Kya batau ki kya Madina hai lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

haazir hai dar-e-daulat pe gada, sarkaar tawajjoh farmaaein
mohtaj-e-nazar hai haal mera, sarkaar tawajjoh farmaaein
main kab aane ke qaabil tha, rahmat ne yahaan tak pahunchaya
sarkaar pe tan-man-jaan fida, sarkaar tawajjoh farmaaein
aansu aansu hein fariyaadi, aur 'arz-e-karam hichki-hichki
dhadkan-dhadkan deti hai sada, sarkar tawajjoh farmaaein
ek main hi nahin puri ummat, sari duniya sari khalqat
takti hai rasta rahmat ka, sarkaar tawajjoh farmaaein

main kar ke sitam apni jaan par, quraan se "jaauu-k" padh kar
aaya hun bahot sharminda sa, sarkaar tawajjoh farmaaein
koi sajdon ki saugaat hai na koi
zohd-o-takwa mere paas sarkaar hai
chal pada hun main roze ki jaanib magar
haae! sar par gunaahon ka ambaar hai
jurm-o-isyaan se apne lajaata hua
aur ashk-e-nadaamat bahaata hua
teri rahmat pe nazren jamaata hua
dar pe haazir ye tera gunaahgar hai
aaya hun bahot sharminda sa, sarkaar tawajjoh farmaaein
tera saani kahaan! shaah-e-kaun-o-makaan!
mujhsa aasi bhi ummat men hoga kahaan
tere 'afwo karam ka shah-e-do jahaan
kya koi mujhse bad kar bhi haqdaar hai
aaya hun bahot sharminda sa, sarkaar tawajjoh farmaaein
aye gumbad-e-khazra ke makeen! meri madad kar
ya phir ye bata kaun mera tere siwa hai
aaya hun bahot sharminda sa, sarkaar tawajjoh farmaaein
aansu aansu hein fariyaadi, aur 'arz-e-karam hichki-hichki
dhadkan-dhadkan deti hai sada, sarkar tawajjoh farmaaein
ek main hi nahin puri ummat, sari duniya sari khalqat
takti hai rasta rahmat ka, sarkaar tawajjoh farmaaein
aye khasaa-e-khasane rusool, waqt-e-duaa hai
ummat pe teri aake ajab waqt pada hai
ek baar aur tu taibaa se falasteen men aa
rasta dekhti hai masjid-e-aqsa tera
sarkaar tawajjoh farmaaein, sarkaar tawajjoh farmaaein
jo deen badi shaan se nikla tha watan se
pardes mein wo aaj garibul gurbaan hai
sarkaar tawajjoh farmaaein, sarkaar tawajjoh farmaaein
kis-kis ko jaa kar kahein taajdaar-e-haram
Dera daale hue hein duniya ke gham
raham farma de ab teri ummat hen ham
sarkaar tawajjoh farmaaein, sarkaar tawajjoh farmaaein
bad hein to aap ke hein bhale hein to aapke
tukdon pe to yahin ke pale rukh kidhar karen
sarkaar tawajjoh farmaaein , sarkaar tawajjoh farmaaein
haazir hai dar-e-daulat pe gada, sarkaar tawajjoh farmaaein
mohtaj-e-nazar hai haal mera, sarkaar tawajjoh farmaaein
sarkaar tawajjoh farmaaein, sarkaar tawajjoh farmaaein
nigaah-e-lutf ke ummidwaar ham bhi hen
liye hue to dil-e-bekaraar ham bhi hen
hamaare dast-e-tamanna ki laaj bhi rakhna
tere faqiron men aye shaher-e-yaar ham bhi hen
mohtaj-e-nazar hai haal mera, sarkaar tawajjoh farmaaein
sarkaar tawajjoh farmaaein , sarkaar tawajjoh farmaaein
main kar ke sitam apni jaan par, quraan se "jaauu-k" padh kar
aaya hun bahot sharminda sa, sarkaar tawajjoh farmaaein
shukriya aapka sultaan madipne waale !
mujhsa aasee bhi hai maheman madine waale !
mujh kamine ko madine men bulaaya tumne
hai ye ahesaan pe ahesaan madine waale !
zaaeer-e-qabr-e-munawwar ki shafaa'at hogi
hai yahi aapka farmaan, madine waale !
main bhi to zaaeer-e-roza hun rasool-e-'arabi!
mujhko mat bhulna, sultaan madine waale !
main kar ke sitam apni jaan par, quraan se "jaauu-k" padh kar
aaya hun bahot sharminda sa, sarkaar tawajjoh farmaaein
tujhse chhupaaun munh to karun kiske saamne
kya aur bhi kisi se tawaqqo nazar ki hai
jaaun kahaan, pukaarun kise, kiska munh takun
kya pursish, aur jaah bhi sag-e-behunar ki hai
uff! be hayaeeyaan ke ye munh aur tere huzur
haan , tu kareem hai teri khoo darguzar ki hai
mohtaj-e-nazar hai haal mera, sarkaar tawajjoh farmaaein
ek main hi nahin puri ummat, sari duniya sari khalqat
takti hai rasta rahmat ka, sarkaar tawajjoh
farmaaein
al-bahru 'ala, wa-al mouju tagha, man bekas-o-tufaan hosh-ruba
manjdhaar men hun bigdi hai hawa, mori nayya paar laga jaana
sekdon ke dil munawwar kar diye
is taraf bhi aankh utha kar dekh lo
pesh karne ke liye kuchh nahin badkaar ke pas
dheron isyaan hen gunahgaaron ke sardaar ke pas
main gunahgaar, gunaahon ke siwa kya lata
nekiyaan hoti hen sarkaar! nekokaar ke pas
itna to karam karna, aye chashm-e-karimaana
jab jaan labon par ho, tum saamne aa jana
mohtaj-e-nazar hai haal mera, sarkaar tawajjoh farmaaein
sarkaar tawajjoh farmaaein , sarkaar tawajjoh farmaaein
haazir hai dar-e-daulat pe gada, sarkaar tawajjoh farmaaein
mohtaj-e-nazar hai haal mera, sarkaar tawajjoh farmaaein
حاضر ہے درِ دولت پہ گدا، سرکار توجّہ فرمایئے
محتاجِ نظر ہے حال مرا، سرکار توجّہ فرمایئے
میں کب آنے کے قابل تھا، رحمت نے یہاں تک پہنچایا
سرکار پہ تن من جان فدا، سرکار توجّہ فرمایئے
آنْسو آنْسو ہیں فریادی، اور عرضِ کرم ہچکی ہچکی
دھڑکن دھڑکن دیتی ہے صدا، سرکار توجّہ فرمایئے
ایک میں ہی نہیں پوری اُمّت، ساری دُنیا ساری خلقت
تکتی ہے رستہ رحمت کا، سرکار توجّہ فرمایئے
حاضر ہے درِ دولت پہ گدا، سرکار توجّہ فرمایئے
محتاجِ نظر ہے حال مرا، سرکار توجّہ فرمایئے
میں کر کے سِتم اپنی جاں پر، قرآن سے ’’جاوُو ک‘‘ پڑھ کر
آیا ہوں بہت شرمندہ سا، سرکار توجّہ فرمایئے
کوئی سجدوں کی سوغات ہے نہ کوئی زہد و تقویٰ مرے پاس سرکار ہے
چل پڑا ہوں میں روضے کی جانب مگر، ہائے! سر پر گناہوں کا انبار ہے
جُرم و عصیاں سے اپنے لجاتا ہوا اور اشکِ ندامت بہاتا ہوا
تری رحمت پہ نظریں جماتا ہوا، در پہ حاضر یہ تیرا گنہگار ہے
آیا ہوں بہت شرمندہ سا، سرکار توجّہ فرمایئے
تیرا ثانی کہاں! شاہِ کون و مکاں
مجھ سا عاصی بھی اُمّت میں ہوگا کہاں
تیرے عفو و کرم کا شہہِ دو جہاں
کیا کوئی مجھ سے بڑھ کر بھی حقدار ہے؟
آیا ہوں بہت شرمندہ سا، سرکار توجّہ فرمایئے
اے گنبدِ خضرا کے مکیں! میری مدد کر
یا پھر یہ بتا کون مرا تیرے سِوا ہے؟
آیا ہوں بہت شرمندہ سا، سرکار توجّہ فرمایئے
آنْسو آنْسو ہیں فریادی، اور عرضِ کرم ہچکی ہچکی
دھڑکن دھڑکن دیتی ہے صدا، سرکار توجّہ فرمایئے
ایک میں ہی نہیں پوری اُمّت، ساری دُنیا ساری خلقت
تکتی ہے رستہ رحمت کا، سرکار توجّہ فرمایئے
اے خاصّۂ خاصانِ رُسول، وقتِ دعا ہے
اُمّت پہ تیری آ کے عجب وقت پڑا ہے
ایک بار اور تُو طیبہ سے فلسطین میں آ
رستہ دیکھتی ہے مسجدِ اقصیٰ تیرا
سرکار توجّہ فرمایئے، سرکار توجّہ فرمایئے
جو دین بڑی شان سے نکلا تھا وطن سے
پردیس میں وہ آج غریب الغربا ہے
سرکار توجّہ فرمایئے، سرکار توجّہ فرمایئے
کس کس کو جا کے کہیں تاجدارِ حرم
ڈیرے ڈالے ہوئے ہیں دُنیا کے غم
رحم فرما دے اب تیری اُمّت ہیں ہم
سرکار توجّہ فرمایئے، سرکار توجّہ فرمایئے
بد ہیں تو آپ کے ہیں، بھلے ہیں تو آپ کے
ٹکڑوں پہ تو یہیں کے پلے، رُخ کدھر کریں؟
سرکار توجّہ فرمایئے، سرکار توجّہ فرمایئے
Comments
Post a Comment