Posts

Showing posts with the label S

Sara pyar ae zamane da O de pyar ko waar deya Lyrics / सारा प्यार ऐ ज़माने दा, ओ दे प्यार को वार दिया

saara pyar ae zamane da o de pyar ko waar deya - English saara pyar ae zamane da o de pyar ko waar deya jind jaan mithal madani manthar to waar deya main roshani ankhiya di roze to fida karke guldast-e-darodaan de darbar to war deya saara pyar ae zamane da o de pyar ko waar deya jannat de haseen manzar chand taareyaan de jalwe main gumbad-e-khazra di singar to waar deya saara pyar ae zamane da o de pyar ko waar deya taseer tarannum di, taseer takallum di main zahra de baba di guftar to waar deya saara pyar ae zamane da o de pyar ko waar deya jajpalaan di lajpali sakhiyaan di sakhawat nu sultan-e-madina de ghar-baar to waar deya saara pyar ae zamane da o de pyar ko waar deya asmana di rif'at nu ambara di bulandi nu main masjid-e-nabawi de minaar to waar deya saara pyar ae zamane da o de pyar ko waar deya farooqi mohabbat de nazrane main pesh karaan sara husn haseena da sarkar to waar deya saara pyar ae zamane da o de pyar ko waar deya ...

Sarwar kahun ke Maliko Maula kahun Tujhe Lyrics / सरवर कहूँ के मालिक-ओ-मौला कहूँ तुझे

sarwar kahun ke maalik-o-maula kahun tujhe - English Naat-Khwaan:  Hafiz Tahir Qadri mere nabi sa donon jahaan mein koi nahin haan! koi nahin arsh-e-baree se farsh-e-zameen tak koi nahin haan! koi nahin sarwar kahun ke maalik-o-maula kahun tujhe baagh-e-khalil ka tujhe zaiba kahun tujhe ya saahib-al-jamaal! wa ya sayyad-il-bashar! min wajhik-al-muneer, wa laqad nuwiral qamar allah re tere jism-e-munawwar ki taabishein aye jaan-e-jaam! aye jaan-e-tajalla kahun tujhe sarwar kahun ke maalik-o-maula kahun tujhe tere to wasf aib-e-tana hi se hai baree hairaan hun mere shaah! main kya kya kahun tujhe bahaar-e-jaan fiza tum ho, naseem-e-gulsitaan tum ho bahaar-e-baagh-e-rizwaan tum se hai, zaib-e-jinaa tum ho haqiqat se tumhari juz khuda aur kaun waqif hai kahe to kya kahe koi chuni tum ho chunaan tum ho khuda ki saltanat ka do-jahaan mein kaun dulha hai tumhi tum ho tumhi tum ho, yahaan tum ho wahaan tum ho hairaa...

Shahe Hindul Wali Tum ho Khwaja Lyrics / शाहे हिन्दुल वली तुम हो ख़्वाजा

shahe hindul wali tum ho khwaja Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri khwaja mere khwaja khwaja mere khwaja ab kripa karo khwaja main tumra bhikari hun ya khwaja hasan tumri chokhat ka suwali hun mustafa ke pyare ladle! khwaja hame dar pe bula le shahe hindul wali tum ho khwaja hamko ajmer apna dikhado ham tumhare bhikari hain khwaja chishtiya rang apna chhaddado leke aaye hain kashkol khaali tumre roze pe saare suwali hai mueene jahan jaane haidar zindagi ab hamari saja do shahe hindul wali tum ho khwaja hamko ajmer apna dikhado tum ho waliyon ke raja jo hindul wali tumse faili hai khwaja yahan roshni hamko ajmer bulwalo khwaja sakhi door reh kar kategi na ye zindagi shahe hindul wali tum ho khwaja hamko ajmer apna dikhado tum ata-e-rasoole khuda ho ham garibon ka tum aasra ho sadka panjtan ka sanjar ke wali meri bigdi bhi khwaja bana do shahe hindul wali tum ho khwaja hamk...

Sara Nizame Hasti bolo Kis ka hai Lyrics / सारा निज़ाम-ए-हस्ती बोलो किस का है

sara nizaam-e-hasti bolo kis ka hai - English sara nizaam-e-hasti bolo kis ka hai khaaliq maalik allah hai bas allah hai maa ke pet mein bin maange vo deta hai fir bhi bande na shukri kyu karta hai khaaliq maalik allah hai bas allah hai machhli jaal mein aati hai jab ghaafil ho ae bande ye zikr nijaat ka zariya hai khaaliq maalik allah hai bas allah hai darwaze band kar ke gunaah kyu karta hai tanhaai mein dekhne wala allah hai khaaliq maalik allah hai bas allah hai tu hi ruton ko subh-o-shaam badalta hai tu hi murda zinda karne wala hai khaaliq maalik allah hai bas allah hai beej se pauda paude se phir ped bana kheton mein hariyaali tu hi laata hai khaaliq maalik allah hai bas allah hai is duniya mein sukh aur dukh to milte hain sabr o shukr ujagar karte rehna hai khaaliq maalik allah hai bas allah hai सारा निज़ाम-ए-हस्ती बोलो किस का है - Hindi सारा निज़ाम-ए-हस्ती बोलो किस का है ख़ालिक़ मालिक अ...

Sarkare Ghause Azam Nazre karam Khudara Lyrics / सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़रे करम खुदारा

Image
sarkar-e-ghaus-e-aa'zam ! nazr-e-karam KHudaara sarkar-e-ghous-e-aa'zam! nazr-e-karam khudara mera khali kaasa bhar do, main fakeer hun tumhara jholi ko meri bhar do, warna kahegi duniya aise sakhee ka mangata, firta hai maara-maara sabka koi na koi, duniya mein aasra hai mera ba-juz tumhaare koi nahin sahaara meera bane hein dulha, mahfil saji hui hai sab auliya baraati, kya khub hai nazaara ye ata-e-dastageeri, koi mere dil se puchhe wahin aa gaye madad ko, maine jab jahaan pukaara ye tera karam hai ya ghaus! jo bana liya hai apna kahaan mujhsa ye kameena, kahaan silsila tumhaara Same Lyrics in Different Style: aye shah-e-jilaan! aye meer-e-meeraan nazr-e-karam khudara! peeron ke peer nazr-e-karam khudara! roshan zameer nazr-e-karam khudara! nazr-e-karam khudara! sarkaar-e-ghous-e-aa'zam !...

Shuru se hai bas Is Ummat ka nara Ya Rasool Allah / शुरू से है बस इस उम्मत का नारा या रसूलअल्लाह

shuru se hai bas is ummat ka nara ya rasool-allah - English shuru se hai bas is ummat ka nara ya rasool-allah badi tehqiq se hum ne pukara ya rasool-allah yamama jung me kuffar bhi taqbeer padhte the farak tha momin mein aur kaafir mein nara ya rasool-allah sahih muslim mein likkha hai sahaba ne lagaya tha madine ke gali kuchon mein nara ya rasool-allah ali farmate hein jab hum nabi ke saath chalte the pahaadon pattharon ne bhi pukaara ya rasool-allah kuch aise hein jo hum se kehte hein ye shirk-o-bida’at hai unhin ke peer-o-murshid ne pukara ya rasool-allah shafa’at lazmi hogi usi ki dekh lena tum baroz-e-hashr bhi jisne pukara ya rasool-allah imam-e-aazam ho ya ho imam-e-zain-ul-aabidin padho inke aqaeed dekho nara ya rasool-allah qasam rab ki mere aaqa sama’at kar rahe honge zara milkar lagao tum bhi nara ya rasool-allah nahin hai kaam buzdil ka nidar hai jo bhi kehta hai mere mumtaz gaazi ka bhi nara ya rasool-allah शुरू से है बस इस उम्मत...

Tayyab Tahera Sayyida ma Aayesha Lyrics / तय्यबा ताहेरा सैय्यदा माँ आयशा

tayyaba tahera saiyyeda ma aayesha - English Naat Khvan : Hafiz Tahir Qadry tayyaba tahera saiyyeda ma aayesha saiyyeda ma aayesha saiyyeda ma aayesha ye fakira aalima hai saiyyeda ma aayesha ilm mein sab se juda saiyyeda ma aayesha aap ke bistar mubarak par bhi aati thi wahi kya makaam-o-martaba hai saiyyeda ma aayesha mustafa ne jaan di jab sar tha teri god mein ye to aizaz-e-khuda hai saiyyeda ma aayesha aap ki tasweer le kar aaye the rooh-ul-ameen zauz-e-shah-e-ambiya hai saiyyeda ma aayesha aayesha ka hujra anwar roza-e-sarkar hai ye mohabbat ka sila hai saiyyeda ma aayesha aap ki paaki mein utrin hein athra ayatein ye gawahi-e-khuda hai saiyyeda ma aayesha azmatein aisin ujagar arsh par naare lage tayyaba aur taahera hai saiyyeda ma aayesha तय्यबा ताहेरा सैय्यदा माँ आयशा तय्यबा ताहेरा सैय्यदा माँ आयशा सैय्यदा माँ आयशा, सैय्यदा माँ आयशा ये फ़कीरा आलिमा हैं सैय्यदा माँ आयशा इल्म में सबसे जुदा सैय्यदा माँ आयशा आपके बि...

Saiyidi Anta Habibi - Ek Nayi Naat Sunalun to Chalun Lyrics / सय्यिदी अंता हबीबी - एक नई नात सुना लूँ तो चलूँ

saiyyidi anta habibi - ek nayi naat sunalun to chalun - English saiyyidi anta habibi saiyyidi anta habibi mudda'a zist ka maine paya rahmat-e-haq ne kiya phir saya mere aaqa ne karam farmaya phir madine ka bulawa aaya pehle kuchh ashk bahalun to chalun ek nayi naat sunalun to chalu saiyyidi anta habibi saiyyidi anta habibi chand taare bhi mujhe dekhenge maah paare bhi mujhe dekhenge khud nazare bhi mujhe dekhenge gham ke maare bhi mujhe dekhenge main nazar sab se bachalun to chalun ek nayi naat sunalun to chalun saiyyidi anta habibi saiyyidi anta habibi shukr mein sar ko jukane ke liye daag hasrat ke mitane ke liye bakht-e-khabida jagane ke liye unke darbar mein jane ke liye apni aukat banalun to chalun ek nayi naat sunalun to chalun saiyyidi anta habibi saiyyidi anta habibi samne ho jo dar-e-lutf-o-karam yun karun arz ke ya shah-e-umam aa gaya aapka mohtaj-e-karam is gunahgar ka rakhiye ga bharam shauq ko ...

Sub'h Taiba mein hui Bat'ta hai Bada Noor ka Lyrics / सुबह़ तैबा में हुई बटता है बाड़ा नूर का

sub'h taiba mein hui baTta hai bada noor ka sub'h taiba mein hui baTta hai bada noor ka sadqa lene noor ka aaya hai taara noor ka baag-e-taiba mein suhana ful-fula noor ka mast bu hein bulbulein padti hai kalma noor ka barwi ke chand ka mujra hai sajda noor ka baara burzon se juka ek ek sitara noor ka aaee bid'at, chhaai zulmat rang badla noor ka maah-e-sunnat! Mehr-e-tal'at! lele badla noor ka tere hi maathe raha ae jaan! sehra noor ka bakht jaaga noor ka chamka sitara noor ka main gada tu badshah bharde piyala noor ka noor din duna tera de daal sadqa noor ka taaj waale dekh kar tera imama noor ka sar jukate hein ilahi bol baala noor ka sham'a dil, mishkaat tan, sina juzaaja noor ka teri surat ke liye aaya hai suraa noor ka naariyon ka daur tha dil jal raha tha noor ka tumko dekha ho gaya thanda kaleja noor ka jo gada dekho liye jaata hai toda noor ka noor ki sarkar hai kya is mein toda noor ka teri nasl-e-paak mein hai bachcha b...

Hazir hai Dare Daulat pe Gada, Sarkar Tawajjoh farmain Lyrics / हाज़िर है दरे दौलत पे गदा, सरकार तवज्जोह फरमाएं

Naat-Khwan: Owais Raza Qadri Asif Attari Arif Attari haazir hai dar-e-daulat pe gada, sarkaar tawajjoh farmaaein haazir hai dar-e-daulat pe gada, sarkaar tawajjoh farmaaein mohtaj-e-nazar hai haal mera, sarkaar tawajjoh farmaaein main kab aane ke qaabil tha, rahmat ne yahaan tak pahunchaya sarkaar pe tan-man-jaan fida, sarkaar tawajjoh farmaaein aansu aansu hein fariyaadi, aur 'arz-e-karam hichki-hichki dhadkan-dhadkan deti hai sada, sarkar tawajjoh farmaaein ek main hi nahin puri ummat, sari duniya sari khalqat takti hai rasta rahmat ka, sarkaar tawajjoh farmaaein Same Lyrics with different styles: haazir hai dar-e-daulat pe gada, sarkaar tawajjoh farmaaein mohtaj-e-nazar hai haal mera, sarkaar tawajjoh farmaaein ...

Sohna Aaya Te saj gaye ne Galiyan Bazar Lyrics / सोहना आया ते सज गए ने गालियां बाज़ार

sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar saani na koi mere sohne nabi lajpaal da lab ke le aawaan kittu sohna tere naal da shaana ondhiyaan uchiyaan te rutba kamaal da lab ke le aawaan kittu sohna tere naal da sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar kyun na sohne diya siftaan karaan mein dam dam oda kyun na zikr karaan mein rabb ne banaaya oda rutba kamaal da lab ke le aawaan kittu sohna tere naal da sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar mera deen imaan hai tussi mere kon ho aap hi rabb de aakhari rasool ho rab ne banaaya nahi koi tere naal da lab ke le aawaan kittu sohna tere naal da sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar eda sona nabi koi duniya te aaya nahin yaar enu jeda koi rabb ne banaaya nahin deed mere nabi di aye rabb da nazaara sohn...

Sarkar ki nagri mein anwaar utarte hein Lyrics / सरकार की नगरी में अनवार उतरते हैं

sarkar ki nagri mein anwaar utarte hai sarkar ki nagri mein anwaar utarte hai is shehr ke zarro se khurshid ubarte hai is dar ki ataon ne daman mera bhar dala hota hai karam unka din mere guzarte hai sarkar ki nagri mein......... ye aap ka kuncha hai is kunche ki galiyon mein joke bhi havaon ke khamosh guzarte hai sarkar ki nagri mein......... ye zakhm hai tayba ke mat chhed tabib inko ye zakhm nahi ese marham se jo bharte hai sarkar ki nagri mein......... tayba ki judai mein ab haal hai yu apna tehni se juda ho kar jese patte bikharte hai sarkar ki nagri mein......... karta nahi shahon ki dar e yuza ghari altaf bas mere kareem aqa joli meri bharte hai sarkar ki nagri mein......... सरकार की नगरी में अनवार उतरते हैं सरकार की नगरी में अनवार उतरते हैं इस शहर के ज़र्रों से खुर्शीद उभरते हैं इस दर की अताओं ने दामन मेरा भर डाला होता है करम उनक...

Samaa hai Noor ka Nikla Chand hai Lyrics / समां है नूर का निकला चाँद है

Naat-Khwaan: Owais Raza Qadri samaa hai noor ka niklaa chand hai niklaa chand hai niklaa chand hai niklaa chand hai samaa hai noor ka niklaa chand hai samaa hai noor ka niklaa chand hai niklaa chand hai niklaa chand hai niklaa chand hai niklaa chand hai samaa hai noor ka niklaa chand hai aasmaan par har nazar hai kaisa niklaa chand hai eide milaade muhammad mustafa ka chand hai niklaa chand hai niklaa chand hai niklaa chand hai niklaa chand hai sarkar ki aamad... marhaba dildaar ki aamad... marhaba manthaar ki aamad... marhaba huzoor ki aamad... marhaba purnoor ki aamad... marhaba zara jhoom ke bolo... marhaba lab chum ke bolo... marhaba parcham lehrakar bolo... marhaba samaa hai noor ka niklaa chand hai zulmate kufro zalaalat ka hai seena chaak chaak teeragi e daar mein niklaa khuda ka chand hai samaa hai noor ka niklaa chan...

