Ek Roz Mominon Tumhein marna zarur hai || एक रोज़ मोमिनों तुम्हें मरना ज़रूर है || Lyrics


Roman(ENG):


Ek Roz Mominon Tumhein marna zarur hai
Padte raho namaaz ye qaule Rasool hai

Padte raho namaaz toh chahere pe noor hai
Padte nahin namaaz ye apna kasur hai

Apne kiye ki Aap saza jald paoge
Sidhe hi be namazi jahannam mein jaaoge

Jis Roz ke takht pe baithega Kibriya
Us waqt kya kahoge Tumhein aayegi haya

Sharmo haya se Us gadi sar ko jukaaoge
Jannat to kya milegi Jahannam mein jaaoge

Tauba karo Khudaara Namaazien pada karo
Makro fareb jhuth se har dam bacha karo

Masjid Khuda ka Ghar hai Ibaadat ka kaam hai
Duniya ka kaam karna to mutlak haraam hai

Padte hein jo namaaz jamaa'at se Sar b Sar
Tayyar kar rahe hein wo jannat mein apna ghar

Bakhshaayeinge Khuda se Use Shaahe bahero bar
Muslim ne aur bukhari ne likhi hai ye khabar

Jo tark ki namaz to wo naash ho gaya
Jisne padhi namaz to wo paak ho gaya

Padte raho namaz to bahetar hai kaam hai
Deene Rasoole Paak ka Is se kayaam hai

Mat khao sood , sood ka khana haram hai
Bas ye Dua Khuda se Meri sub-ho shaam hai

Paaband be namazi ko kardo namaaz ka
Aur Uske Dil mein shauq Tum bhar do namaz ka

Naaraz apni biwi se hote ho har gadi
Kahete ho kaam Usko Tum har waqt har gadi

Usko bhi hai namaaz sikhai koi gadi
Tumse nikaah kar ke musibat mein hai padi

Dekho namaaz padna na Usko sikhaoge
Biwi ke sath khud bhi jahannam mein jaaoge

Aye Mominon namaaz ko Tum karna nahin kaza
Quraan mein ye saaf ye kaheta hai Kibriya

Marne ke baad hashr mein dulha banaayegi
Sahera najaat ka ye sar pe udaayegi

Shimre laeen ne Sar ko jo tan se juda kiya
Us dam sare Hussain tha sajde mein juka hua

Ahle jahaan ko Shauke Shahaadat dikha diya
Hakki raza mein apna hai kya ghar luta diya

Dekhoge kaisi kaisi Ibaadat namaaz hai
Bhule na marte dam bhi wo na'emat namaaz hai

Aye momino ! namaaz Khuda se milaayegi
Marne ke baad gulshane jannat dilaayegi

Khalik se Tumko Roze Jaza bakhshwaaegi
Jannat mein saath Apne Tumhe leke jaayegi

Saari Ibadaton mein Ibaadat namaaz hai
Aye Momino ye Deen ki daulat namaaz hai

Jo kuchh ke martaba tha bataaya namaaz ka
Howe ga Sar pe Hashr mein saya namaaz ka

Mazboot pakdo Haath safaya namaz ka
Ye martaba Khuda ne banaya namaz ka

Padlo namaaz dil se to ho jaaoge wali
Khil jaayegi fir aapse Dil ki kali kali

Taufik Mujko dedo aye Mere Kibriya
Karti rahun namaaz ki tableeg ja baza






हिंदी(HINDI):


एक रोज़ मोमिनों तुम्हें मरना ज़रूर है
पड़ते रहो नमाज़ ये क़ौले रसूल है

पड़ते रहो नमाज़ तो चेहरे पे नूर है
पड़ते नहीं नमाज़ ये अपना कसूर है

अपने किये की आप सजा जल्द पाओगे
सीधे ही बेनमाजी जहन्नम में जाओगे

जिस रोज़ के तख़्त पे बैठे गा किब्रिया
उस वक़्त क्या कहोगे तुम्हें आएगी हया

शर्मो हया से उस गड़ी सर को झुकाओगे
जन्नत तो क्या मिलेगी जहन्नम में जाओगे

तौबा करो खुदारा नमाज़ें पड़ा करो
मैक्रो फरेब झूठ से हर दम बचा करो

मस्जिद खुदा का घर है इबादत का काम है
दुनिया का काम करना तो मुतलक़ हराम है

पड़ते हैं जो नमाज़ जमाअत से सर ब सर
तैयार कर रहे हैं वो जन्नत में अपना घर

बख्शाएँगे खुदा से उसे शाहे बहरो बर
मुस्लिम ने और बुखारी ने लिक्खी है ये खबर

जो तर्क की नमाज़ तो वो नाश हो गया
जिसने पड़ी नमाज़ तो वो पाक हो गया

पड़ते रहो नमाज़ तो बहेतर है काम है
दीने रसूले पाक का इस से क़याम है

मत खाओ सूद , सूद का खाना हराम है
बस ये दुआ खुदा से मेरी सुब्हो शाम है

पाबन्द बेनमाजी को करदो नमाज़ का
और उसके दिल में शौक़ तुम भर दो नमाज़ का

नाराज़ अपनी बीवी से होते हो हर गड़ी
कहते हो काम उसको तुम हर वक़्त हर गड़ी

उसको भी है नमाज़ सिखाई कोई गड़ी
तुमसे निकाह कर के मुसीबत में है पड़ी

देखो नमाज़ पड़ना न उसको सिखाओगे
बीवी के साथ खुद भी जहन्नम में जाओगे

अये मोमिनों नमाज़ को तुम करना नहीं कज़ा
क़ुरआन में ये साफ ये कहता है किब्रिया

मरने के बाद हश्र में दूल्हा बनाएगी
सहेरा नजात का ये सर पे उड़ाएगी

शिमरे लईन ने सर को जो तन से जुड़ा किया
उस दम सरे हुसैन था सजदे में जुका हुआ

अहले जहां को शौक़े शहादत दिखा दिया
हक्की रज़ा में अपना है क्या घर लुटा दिया

देखोगे कैसी कैसी इबादत नमाज़ है
भूले न मरते दम भी वो नेअमत नमाज़ है

अये मोमिनों ! नमाज़ खुदा से मिलाएगी
मरने के बाद गुलशने जन्नत दिलाएगी

खालिक से तुमको रोज़े जज़ा बख्शवाएगी
जन्नत में साथ अपने तुम्हें लेके जाएगी

सारी इबादतों में इबादत नमाज़ है
अये मोमिनों ये दीं की दौलत नमाज़ है

जो कुछ के मर्तबा था बताया नमाज़ का
होवेगा सर पे हश्र में साया नमाज़ का

मज़बूत पकड़ो हाथ सफाया नमाज़ का
ये मर्तबा खुदा ने बनाया नमाज़ का

पडलो नमाज़ दिल से तो हो जाओगे वली
खिल जाएगी फिर आपसे दिल की कली कली

तौफीक मुझको देदो अये मेरे किब्रिया
करती रहूं नमाज़ की तब्लीग जा बजा



Comments

  1. assalamualaikum..

    jazakallah for sharing this.. i will looking for this since many years..

    ReplyDelete
  2. Shukriya....for sharing this...i really needed it..thnks a lt..

    ReplyDelete
  3. wow mashallah
    this nasheed is beautiful
    #love it

    ReplyDelete
  4. Ye naat mujhe bohot pasand hai Mai school me padhne wali hu

    ReplyDelete
    Replies
    1. Or m kal in sha allah masjid m padhne wala hu dua kijiyega

      Delete
  5. Bahuth acchi naath hai subhanallah

    ReplyDelete
  6. Y NAAT MUJE BOT PASAND H FAJAR KI AZAN K BAD DIL KRTA H M KHUD MASJID M PARHO YE NAAT FAJAR JI JAMAAT SE PEHLE.INSHAH ALLAH BOT JALD M DAILY PARHRA KARONGA M YE NAAT MASJID ME.DUA GO ASIF BHAI

    ReplyDelete

Post a Comment

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Labbaik Ya Rasulallah Lyrics || Hafiz Tahir Qadri || Roman(ENG) and हिंदी (HINDI)

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Sikka Chalega Amena ka Laal ka Lyrics || Gulam Mustafa Qadri || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI)

Sohna Aaya Te saj gaye ne galiyaan bazaar || सोहना आया ते सज गए ने गालियां बाज़ार Lyrics || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI):

Peshe Haq Muzda Shafaat ka Sunate Jaaeinge Lyrics || Roman(ENG) & हिंदी (HINDI)

Tera Khawan Mein Tere Geet gawan Ya Rasool Allah Lyrics || तेरा खावां में तेरे गीत गावां या रसूलल्लाह || Owais Raza Qadri

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Gali Gali Saj gayi Shaher Shaher Saj gaya || गली गली सज गयी, शहर शहर सज गया || Lyrics || Haifz Tahir Qadri