Shuru se hai bas is ummat ka nara Yaa Rasool Allah
Shuru se hai bas is ummat ka nara Yaa Rasool Allah
Badi tehkik se hum ne pukara Yaa Rasool Allah
Yamama jung me kuffar bhi takbeer padhte the
Farak tha momin me aur kaafir me nara Yaa Rasool Allah
Sahih muslim me likha hai sahaba ne lagaya tha
Madine ke Galli Koocho me nara Yaa Rasool Allah
Ali farmate hai jab hum nabi ke saath chalte the
Pahado pattharo ne bhi pukara Yaa Rasool Allah
Kuch aise hai jo hum se kehte hai yeh shirk o bida’at hai
Unhi ke peero murshid ne pukara Yaa Rasool Allah
Shafa’at lazmi hogi usiki dekh lena tum
Baroaz e Hashr bhi jsine pukara Yaa Rasool Allah
Imam e Aazam ho ya ho Imam e Zainulabidin
Padho inke akayd dekho nara Yaa Rasool Allah
Kasam Rab ki mereAaqa sama’at kar rahe hoge
Zara milkar lagao tum bhi nara Yaa Rasool Allah
Nahi hai kaam busdil ka nidar hai jo bhi kehta hai
Mere Mumtaz Ghazi ka bhi nara Yaa Rasool Allah
Comments
Post a Comment