishq hai Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी


Roman(Eng) :


Karde Jo Aqlo Hosh se Anjaan Ishq hai
Manzil mile Us Raah ki pahechaan Ishq hai

Aanhon mein Hasraton ki Jagaah par Ummid ho
Ho Jis se bhalaa Sabka kuchh Aesi Nawid ho

Jinke liye taraste rahe Unki deed ho
Insaaniyat pe Jiska ho Imaan Ishq hai

Sabke liye Paigaam hai Ramzaan Ishq hai
Rabb ki riza pe Jaan bhi qurbaan Ishq hai

Har simt Uski ne-matein Uska kamaal hai
Patta bhi hil na paye kya Iski majaal hai
Qudrat ko Teri dekh kar hairaan Ishq hai

Rehmat ho Magfirat ho ya ho Aag se nijaat
Dena Usika kaam hai Uski hai ye sifaat

Bande ka kaam hai Fakat maane Usi ki Baat
Bas Uspe tawakkal hai to Imaan Ishq hai

Sabke liye Paigaam hai Ramzaan Ishq hai
Rabb ki rizaa pe Jaan bhi qurbaan Ishq hai

हिंदी :

करदे जो अक़्लो होश से अंजान इश्क़ है
मंज़िल मिले उस राह की पहचान इश्क़ है

आँखों में हसरतों की जगह पर उम्मीद हो
हो जिस से भला सबका कुछ ऐसी नवीद हो

जिनके लिए तरसते रहे उनकी दीद हो
इंसानियत पे हो जिसका हो ईमान इश्क़ है

सबके लिए पैगाम है रमजान इश्क़ है
रब्ब की रिज़ा पे जान भी क़ुर्बान इश्क़ है

हर सिम्त उसकी नेमतें उसका कमाल है
पत्ता भी हिल न पाए क्या इसकी मजाल है
क़ुदरत को तेरी देख कर हैरान इश्क़ है

रेहमत हो मगफिरत हो या हो आग से निजात
देना उसी का काम है उसकी हैं ये सिफ़ात

बन्दे का काम है फकत माने उसी की बात
बस उसपे तवक्कल है तो ईमान इश्क़ है

सबके लिए पैगाम है रमजान इश्क़ है
रब्ब की रिज़ा पे जान भी क़ुर्बान इश्क़ है



Same Lyrics from Different Words

Roman(Eng) :


Isaar , Sabr , Sakht hai , Ahesaan Ishq hai
Yaseeno Mulko Suraa-e-Rehman Ishq hai

Rabb se lagi ho loh to fir aasan Ishq hai
Sajde mein Sar kataane ka Armaan Ishq hai

Insaan ke urooj ka Meezaan Ishq hai
Allah ka Inaam hai Ramzaan Ishq hai

Pahele Qadam pe Ashraa-e-Rehmat ki Baarishein
Aur Dusre Qadam pe hai Aelaane Magfirat
Aakhir ke Das Dinon mein Mile Aag se Nijat

Hein Aashikon pe Rabb ki Musalsal Nawaazishein
Aur Dab-Dabai Aankhon mein Jannat ki Khwaahishein

Uski Madad se kis qadar aasan Ishq hai
Roze Ajal bandhaa tha jo Paymaan Ishq hai
Allah ka Inaam hai Ramzan Ishq hai




हिंदी :


इसार , सब्र , सख्त है , अहसान इश्क़ है
यासीनो मुल्को सुरा-इ-रेहमान इश्क़ है

रब्ब से लगी हो लोह तो फिर आसान इश्क़ है
सजदे में सर कटाने का अरमान इश्क़ है

इंसान के उरूज का मीज़ान इश्क़ है
अल्लाह का इनाम है रमज़ान इश्क़ है

पहले क़दम पे अशरा-इ-रेहमत की बारिशें
और दूसरे क़दम पे है ऐलाने मगफिरत
आखिर के दस दिनों में मिले आग से निजात

हैं आशिक़ों पे रब्ब की मुसलसल नवाज़िशें
और दब-दबाई आंखों में जन्नत की ख्वाशीषें

उसकी मदद से किस क़दर आसान इश्क़ है
रोज़े अजल बंधा था जो पैमान इश्क़ है

अल्लाह का इनाम है रमज़ान इश्क़ है
ramzan ishq hai, nasheed, ramzan naat, ramzan nasheed,

Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu