Baag Jannat ke hein baher-e-Mad'ha khwane Ahle bait Lyrics
Baag Jannat ke hein baher-e-Mad'ha khwane Ahle bait
Tumko muzda naar ka ae dushmanan-e-Ahle bait
Kis zaban se ho bayan Izzo Shaane Ahle bait
Mad'hago e Mustafa hai Mad'ha khwane Ahle bait
Unki paaki ka khuda e paak karta hai bayaan
Aaya-e-Tat'heer se zaheer hai shaane Ahle bait
Mustafa izzat badhane ke liye Tazeem dein
Hein buland Iqbal tera doodh maane Ahle bait
Apna sauda bech kar bazar suna kar gaye
Kaun si basti basai Taajiran e Ahle bait
Ramz ka maidaan bana hai Jalwagah e husno ishq
Karbala mein ho raha hai intehane Ahle bait
Fool zakhmon ke khilaye hein hawa-e-dost ne
Khoon se sincha gaya hai gulsitane Ahle bait
Hoorein karti hein Aroosane shahadat ka singar
Khubroo dul'ha bana hai har jawan e Ahle bait
Jumma ka din hai kitabein zist ki tay kar ke aaj
Khel te hein jaan par shehzad-gane Ahle bait
Ae shabab-e-fasle ghul Ye chal gayee kesi hawa
Kat raha hai leh-lahata bustan-e-Ahle bait
Kis shaqee ki hai hukumat haaye kya andher hai
Din dahade lut raha hai karwane Ahle bait
Khushk ho jaa khak ho kar khaak mein mil ja Furaat
Khaak Tuj par dekh toh sukhi zabanein Ahle bait
Khaak par Abbaso Usmaan-e-Alam bardar hein
Be kasi ab kaun uthaye'ga nishane Ahle bait
Teri kudrat janwar tak aabse sehraab hein
Pyas ki shiddat mein tadpe be zaban-e-Ahle bait
Kafila salaar manzil ko chale hein sonp kar
Waaris-e-be'warisaan ko karwan-e-Ahle bait
Fatima ke ladle ka aakhri deedar hai
Hashr ka hangama barpaa hai mayan-e-Ahle bait
Wakt-e-Akhir keh raha hai khak mein milta suhag
Lo salam-e-Akhari Ae dewgane Ahle bait
Kis maze ki lazzatein hein aabe tayg-e-Yaar mein
Khaak khoon mein laut te hein tishnagane Ahle bait
Baag-e-Jannat chhod kar aaye hein Mehboob-e-Khuda
Ae zahe kismat Tumhari pushtagane Ahle bait
Hoorein be'parda nikal aayee hein sar khole hue
Aaj kaisa hashr hai barpa mayan-e-Ahle bait
Koi kyun puchhe kisi ko kya garaz Aye be-kasee
Aaj kaisa hai mareez-e-neem jaane Ahle bait
Ghar lutana jaan dena koi Tujse sikhle
Jaan-e-Alam ho fida Aye khandan-e-Ahle bait
Sar Shahidan-e-Muhabbat ke hein naizon par buland
Aur unchi ki khuda ne kadro shaane Ahle bait
Daulat-e-Deedar payee paak jaanein bech kar
Karbala mein khub hi chamki dukan-e-Ahle bait
Zakhm khaane ko , Tu'aab-e-Tayg pine ko diya
Khub dawat ki bula kar Dushmanan-e-Ahle bait

Ho gayi tehqeeq Eid-e-deed aab-e-Tayg se
Apne roze khaulte hein saeeman-e-Ahle bait
Ahle bait-e-Paak se gustakhiyan be'bakiyan
La'natullahi Alaykum dushmanan-e-Ahle bait
Be adab gustakh firke ko suna de Ae Hasan
Yun kaha karte hein Sunni Dastan-e-Ahle bait

Comments
Post a Comment