Banda Milne ko kareeb-e-Hazrate Qadeer gaya
Banda Milne Ko Kareebe Hazrat-e-Qadir Gaya
Lama-e-Batin Mai gumane jalva-e-Zahir gaya
Teri Marzi Paa gaya Suraj Fire Ulte kadam
Teri Ungali uth gaee Mah ka kaleja chir gaya
Teri Rehmat se Safee-u-llah ka Beda paar tha
Tere Sadke Mai Naji-u-llah ka bajra tir gaya
Teri Aamad thi ke Baytullah Mujre ko juka
Teri Haibat thi ke har boot Thar Thara kar gir gaya
Momeen Un ka kya hua Allah Us ka Ho gaya
Kafeer un se kya fira Allah hi se fir gaya
Muj ko Deevana Batate ho mai vo hushyar hu
paao jab tauf-e-Haram mai Thak gae sar Fir gaya
Rehmatul-lil-Alami Aafat mai hu kaisi karu
Mere Maula Me To is dil se bala mai gir gaya
Mai Tere Hatho ke sadke kaisi kankariya thi vo
Jinse Itne Kafeero ka Daf'atan Muh Fir gaya
Kyu Janab-e-Bu Huraira Tha Vo Kaisa Jaam-e-Sher
Jis se Sattar Sahibo ka Dudh se Muh Fir gaya
Vasata Pyare Ka Esa Ho ke Jo Sunni Mare
Yu na Farmae Tere Shahid ke Vo Fajir gaya
Arsh Pe Dhumai mache Vo Momin-e-Saleh Mila
Farsh pe Matam Uthe Vo Tayyebo Tahir gaya
Thokarein Khate Firoge Un ke Dar Par Pad Raho
Kafila To Ae RAZA Avval gaya Akhir gaya
Comments
Post a Comment