Saiyidi Anta Habibi By owais raza qadri
Saiyidi Anta Habibi Saiyidi Anta Habibi
Mudda'a jist ka maine paya
Rehmat e haq ne kiya fir saya
Mere aqa ne karam farmaya
Fir madine ka bulava aaya
Pehle kuchh ashk bahalu to chalu
Ek nayi naat sunalu to chalu
Chand taare bhi muje dekhenge
Mah paare bhi muje bhi dekhenge
Khud nazare bhi muje dekhenge
Gham ke maare bhi muje dekhenge
Mai nazar sab se bachalu to chalu
Ek nayi naat sunalu to chalu
Saiyidi Anta Habibi Saiyidi Anta Habibi
Shukr me sar ko jukane ke liye
Dag hasrat ke mitane ke liye
Bakhte khabida jagane ke liye
Unke darbar me jane ke liye
Apni aukat banalu to chalu
Ek nayi naat sunalu to chalu
Saiyidi Anta Habibi Saiyidi Anta Habibi
Samne ho jo dare lutf o karam
Yu karu arz ke ya shah e umam
Aa gaya apka mohtaj e karam
Is gunahgar ka rakhiye ga bharam
Shok ko arz banalu to chalu
Ek nayi naat sunalu to chalu
Saiyidi Anta Habibi Saiyidi Anta Habibi
Unki mid'hat me hai jina mera
Kese dubega safina mera
Dekhlo cheer ke sina mera
Dil hai shehr e madina mera
Dil Adib apna dikhalu to chalu
Ek nayi naat sunalu to chalu
Saiyidi Anta Habibi Saiyidi Anta Habibi
Jazakallah bro
ReplyDeleteMashallah
ReplyDelete