Shehre nabi teri galiyon ka Lyrics / शहर-ए-नबी तेरी गलियों का / شہر نبی تیری گلیوں کا

shehr-e-nabi teri galiyon ka shehr-e-nabi teri galiyon ka naqsha hi kuchh aisa hai khuld bhi hai mushtaq-e-ziyarat jalwa hi kuchh aisa hai dil ko sukun de aankh ko thandak roza hi kuchh aisa hai farsh-e-zameen par arsh-e-baree ho lagta hi kuchh aisa hai unke dar par aisa juka dil uthne ka kuchh hosh nahin ahl-e-shari'at hein sakte mein sajda hi kuchh aisa hai 'arshe mu'allah sar pe uthaae taeer-e-sidra aankh lagaae patthar bhi qismat chamkaae talwa hi kuchh aisa hai sibt-e-nabi hai pusht-e-nabi par aur sajde ki haalat hai aaqa ne tasbeeh badha di beta hi kuchh aisa hai kham hai yahaan jamshed-o-sikander ismein kya hairaani hai unke ghulaamon ka ae akhtar! rutba hi kuchh aisa hai शहर-ए-नबी तेरी गल...

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics / शाह सवार-ए-कर्बला की शाह सवारी को सलाम / شاہ سوارِ کربلا کی شاہ سواری کو سلام

shah sawaar-e-karbala ki shah sawaari ko salaam rasm-e-‘ushshaaq yahi hai ke wafa karte hain yaani har haal mein haq apna ada karte hain hosla hazrat-e-shabbir ka allah allah sar juda hota hai aur shukr-e-khuda karte hain shah sawaar-e-karbala ki shah sawaari ko salaam neze pe qur’an padhne wale qaari ko salaam raat din bichhde huon ki raah mein rehna khade hazrat-e-sughra tumhari intezaari ko salaam sar se chaadar chhin gayi lekin nazar uthi nahin hazrat-e-zainab tumhari parda-daari ko salaam muskurate tegh pe roshan kiya rangeen charaagh akbar-o-qasim tumhari jaan-nisaari ko salaam kat gaya kumbha, museebat sar pe aayi, lut gayi ho gayi bhai bhatijon se judaai, lut gayi umar bhar ki daste gurbat mein kamaai lut gayi roke jab kehti thi zainab: haaye bhai lut gayi ghar ali ka kya luta, saari khudaai lut gayi har imtihaan mein shabir-o-shaakir rahe husain ...

Sarkar ka Milad Hamesha hi Saje ga Lyrics / सरकार का मिलाद हमेशा ही सजेगा / سرکار کا میلاد ہمیشہ ہی سجے گا

sarkar ka milaad hamesha hi saje ga Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri aaye aaye mere sarkar aaye mere dildar aaye mere ghamkhaar aaye sadiyon se ho raha hai ye kaise rukega sarkar ka milaad hamesha hi saje ga khushiyon ka sama hai masti mein jahaan hai milade nabi par har koi fida hai hamesha hamesha hamesha hi saje ga hamesha hamesha hamesha hi saje ga sarkar ka milaad hamesha hi saje ga chahat hai lagan hai duniya hi magan hai ghar ghar milaad ho sunni ka mission hai hamesha hamesha hamesha hi saje ga hamesha hamesha hamesha hi saje ga yun sarware aalam ka milaad manayein aaqa ki har ada ko zindagi mein layein apne nabi ki sunnat chehre pe bhi sajaayein ghairon ki mahobbat ko ab dil se nikaalein khushiyon ka sama hai masti mein jahaan hai milade nabi par har koi fida hai hamesha hamesha hamesha hi saje ga hamesha hamesha hamesha hi...

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Baghdad Hai Pyara Lyrics / बग़दाद है प्यारा

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا

Imdad kun Imdad kun Lyrics | Ya Ghaus-e-Aazam Dastagir Lyrics / इमदाद-कुन इमदाद-कुन | या ग़ौस-उल-आ'ज़म दस्त-गीर

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Sarkar ka nokar hun koi aam nahi hoon Lyrics / सरकार का नौकर हूँ कोई आम नहीं हूँ

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा