Posts

Showing posts with the label B

Bhalai kar bhala hoga Burai kar bura hoga Lyrics / भलाई कर भला होगा , बुराई कर बुरा होगा

bhalai kar bhala hoga, buraai kar bura hoga - English bhalai kar bhala hoga , buraai kar bura hoga koi dekhe na dekhe par , KHuda to dekhta hoga ye gathri paap ki sar par, liye firta hai kyu.n nadaa.n bhalai se tu munh ko mod kar baitha hai kyu.n nadaa.n ye duniya chaar din ki hai fir iske baad kya hoga bhalai kar bhala hoga , buraai kar bura hoga abhi jitna bhi ji chaahe lagaale aag pani me.n ek aisa waqt bhi aayega teri zindagani me.n na hoga koi tera bas usi ka aasra hoga bhalai kar bhala hoga , buraai kar bura hoga zara daulat jo hath aayi hai to magroor ban baitha dil-e-insaniyat ke waste nasoor ban baitha khabar bhi hai tuje ek roz tera khaatma hoga bhalai kar bhala hoga , buraai kar bura hoga yahaa.n se zindagani teri khaali hath jayegi fakat karni teri duniya se tere sath jayegi wahaa.n ke waste bhi kuchh na kuchh to sochna hoga bhalai kar bhala hoga , buraai kar bura hoga ye angaare na chun tu apna daaman fulo.n se bharle ...

Bakhte Khufta ne Muje Roze pe jane na diya Lyrics / बख़्त-ए-ख़ुफ़्ता ने मुझे रोज़े पे जाने ना दिया

bakht-e-khufta ne mujhe roze pe jaane na diya - English bakht-e-khufta ne mujhe roze pe jaane na diya chashm-o-dil seene kaleje se lagaane na diya aah ! qismat mujhe duniya ke ghamon ne roka haaye ! taqdeer ke taiba mujhe jaane na diya paaon thak jaate agar paaon banaata sar ko sar ke bal jaata magar zauf ne jaane na diya sar to sar jaan se jaane ki mujhe hasrat hai maut ne haaye mujhe jaan se jaane na diya sharbat-e-deed ne aur aag lagaadi dil mein tapash-e-dil ko badhaaya hai bujaane na diya ab kahaa.n jaayega naqsha tera mere dil se teh mein rakkha hai ise dil ne gumaane na diya sajda karta jo mujhe iski ijaazat hoti kya karun izan mujhe iska KHuda ne na diya mere aa'mal ka badla to jahannam hi tha main to jaata mujhe sarkaar ne jaane na diya mere aa'mal-e-siyaah ne kiya jeena doobar zahar khata tere irshaad ne khaane na diya nafs-e-badkar ne dil par ye qayaamat todi amal-e-nek kiya bhi to chhupaane na diya aur chamakti si ghazal koi padho...

Madine Mujhko bulalein bahot udas hun Main Lyrics / मदीने मुझको बुला लें, बहुत उदास हूँ मैं

madine mujhko bulalen bahot udas hu main - English hamein bulaalein aaqa hamein bulalein aaqa aaqa badi ummid hai sarkar qadmon mein bulaaeinge karam ki jab nazar hogi madine ham bhi jaaenge madine mujhko bulaalein bahot udaas hun main gham-e-jahaan se bachaalein bahot udaas hun main karam huzoor ho aisa ke saara ghar aaye mera sawal na tale bahot udaas hun main mai pichhle saal to aqa madine aaya tha huzoor phir se bulaalein bahot udaas hun main badi panaah mein aaya jo aaya taiba mein meri hayat bachale bahot udaas hun main udasiyon ne mere ghar pe pehra dala hai musibaton se nikalein bahot udaas hun main nahin hai gair ujagar gulam aapka hai gira hua hun uthalein bahot udaas hun main मदीने मुझको बुला लें, बहुत उदास हूँ मैं - Hindi हमें बुला लें आका, हमें बुला लें आका आका बड़ी उम्मीद है सरकार कदमों में बुलाएंगे करम की जब नज़र होगी मदीने हम भी जाएंगे मदीने मुझको बुला लें, बहुत उ...

Bawafa Bahaya Usmane Gani Lyrics / बावफ़ा बा-हया उस्माने गनी

bawafa bahaya usmane gani - English gani gani gani gani tarif teri aaqa se suni gani gani usmane gani tum shane sahaba jaane nabi gani gani usmane gani duniya ke sabhi sakhiyon se sakhi gani gani usmane gani jab tujko pukara baat bani gani gani usmane gani bawafa ba-haya usmane gani tisra khalifa hua usmane gani khuda-e-paak ki hai ek ata usmane zunnurain usmane zunnurain muhammad mustafa ke bawafa usmane zunnurain usmane zunnurain mukaddar mein tere aaye nabi ke do jigarpare bahot uncha hai tera martaba usmane zunnurain usmane zunnurain bawafa bahaya usmane gani tisra khalifa hua usmane gani tuje do hijraton se haq ta'ala ne nawaza hai ke maula ki hai tujpe ye ata usmane zunnurain usmane zunnurain bawafa bahaya usmane gani tisra khalifa hua usmane gani pehla khalifa siddiq aur dusra hai umar tisra usman hai aur chotha maula-e-ali rasulallah ko tere amal pe y...

Barwi da chand aa gaya Lyrics / बारवीं दा चांद आ गया

barwi da chand aa gaya taiba wala nabiyan da sardar barwi da chand aa gaya rab kitta onu kull mukhtaar barwi da chand aa gaya khatm nabuwwat kar ke aaya rahmat-e-aalam banke aaya dukhi dilaan da sukun te karaar barwi da chand aa gaya taiba wala nabiyan da sardar barwi da chand aa gaya jis di talab nu tarse zamaana shan-e-khuda hasanain da nana sunke arzaan kare beda paar barwi da chand aa gaya taiba wala nabiyan da sardar barwi da chand aa gaya tere shaher di shan nirali jag de sab sultan sawali shala wase tera sohna darbaar barwi da chand aa gaya taiba wala nabiyan da sardar barwi da chand aa gaya sham'-e-risalat saaqi-e-kausar arzaan sune sab haq da payambar hoor-o-qudsi bhi jisde nisaar barwi da chand aa gaya taiba wala nabiyan da sardar barwi da chand aa gaya jisnu chawe dar te bulawe apne karam di jalak dikhawe oh di rahmat da koi nahin shumar barwi da chand aa gaya taiba wala nabiyan da sardar barwi da chand aa...

Baarwi ka Chand aaya Barwi ka Chand Lyrics / बारवी का चाँद आया बारवी का चाँद

baarwi ka chand aaya baarwi ka chand baarwi ka chand aaya baarwi ka chand baarwi ka chand aaya baarwi ka chand jande lagaao, ghar ko sajaao  karke charagaan, khushiyaan manaao baarwi ka chand aaya baarwi ka chand baarwi ka chand aaya baarwi ka chand baccha baccha muskuraaya baarwi ka chand aaya khushiyon ka toofan laaya baarwi ka chand aaya baarwi ka chand aaya baarwi ka chand baarwi ka chand aaya baarwi ka chand jande lagaao, ghar ko sajaao  karke charagaan, khushiyaan manaao shadmani ke taraane gunjte hein dahar mein wajd mein har shakhs aaya baarwi ka chand aaya baarwi ka chand aaya baarwi ka chand baarwi ka chand aaya baarwi ka chand jande lagaao, ghar ko Sajaao  karke charagaan, khushiyaan manaao baarwi ka chand aaya baarwi ka chand baarwi ka chand aaya baarwi ka chand roshni hi roshni hai, chandni hi chandni zarra zarra jagmagaaya, baarwi ka chand aaya baarwi ka chand aaya ...

Aye Mere Pyare Baba Jaan! Banunaga Main Hafize Quraan Lyrics / ऐ मेरे प्यारे बाबा जान! बनूँगा मैं हाफ़िज़-ए-क़ुरआन

aye mere pyaare baba jaan! banunga main hafize quraan banunga main hafize quraan banunga main hafize quraan aye mere pyaare baba jaan mere dil mein hai armaan main bhi madarse jaunga banunga main hafize quraan suna hai hafize quraan ke maa baap ko jannat milti hai taaj-e fakhr unke sar par shaan o izzat milti hai muje bhi aisa moka de jaldi dakhila dilwa de banunga main bhi azeem insaan banunga main hafize quraan aye mere pyaare baba jaan mere dil mein hai armaan main bhi madarse jaunga banunga main hafize quraan ek ek aayaah padunga main darja b darja chadunga main manzil meri wahi hogi khatm jahan pe karunga main rabb ki nawazish paunga haq ki shifarish paunga banunga nabi ka main maheman banunga main hafize quraan aye mere pyaare baba jaan mere dil mein ...

Bulalo phir Mujhe Aye Shahe Bahrobar Madine mein Lyrics / बुला लो फिर मुझे ऐ शाहे बहरोबर मदीने में

Image
bulaalo phir mujhe aye shaahe bahrobar madine mein bulaalo phir mujhe aye shaahe bahrobar madine mein main phir rota hua aaun tere dar par madine mein main pahunchun koo-e-jaanaan mein girebaan chaak seena chaak gira de kaash mujhko shauq tadpa kar madine mein bulaalo phir mujhe aye shaahe bahrobar madine mein main phir rota hua aaun tere dar par madine mein madine jaane walon jaao jaao fi-amaanillah kabhi to apna bhi lag jaayega bistar madine mein bulaalo phir mujhe aye shaahe bahrobar madine mein main phir rota hua aaun tere dar par madine mein salaam-e-shouq kehna hajiyon mera bhi ro-ro kar tumhein aaye nazar jab roza-e-anwar madine mein bulaalo phir mujhe aye shaahe bahrobar madine mein main phir rota hua aaun tere dar par madine mein payaame shouq lete jaao meraa qaafile waalon sunaana daastan-e-gham meri ro kar madine mein bulaalo phir mujhe aye shaahe bahrobar madine mein main phir rota hua aaun tere dar ...

Bagdad wada nodhari navdi ne taro Lyrics / बग़दाद वाळा ! नोधारी नावड़ीने तारो / બગદાદ વાળા નોંધારી નાવડી ને તારો

baghdad wada nodhari navdi ne taro - English atoo͠la musaafir, otaara gana chhe wishad aa gagan par sitaara gana chhe dukho maan e machle chhe santoshéthi nathi eklo hu͠ bechaara gana chhe e jire mane moto bharaoso tamaro baghdad wada nodhari navdi ne taro nawdi mari dagmag dole mojao upar chadi hichkole e jire mari madade tame re padharo baghdad wada nodhari navdi ne taro e jire mane moto bharaoso tamaro baghdad wada nodhari navdi ne taro peero na peer chho, roshan zameer chho tado chho dukhda, tame dastageer chho e jire mane joie chhe qadri saharo baghdad wada nodhari navdi ne taro e jire mane moto bharaoso tamaro baghdad wada nodhari navdi ne taro madh dariyama.n tufan chadya chodhara upar warsad padya e jire mari udti beldi utaro baghdad wada nodhari navdi ne taro e jire mane moto bharaoso tamaro baghdad wada nodhari navdi ne taro kadiyug ma thase kem guzaro sochi rahyo chhe...

Badshah Husain Husain Badshah Husain Lyrics / बादशाह हुसैन हुसैन बादशाह हुसैन /بادشاہ حسین حسین بادشاہ حسین || Nadeem Sarwar

badshah husain husain badshah husain Naat-Khwaan: Nadeem Sarwar badshah husain husain badshah husain badshah husain husain badshah husain ye deen panahi ka sharaf kisko mila hai ye kiska lakab hai jo saare arsh likha hai badshah husain husain badshah husain badshah husain husain badshah husain ajmer ke khwaja ne ye sach khoob kaha hai la-rayb ke shabbir hi kalme ki baqa hai badshah husain husain badshah husain badshah husain husain badshah husain shah ast husain badshah ast husain deen ast husain deen panah ast husain sar daad na daad dast dar daste yazeed haqqaqe bina-e-lailaha ast husain badshah husain husain badshah husain badshah husain husain badshah husain karbo bala ishq-e-khuda ishq ka tu sultan husain shah husain badshah husain deen ast husain deen panah ast husain maula bada kaam kiya deen-e-khuda aam kiya kar na saka k...

Bagh Jannat ke hein baher-e-Mad'ha khwane Ahle bait Lyrics / बाग़ जन्नत के हैं बहार-ए-मद्हा खाने अहले बैत / >باغِ جنت کے ہیں بہارِ مدح خانے اہلِ بیت

baag jannat ke hein bahar-e-mad’ha khwane ahle bait baag jannat ke hein bahar-e-mad’ha khwane ahle bait tumko muzda naar ka ae dushmanan-e-ahle bait kis zaban se ho bayan izz-o-shaane ahle bait mad’ha-go-e-mustafa hai mad’ha khwane ahle bait unki paaki ka khuda-e-pak karta hai bayaan aaya-e-tat’heer se zaheer hai shaane ahle bait mustafa izzat badhane ke liye tazeem dein hein buland iqbal tera doodh maane ahle bait apna sauda bech kar bazaar suna kar gaye kaun si basti basai taajiraan-e-ahle bait ramz ka maidaan bana hai jalwagah-e-husno ishq karbala mein ho raha hai intehane ahle bait phool zakhmon ke khilaye hein hawa-e-dost ne khoon se sincha gaya hai gulsitane ahle bait hoorein karti hein aroosane shahadat ka singar khubroo dulha bana hai har jawan-e-ahle bait jumma ka din hai kitabein zist ki tay kar ke aaj khelte hein jaan par shehzad-gane ahle ba...

Bara Rabiul Awwal Ke Din Abre Baharan chhae Lyrics / बारा रबीउल अव्वल के दिन अब्रे बहाराँ छाए

bara rabiul awwal ke din abre baharaan chhaae bara rabiul awwal ke din abre baharaan chhaae mere sarkar aaye mere sarkar aaye aamena tere ghar aa kar jibreel payaam yeh laaye mere sarkar aaye mere sarkar aaye door hua duniya se andheraa, aaye aaqa hua saweraa abdullah ke ghar aangan, khusiyon ke baadal chhaye mere sarkar aaye mere sarkar aaye sookhi thin gulshan mein kaliyaan sooni thin makke ki galiyaan unke qadam se chaaron jaanib ho gaye noor ke saaye mere sarkar aaye mere sarkar aaye jo hai sab nabiyon ke rehbar, saare masiha, khalq ke rahbar jholi bharna kaam hai jinka aaj woh daata aae mere sarkar aaye mere sarkar aaye mushkil teri tal jaayegi, sookki kheti phal jaayegi daaee halima tere soye bhaag jagane aae mere sarkar aaye mere sarkar aaye mujh ko milaa paigam yeh mohsin duniya ko batla de mohsin jo hai nabi ka chaahne waala apne ghar ko sajaae mere sark...

Be-misl hai Konain mein Sarkar ka Chehra Lyrics / बेमिस्ल है कौनेन में सरकार का चेहरा / بے مثل ہے کونین میں سرکار کا چہرہ

be-misl hai konain mein sarkar ka chehra be-misl hai konain mein sarkar ka chehra aayina-e-haq hai shahe abrar ka chehra dekhein to dua mange yahi yusufe qin'aa takta rahu khalik tere shahkar ka chehra aye mutallibi phool baharon ke payambar khilta hai tere naam se gulzar ka chehra khurshide halima teri mushtaq hein ankhein bhata nahin ab maah ziyawar ka chehra aye khuld karunga tera didar bhi lekin is dam hai nazar mein tere mukhtar ka chehra wasshams ki ye wa we kasam kehti hai mud kar be-dag raha shah ke kirdar ka chehra jalwon se ho ma'moor na kyun dil ka madina aankhon mein hai us matla-e-anwar ka chehra dorane shafa'at wo sukun baksh dilase be-fikr nadamat hai gunahgar ka chehra puchha jo ye saeel ne ke kya chiz hai ahsan siddiq ne barjasta kaha yaar ka chehra jabke jo naseer aankh dame naz'ato ya rabb putli mein fire...

Banda Qadir ka bhi Qadir bhi hai Abdul Qadir Lyrics / बंदा क़ादिर का भी क़ादिर भी है अब्दुल क़ादिर / بندہ قادر کا بھی قادر بھی ہے عبدالقادر

banda qadir ka bhi qadir bhi hai abdul qadir banda qadir ka bhi qadir bhi hai abdul qadir sirre baatin bhi hai zaahir bhi hai abdul qadir mufti-e-shar'a bhi hai qaazi-e-millat bhi hai ilme asraar se maahir bhi hai abdul qadir mamba-e-faiz bhi hai majma-e-afzaal bhi hai mahr-e-irfaan ka munawwar bhi hai abdul qadir qutb-e-abdaal bhi hai mahwar-e-irshaad bhi hai markaz-e-daa'ira-e-sirr bhi hai abdul qadir silk-e-irfaan ki ziya hai yahi durr-e-mukhtaar fakhr-e-ashbaah wo naza'ir bhi hai abdul qadir uske farmaan hain sab sharh-e-hukm-e-shar'a maz'har-e-nahee wo ameer bhi hai abdul qadir zee tasarruf bhi hai ma'zoon bhi mukhtaar bhi hai kaar-e-aalam ka mudabbir bhi hai abdul qadir rashk-e-bulbul hai raza laala-e-sad-daagh bhi hai aap ka waasif wo zaakir bhi hai abdul qadir बंदा क़ादिर का भी क़ादिर भी है अब्दुल क़ादिर बंदा क़ादिर का भी क़ाद...

बख़्शिश को लाज़मी है ज़मानत रसूल की / بخشش کو لازمی ہے ضمانت رسول کی / Bakhshish ko lazmi hai zamanat Rasool ki Lyrics

bakhshish ko laazmi hai zamaanat rasool ki bakhshish ko laazmi hai zamaanat rasool ki hai do jahan mein hamko zarurat rasool ki pehle basao dil mein mahobbat rasool ki phir dekho dil ki aankh se surat rasool ki samjha na koi shaan-e-risaalat rasool ki allah jaanta hai haqeeqat rasool ki maana gunaahgaar hai ummat rasool ki mehshar mein dhoondh legi shafa'at rasool ki gauso raza mile humein khwaja piya mile ham pe hai aashiqon ye inaayat rasool ki karte hain aehteraam-e-janaaza ham is liye wo karne jaa raha hai ziyaarat rasool ki taufiq naat-e-ahmad-e-mursal mili tujhe afzal khuda ka fazl inaayat rasool ki बख़्शिश को लाज़मी है ज़मानत रसूल की बख़्शिश को लाज़मी है ज़मानत रसूल की है दो जहाँ में हमको ज़रूरत रसूल की पहले बसाओ दिल में मोहब्बत रसूल की फिर देखो दिल की आँख से सूरत रसूल की समझा न कोई शान-ए-रिसालत रसूल की अल्लाह जानता है हक़ीक...

Badi ummid hai sarkar qadmon mein bulaenge Lyrics / बड़ी उम्मीद है सरकार क़दमों में बुलाएंगे / بڑی اُمید ہے سرکار قَدموں میں بُلائیں گے

badi ummid hai sarkar qadmon mein bulayenge badi ummid hai sarkar qadmon mein bulayenge karam ki jab nazar hogi madine ham bhi jayenge agar jana madine mein hua ham gham ke maaron ka makine gumbad-e-khazra ko haale dil sunayenge ghar tum na sunoge to meri kaun sunega ghar tum na karoge to karam kaun karega makine gumbad-e-khazra ko haale dil sunayenge gunahgaron mein khud aake shamil parsa honge shafi-e-hashr jab daman-e-rehmat mein chhupayenge kasam allah ki hoga wo manzar deed ke qabil qayamat mein rasulullah jab tashreef layenge gham-e-ishq-e-nabi se hoga jab ma'moor dil tayyab tere zulmat-kade mein bhi sitare jagmagayenge बड़ी उम्मीद है सरकार क़दमों में बुलाएंगे बड़ी उम्मीद है सरकार क़दमों में बुलाएंगे करम की जब नज़र होगी मदीने हम भी जाएंगे अगर जाना मदीने में हुआ हम ग़म के मारों का मकीने ग़ुंबद-ए-ख़ज़रा को हाल-ए-दिल सुनाएंगे गर तुम न सुनोग...

Bolo Madina Madina Lyrics / Na Kaleem ka tasawwur / बोलो मदीना मदीना - न कलीम का तसव्वुर / بولو مدینہ، مدینہ

bolo madina, madina, madina bolo madina, madina, madina bolo madina, madina, madina na kaleem ka tasawwur, na khayaal-e-toor-e-seena meri aarazu muhammad, meri justaju madina mere doobne me.n baaki, na koi kami rahi thi kaha al-madad muhammad, to ubhar gaya safeena nahi.n maal-o-zar to kya hai, mai.n garib hu.n yahi na mere ishq mujhko le chal, tu hi jaanib-e-madina mujhe gardisho.n na chhedo, mera hai koi jahaa.n me.n mai.n abhi pukaar lunga, nahin door hai madina tasweer-e-mustafa jo, nazar aa rahi hai dil me.n mai.n sochta hu.n dil me.n, mera dil hai ya madina inhi.n dono.n manzilo.n ki, mehdo.n me.n kho gaya hu.n kabhi ru-baru hai kaa'ba, kabhi saamne madina ba-juz iske zindagi mein, nahin aur kuchh tamanna muje maut bhi jo aaye, to ho samne madina ...

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Baghdad Hai Pyara Lyrics / बग़दाद है प्यारा

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا

Imdad kun Imdad kun Lyrics | Ya Ghaus-e-Aazam Dastagir Lyrics / इमदाद-कुन इमदाद-कुन | या ग़ौस-उल-आ'ज़म दस्त-गीर

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Sarkar ka nokar hun koi aam nahi hoon Lyrics / सरकार का नौकर हूँ कोई आम नहीं हूँ

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा