Shahe Hindul Wali Tum ho Khwaja Lyrics || Hafiz Tahir Qadri


Khwaja Mere Khwaja
Khwaja Mere Khwaja

Ab Kripa karo Khwaja Mein Tumra bhikari hun
Ya Khwaja Hasan Tumri Chokhat ka Suwali hun
Mustafa ke Pyare Ladle ! Khwaja Hame Dar pe bulale,

Shahe Hindul Wali Tum ho Khwaja
Hamko Ajmer Apna dikhado
Ham Tumhare Bhikari hein Khwaja
Chishtiya Rang Apna chadado

Leke Aaye hein Kashkol khali
Tumre Roze pe Sare Suwali
Hai Mueene Jahan Jaane Haidar
Zindagi ab Hamari saja do

Shahe Hindul Wali Tum ho Khwaja
Hamko Ajmer Apna dikhado

Tumho Waliyon ke Raja Jo Hindul Wali
Tumse faili hai Khwaja yahan roshni
Hamko Ajmer bulwalo Khwaja Sakhi
Door reh kar kategi na ye Zindagi

Shahe Hindul Wali Tum ho Khwaja
Hamko Ajmer Apna dikhado






Tum Ata-e-Rasoole Khuda ho
Ham Garibon ka Tum Aasra ho
Sadka Panjtan ka Sanjar ke Wali
Meri Bigdi bhi Khwaja banado

Shahe Hindul Wali Tum ho Khwaja
Hamko Ajmer Apna dikhado

Dare Khwaja pe Sawali ko khada rehne do
Sar Nadamat se juka hai to juka rehne do
Khud hi farmayeinge Mujrim pe Wo Rehmat ki nazar
Mujko Khwaja ki Ata'at mein khada rehne do
Mujko mil jayega Sadka Mein chala jaunga
Kasa-e-Dil Mera Qadmon mein pada rehne do

Sadka Panjtan ka Sanjar ke Wali
Meri Bigdi bhi Khwaja banado

Mere Khwaja Piya Mere Khwaja Piya
Mere Khwaja Piya Mere Khwaja Piya

Mere Is Dil ki chahat hai Ajmer mein
Meri Aankhon ki sarwat hai Ajmer mein
Dardmandon ki Rahat hai Ajmer mein
Ham Garibon ki Dolat hai Ajmer mein

Shahe Hindul Wali Tum ho Khwaja
Hamko Ajmer Apna dikhado

Khwaja Usman Haruni ke Pyare
Gause Aazam ki Aankhon ke Taare
Karke Nazre Karam Mujpe Khwaja
Mera Soya Nasiba Jaga do

Shahe Hindul Wali Tum ho Khwaja
Hamko Ajmer Apna dikhado
Ham Tumhare Bhikari hein Khwaja
Chishtiya Rang Apna chadado

Hai Ye Imran Aajiz Tumhara
Khwaja-e-Khwajgan Ab Khudara
Apne Daste Inayat se Pyare
Jaame Ulfat Ise bhi pila do

Shahe Hindul Wali Tum ho Khwaja
Hamko Ajmer Apna dikhado
Ham Tumhare Bhikari hein Khwaja
Chishtiya Rang Apna chadado

Naat Khwan : 

Hafiz Tahir Qadri

Comments

Post a Comment

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu