Posts

Showing posts from October, 2024

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics / मदीने के आक़ा, सलामुन अलैक / مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Image
madine ke aaqa ! salamun 'alaik madine ke aaqa ! salamun 'alaik do 'aalam ke daata ! salamun 'alaik zamee.n me.n muhammad, zamaa.n me.n muhammad makee.n me.n muhammad, makaa.n mein Muhammad har ek shay me.n jalwa rasool-e-KHuda ka salamun 'alayk, salamun 'alayk madine ke aaqa ! salamun 'alaik do 'aalam ke daata ! salamun 'alaik gunaaho.n ne gera . khataao.n ne gera musibat ne gera , balaao.n ne gera bacha lijiyega , bacha lijiyega salamun 'alayk, salamun 'alayk madine ke aaqa ! salamun 'alaik do 'aalam ke daata ! salamun 'alaik hamari bhi qismat banaado nabiji nasibaa.n bhi soya jagaado nabiji hame.n apna roza dikhaa-dijiyega hame.n fir madina bula lijiyega salamun 'alayk, salamun 'alayk madine ke aaqa ! salamun 'alaik do 'aalam ke daata ! salamun 'alaik na daulat talab hai , na shohrat talab ha...

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / حاجیوں مصطفیٰ سے کہ دینا

haajiyo.n ! mustafa se keh dena kamli waale ka naam le le kar be-sahaare salaam karte hei.n haajiyo.n ! mustafa se keh dena gham ke maare salaam karte he.n allah! allah! huzoor ki baatei.n marhaba ! rang-o-noor ki baate.n chaand jinki balaae.n leta hai aur sitaare salam karte hein zaaeer-e-taiba tu madine mein mere aaqa se itna keh dena pyaare aaqa rasool sun lijiye gham ke maare salam karte hein aye payaami ! meri qasam hai tuje 'arz karna rasool-e-akram se qalb-e-muztar ko hai huzoor tadap aur saare salam karte hein sabz-gumbad ka aankh mein manzar aur tasawwur mein aapka mimbar saamne jaaliyaa.n hein roze ki aur zahen se salaam karte hein allah! allah! Huzoor ke gesoo bhini-bhini mahekti wo khushbu jinse ma'moor hai f...

Aye Saba Mustafa se keh dena Lyrics / अये सबा मुस्तफा से कह देना / اے صبا! مصطفیٰ سے کہہ دینا

Image
aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n Naat-Khwaan: Haji Mushtaq Attari aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n yaad karte hei.n tumko shaam-o-sahar, dil hamaare salaam kehte hei.n allah ! allah ! huzoor ki baatei.n, marhaba rang-o-noor ki baatei.n chaand jin par nisaar hota hai, aur taare salaam kehte hei.n aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n jab muhammad ka naam aata hai, rahmato.n ka payaam aata hai lab humaare durood padte hei.n, dil humaare salaam kehte hei.n aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n allah ! allah ! huzoor ke gaisu, bheeni-bheeni mahakti wo khushbu jin se maa'mur hai faza har-soo, wo nazaare salaam kehte hei.n aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n zaaeer-e-taiba tu madine mei.n, pyaare aaqa se itna keh dena aap ki gard-e-raah ko aaqa ! be-sahaare salaam kehte hei.n a...

Sardare Auliya hein Mere Gaus Piya Jilani Lyrics / सरदार-ए-औलिया हैं मेरे गौस पिया जिलानी

sardaar-e-auliya he.n mere ghaus piya jilaani sardaar-e-auliya he.n mere ghaus piya jilaani wo mahboob-e-sub'haani shah-baaze la-makaani wo kindile noorani sardaar-e-auliya he.n mere ghaus piya jilaani tere jadd ki hai barwi ghaus-e-aa'zam mili hai tujhe gyaarwi ghaus-e-aa'zam koi unke rutbe ko kya jaanta hai muhammad ke hein jaa-nasheen ghaus-e-aa'zam sardaar-e-auliya he.n mere ghaus piya jilaani hamaari bhi lillah bigdi banaado ghulaamon ke tum ho mu'een ghaus-e-aa'zam hein gere hue chaar jaanib se dushman KHudaara bacha mera deen ghaus-e-aa'zam sardaar-e-auliya he.n mere ghaus piya jilaani chhupa le muje apne daaman ke niche ke gham ki gataayein uthein ghaus-e-aa'zam wo hai kaun sa unke dar ka bhikaari madadgaar jiske nahi.n ghaus-e-aa'zam sardaa...

Hind Nagar Ke Raja Main Tera Diwana Lyrics in English Hindi Urdu

hind nagar ke raja main tera diwaana hind nagar ke raja main tera diwaana jeete jee chhute na ye tera aastaana saara zamaana tere dar par aaye man ki muradein paaye jholi bhar jaaye aabaad rakhe moula tera ye maikhaana jeete jee chhute na ye tera aastaana shah-e-wilayat hai waliyon ka wali hai tere karam se meri baat bani hai khwaja piya tum meri laaj nibhaana jeete jee chhute na ye tera aastaana shaan hai teri khwaaja banda nawaazi tu jisse raazi khwaja rab usse raazi khwaaja hai tera lajpal gharaana jeete jee chhute na ye tera aastaana zahra ka pyaara aulaad-e-ali hai rukh pe tere khwaaja noor-e-nabi hai tujh pe fida hai khwaaja saara zamaana jeete jee chhute na ye tera aastaana naaz hai mujhko khwaaja tera gada hoon chaukhat pe teri khwaaja aan pada hoon chishti faqiron ka laga hai aana jaana jeete jee chhute na ye tera aastaana khwaaja rafaaqat ko bhi dar ye dikhaana ghaus-ul-wara ka sadqa mujhko bulaana qadmon main tere khwaaja jaan lutaana jeete jee chhute na ye tera aastana...

Jo Lamhe thay Sukoon ke Sab Madine mein guzaar aaye Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

jo lamhe the sukoon ke sab madine mein guzaar aaye jo lamhe the sukoon ke sab madine mein guzaar aaye dil-e-muztar watan mein ab tujhe kaise qaraar aaye khizan ko hukm hai takheer na ho taiba ki galiyon mein ijazat hai naseem aaye, saba aaye, bahar aaye ye basti ahl-e-dil ki aur deewano.n ki basti hai gaye jitne khirad nazaa.n, wo daman taar taar aaye jabee.n ho unke dar par, haath mein roze ki jaali ho ye lamhe zindagi mein aye KHuda phir baar baar aaye jabee.n hai inke qadmo.n mein, haath mein daman hai aaqa ka ye lamhe zindagi mein aye KHuda phir baar baar aaye gire hiin unke qadmo.n par, bose qadmo.n ke lete hein ye lamhe zindagi mein aye KHuda fir baar baar aaye qalam jab se hua hai kham adeeb aaqa ki mid'hat mein bade rangeen hue mazmoon, bade naksh-o-nigar aaye

Bulalo Sarkar Tum Apne Dar Par Lyrics / बुलालो सरकार तुम अपने दर पर / بلالو سرکار تم اپنے در پر

bulaalo sarkar tum apne dar par bulaalo sarkar tum apne dar par durood aap par salaam aap par karam ho ham par bhi banda-parwar durood aap par salaam Aap par wo sabz gumbad , sunaheri jaali lauta na koi wahaa.n se khaali banaado mera bhi ab muqaddar durood aap par salaam aap par na paas hai zar , na par he.n mere chalaa bhi jaata nahi.n hai mujse fir kaise pahunchu.n tumhare dar par durood aap par salaam aap par aayega ek din wo din suhaana yaqeenan hoga madine jaana padenge roze par sar juka kar durood aap par salaam aap par ye aarazu hai madine jaye.n pakad ke jaali ye keh sunaae.n bachaalo ham ko baroz-e-mahshar Durood Aap par Salaam Aap par बुलालो सरकार तुम अपने दर पर बुलालो सरकार तुम अपने दर पर दुरूद आप पर सलाम आप पर करम हो हम पर भी बंदापरवर दुरूद आप पर सलाम आप पर वो सब्ज़ गुम्बद सुनहरी जाली लौटा न कोई वहां से खाली बना दो मेरा भी अब मुक़द्दर दुरूद आप पर सलाम आप पर ना पास है ज़र्र , ना पर हैं मेरे चला भी जाता नहीं है मुझस...

Mere Aaqa Ki hai Shan Sabse Alag Lyrics / मेरे आक़ा की है शान सबसे अलग / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

mere aaqa ki hai shaan sabse alag mere aaqa ki hai shaan sabse alag jaise rutbe mein quraan sabse alag aaqa mere madani aaqa aaqa mere madani aaqa shaan-e-khayr-u- bashar, khaatam-ul-ambiya ek payambar, ek insaan sabse alag jaise rutbe mein quraan sabse alag mere aaqa ki hai shaan sabse alag​ aaqa mere madani aaqa aaqa mere madani aaqa shafkate be sabab rahmate be talab unki bakhshish ka unwaan sabse alag jaise rutbe mein quraan sabse alag mere aaqa ki hai shaan sabse alag​ aaqa mere madani aaqa aaqa mere madani aaqa 'arsh qadmo.n mein, payband poshaak mein hein do aalam ke sultaan sabse alag jaise rutbe mein quraan sabse alag mere aaqa ki hai shaan sabse alag​ aaqa mere madani aaqa aaqa mere madani aaqa unko dekha nahi fir bhi pehchaan lein meri aankho.n ka imaan sabse alag jaise rutbe mein quraan sabse alag mere aaqa ki hai shaan sabse alag​ aaqa mere madani aaqa aaqa mere madani aaqa unke dar ke gada ,sar pe taaj-e-ana hum fakiro.n ki pehchaan sabse alag jaise rut...

Hum ne Aankhon se dekha nahin hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर

Image
humne aankhon se dekha nahin hai magar humne aankhon se dekha nahin hai magar, unki tasweer seene mein maujood hai, jis ne la kar kalaam-e-ilahi diya, wo mohammad madine mein maujood hai hai nazar mein jamaal -e-habiib-e-KHuda, unki tasweer siine mein maujood hai, jis ne laa kar kalaam-e-ilahi diya, wo mohammad madine mein maujood hai humne aankhon se dekha nahin hai magar, unki tasweer siine mein maujood hai, jis ne la kar kalaam-e-ilahi diya, wo mohammad madine mein maujood hai, phool khilte hein pad karke salle-'ala, jhoom kar keh rahi hai baagh-e-saba, aisi khushboo chaman ke gulon mein nahin, jo nabi ke paseene mein maujood hai humne aankhon se dekha nahin hai magar, unki tasweer siine mein maujood hai, jis ne laa kar kalaam-e-ilahi diya, wo mohammad madine mein maujood hai chhodnaa tera taiba gawaara nahin, saare 'aalam mein ai...

Meri Ulfat Madine se yunhi nahi Lyrics / मेरी उल्फत मदीने से यूँहीं नहीं / میری الفت مدینے سے یوں ہی نہیں

meri ulfat madine se yu.nhi nahi.n Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri wo madina jo konain ka taaj hai jiska deedar momin ki me'raaj hai zindagi me.n KHuda har musalman ko woh madina dikha de to kya baat hai meri ulfat madine se yu.nhi nahi.n mere aaqa ka roza madine me.n hai mai.n madine ki jaanib na kaise khichu.n mera deen aur duniya madine me.n hai arsh-e-aa'zam se jiski badhi shaan hai roza-e-mustafa jiski pehchaan hai jiska ham-palla koi Mohalla nahi.n ek aisa mohalla madine me.n hai humko apni talab se siwa chahiye aap jaise he.n waisi 'ataa chahiye kyu.n kahu.n te 'ataa woh 'ataa chahiye aap ko ilm hai hamko kya chahiye aashikaan-e-nabi ke hai dil ki sada sabz gumbad ke saaye me.n ghar chahiye fir mujhe maut ka koi khatra na ho maut kya zind...

Mithro Mohammad Aayo Salle Ala sab gaayo Lyrics in English Hindi ~ Islamic Naat Lyrics

mithro muhammad aayo, salle 'ala sab gaayo bhali kare aaya, bhali kare aaya bhali kare aaya, bhali kare aaya baaraa rabi-ul-awwal ! Di hi bhalaaro aa paida kyo allah pajo, mahboob pyaaro aa mithro muhammad aayo, salle 'ala sab gaayo mithro muhammad aayo, salle 'ala sab gaayo daai halima bhaagan waari, bhaagan waari jehji jugi thei roshan saari, roshan saari sohne jie akh kholi, ilallah ji lile loree mithro muhammad aayo, salle 'ala sab gaayo bhali kare aaya, bhali kare aaya bhali kare aaya, bhali kare aaya baaraa rabi-ul-awwal ! Di hi bhalaaro aa paida kyo allah pajo, mahboob pyaaro aa mithro muhammad aayo, salle 'ala sab gaayo sab hi manaayo jashn-e-wiladat, jashn-e-wilaadat maula asaa.n te kei aa inaayat , kei aa inaayat  ummat laay thyo inaam aa, sab nabiyan jo imaam aa mithro muhammad aayo, salle 'ala sab gaayo bhali kare aaya, bhali kare aaya bhali kare aaya, bhali kare aaya baaraa rabi-ul-awwal ! Di hi bhalaaro aa paida kyo allah pajo, mahboob pya...

Sare Mehfil Karam itna Meri Sarkar ho jaye Lyrics / सर-ए-महफ़िल करम इतना मेरी सरकार हो जाए

sar-e-mahfil karam itna meri sarkaar ho jaye sar-e-mahfil karam itna meri sarkaar ho jaye nigahein muntazir reh jayein aur didaar ho jaye tasawwur mein teri har shay pe yun nazrein jamaata hoon na jaane kaun si shay mein tera didaar ho jaye ghulaam-e-mustafa ban kar mein bik jaaun madine mein nabi ke naam par sauda sar-e-bazaar ho jaye sambhal kar paaon rakhna haajiyon! shehre madina mein kahin aisa na ho saara safar bekar ho jaye main ghum itna toh ho jaaun teri zaat-e-aali mein jo aankhein band ho jayein tera didaar ho jaye सर-ए-महफ़िल करम इतना मेरी सरकार हो जाए सर-ए-महफ़िल करम इतना मेरी सरकार हो जाए निगाहें मुन्तज़िर रह जाएं और दीदार हो जाए तसव्वुर में तेरी हर शय पे यूँ नज़रें जमाता हूँ ना जाने कौन सी शय में तेरा दीदार हो जाए ग़ुलामे मुस्तफ़ा बन कर मैं बिक जाऊं मदीने में नबी के नाम पर सौदा सारे बाज़ार हो जाए संभल कर पाँव रखना हाजियों! शहर-ए-मदीना में कहीं ऐसा ना हो सारा सफर बेकार हो जाए मैं ग़म इतना तो हो जाऊं तेरी ज़ाते...

Muzda Bad Aye Aasiyo Shafe e Shahe Abrar hai Lyrics

muzda-baad aye aasiyo.n ! shaafe'-e-shah-e-abraar hai teheniyat aye mujrimo.n ! zaat-e-KHuda gaffar hai chaand shak ho, ped bolein, jaanawar sajda karein barakallah marja-e-aalam yahi sarkaar hai jinko soo-e-aasama.n faila ke jal thal bhar diye sadqa un haatho.n ka pyaare humko bhi darkaar hai gore-gore paao.n chamka do KHuda ke waaste noor ka tadka ho pyaare ghor shab ki taar Hai tere hi daaman pe har aasi ki padti hai nazar ek jaan-e-be-khata par do-jahaa.n ka baar hai rahamatullil aalami.n teri duhaaee dab gaya ab to maula be tarha sar par gunaaho.n ka baar hai gunj gunj utthe hein nagmaat-e- raza ze bostaa.n kyu.n na ho kis phool ki mid'hat mein waaminkaar hai

Karam jo Mujhpe kiya haji piya ne Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

karam jo mujhpe kiya haaji piyaa ne karam jo mujhpe kiya haaji piyaa ne mujhe apna banaaya haaji piyaa ne unke dar pe humne jo bhi maanga hamein rab se dilaaya haaji piyaa ne mujhko hargiz na koi jaanta tha mujhe kaisa chamkaaya haaji piyaa ne dene ki dair hai, na dilaane ki dair hai haaji piyaa ko honth hilaane ki dair hai uth jaaeingi abhi abhi, gardish ki aandhiyaa.n haaji piyaa ka naara lagaane ki dair hai mehfil mein aaj aaenge, hasnain dekhna  are, haaji piyaa ko dil se bulaane ki dair hai unke dar pe humne jo bhi maanga hamein rab se dilaaya haaji piyaa ne karam jo mujhpe kiya haaji piyaa ne mujhe apna banaaya haaji piyaa ne

Tera Khawan Main Tere Geet gawan Ya Rasool Allah Lyrics / तेरा खावां में तेरे गीत गावां या रसूलल्लाह

tera khaawaa.n mai.n tere geet gaawaa.n ya rasulallah ! tera khaawaa.n mai.n tere geet gaawaa.n ya rasulallah ! tera milaad mai.n kyu.n naa manawaa.n ya rasulallah ! haliima kar kadi wekhe, kadi sarkaar nu.n wekhe mai.n kedi sej tere laii sajawaa.n ya rasulallah ! tera milaad mai.n kyu.n naa manawaa.n ya rasulallah ! mera dil wi choh.nda aye, tusi mere wi ghar aao mai.n kede maan thi tennu.n bulaawaa.n ya rasulallah ! tera milaad mai.n kyu.n naa manawaa.n ya rasulallah ! jagaao bhaag mere wi abu ayyub de wagoo.n muqaddar oas da kitthu.n le aawaa.n ya rasulallah ! tera milaad mai.n kyu.n naa manawaa.n ya rasulallah ! mai.n kuchh wi naii.n che tere naal meri koii nisbat nai.n mai.n sab kuchh haa.n ch mai.n tera sadawaa.n ya rasulallah ! tera milaad mai.n kyu.n naa manawaa.n ya rasulallah ! suna hai aap har aashiq ke g...

Ya Rasulallah Tere Dar ki Fazaon Ko Salam Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

ya rasool allah tere dar ki fazaao.n ko salaam ya rasool allah tere dar ki fazaao.n ko salaam gumbad-e-khazra ki thandi thandi chhaao.n ko salaam masjid-e-nabwi ke sub'ho.n aur shaamo.n ko salaam ya nabi ! tere gulaamo.n ke gulaamo.n ko salaam jo madine ki gali kucho.n mein dete hein sada un fakiro.n, raahgiro.n, aur gadaao.n ko salaam waalehaana jo tawaaf-e-roza-e-aqdas kare mast-o-be-khud wajd karti un hawaao.n ko salaam jo pada karte hein roz-o-shab tere darbaar mein pesh karta hai zahoori un salamo.n ko salaam

Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है

Image
wo mera nabi mera nabi mera nabi hai Naat-Khwaan: Zohaib Ashrafi Laiba Fatima wo jiske liye mahfil-e-kaunain saji hai firdaus-e-bari jiske wasile se bani hai wo haashmii makki madani ul 'arabii hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai ahmad hai mohammad hai wah KHatm-e-rasuul hai maKHduum o murabbii hai wahi vaalii-e-kul hai us par hi nazar saare zamane ki lagi hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai wash-shams o wad-duHa chehra-e-anwar ki jalak hai wal-layl saza gesuu-e-hazrat ki latak hai 'aalam ko ziya uske wasile se mili hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai allah ka farman "alam-nashrah la-ka sadrak" mansuub hai "wa-raf'aana la-ka zikrak" jis zaat ka quraan me.n bhi zikr-e-jalii hai wo mera nab...

Ek Main hi nahi Un par Qurban Zamana hai Lyrics / एक मैं ही नहीं उन पर क़ुर्बान ज़माना है

ek main hi nahin un par qurbaan zamaana hai ek main hi nahin un par qurbaan zamaana hai jo rabb-e-do aa'lam ka mahboob yagaana hai kal pul se hamein jisne, khud paar lagaana hai zahra ka wo baaba hai, hasnain ka naana hai ek main hi nahin un par qurbaan zamaana hai jo rabb-e-do aa'lam ka mahboob yagaana hai aao dar-e-zahra par failaaye hue daaman hai nasl kareemon ki, lajpaal gharaana hai ek main hi nahin un par qurbaan zamaana hai jo rabb-e-do aa'lam ka mahboob yagaana hai izzat se na mar jaayein, kyun naam-e-muhammad par yunhi kisi din humne duniya se toh jaana hai ek main hi nahin un par qurbaan zamaana hai jo rabb-e-do aa'lam ka mahboob yagaana hai sarkaar-e-madina ki hun pasht-e-panaahi mein duniya ki hai kya parwaah, dushman jo zamaana hai ...

Dhadkano Tum hi kaho waqt wo kaisa hoga Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

dhadkano.n ! tum hi kaho waqt wo kaisa hoga dhadkano.n ! tum hi kaho waqt wo kaisa hoga saamne aapke jab gumbad-e-khazra hoga aye ajal ! tujhko bhi us waqt thaherna hoga jab mere hontho.n pe zikr-e-shah-e-bat'ha hoga jaae dozakh ki taraf sarwar-e-aalam ka gulam kaise ye josh-e-mashiyyat ko gawaara hoga aa idhar rooh ki har teh mein samo lu.n tujhko aye hawa ! tune to sarkar ko dekha hoga laakh tum umar ibaadat mein guzaaro lekin wo jise chaahenge sajda wohi sajda hoga unka paikar hu.n mujhe khauf nahi.n mehshar mei.n mere sarkar ka daaman mera parda hoga

Wo hai Mera Nabi Kamli wala Nabi Lyrics / वो है मेरा नबी, कमली वाला नबी / وہ ہے میرا نبی، کملی والا نبی

wo hai mera nabi, kamli waala nabi zamee.n tera daaman bhi padh jayega kam wo sarwar ki taazeem likh na sakenge ya saato.n samundar bhi ban kar siyaahi muhammad ki ek meem likh na sakenge 'ishq mein khud KHuda keh raha hai yahi hai KHudai ka meri ujaala nabi wo hai mera nabi, kamli waala nabi rehbar-e-deen hai, jaan-e-imaan hai jispe naazil kiya maine qur'aan hai saltanat mein nabuwwat ki sultaan hai hashr mein aasiyo.n ka nigehbaan hai us 'arab ke sawariya ki kya shaan hai jispe saare payambar bhi qurbaan hai wo hai mera nabi kamli waala nabi jisne faako.n mein reh ke bhi sajde kiye dushmano.n se bhi na jisne shikwe kiye deen ke naam pe ghar ka ghar de diya karbala mein nawaase ka sar de diya wo hai mera nabi kamli waala nabi jisne baatein sahi.n, jisne faaka saha shehr-e-taahef mein bhi khoon jiska baha ...

Farsh se ta arsh hein sare nazare aapke Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

farsh se ta arsh hein saare zamaane aapke farsh se ta arsh hein saare zamaane aapke saari duniya aur hein, makhfi khazaane aapke raasta takti rahi.n unki nigaahein aapka haath chume hein rasoolon ki dua ne aapke markaz-e-noor-o-nazar hein, aap ke gaar-o-mazaar sab thikaanon se azee.n-tar hein thikaane aapke aapki yaado.n mein gum rehta hai anjum raat-din khwaab aate hein ise aksar suhaane aapke

Dekar khuda ko jaan ki Kimat kharid li Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

dekar KHuda ko jaan ki qeemat kharid li dekar KHuda ko jaan ki qeemat kharid li har aashiq-e-rasool ne jannat kharid li aaqa ne apni zindagi gurbat mein kaat kar duniya ke har garib ki gurbat kharid li asgar ke us tabast mein masoom par nisar jisne yazidiyo.n ki hukumat kharid li jisne nabi ki yaad ko dil mein basa liya samjo ke usne khuld ki raahat kharid li so baar us diwaana-e-sarkar ko salaam jis se zubaida bibi ne jannat kharid li mash-hoor kar diya mujhe aaqa ki naat ne maine nabi ki naat se shohrat kharid li najdi ko haaye sharm ye bilkul muhal hai shaitaan ne har ek ki gairat kharid li mairaj-e-mustafai pe qurbaan jaaiye jisne zameen ke wast azmat kharid li allah ne mustafa ki raza ke liye asad baazar-e-mustafai se ummat kharid li

Durood lab par Khayal dil mein Lyrics / दुरूद लब पर, खयाल दिल में / درود لب پر، خیال دل میں

durood lab par, khayal dil mein durood lab par, khayal dil mein aur ashq aankho.n mein aa rahe hein huzoor ke dar pe ja rahe hein, to is karine se ja rahe hein rasool-e-akram zameen-e-rab par, kisi tarha gham nibha rahe hein jahaan-e-taarik mein lahu se, charag-e-ulfat jala rahe hein charag tera hai noor tera, badan bhi tera lahu bhi tera ye sab teri milkiyat hai aaqa ! ke hum to karza chuka rahe hein hum apni nafsaaniyat ke chakkar tumhara haq kya ada karenge bas ek tumhara karam hai aaqa ! ke jis pe taqiya laga rahe hein main dair se aa sakunga aaqa ! gunaah ki gathriyaa.n lagi hein bas teri rahmat ke aasre par qadam qadam badte ja rahe hein janaab-e-aadam bhi keh rahe hein madad kisi aur dar se maango kaleem-o-isa bhi mere aa...

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا

Here is Full Lyrics of Madani Sehra "Fazl-e-Rabb-e-Paak se Beta mera Dulha bana" in English, Hindi and Urdu written by Maulana Ilyas Attar Qadri, naat khwan Hafiz Tahir Qadri fazl-e-rabb-e-paak se, beta mera dulha bana dulha bana  dulha bana  dulha bana  dulha bana  fazl-e-rabb-e-paak se , beta mera dulha bana khushnuma khushrang phoolo.n ka hai sar sehraa sajaa dulha bana  dulha bana  inko khushiyaa.n do Jahaa.n me.n tu ataa kar kibriyaa ! inpe ranj-o-gham ki na chhaye kabhi kaali ghata dulha bana  dulha bana  tu sadaa rakhna salaamat inka jhoda ya KHuda ! koi bhi jagda na ho , aapas me.n , aye rabb-ul-ula ! dulha bana  dulha bana  meethe meethe ho.n madine ke inhe.n munne 'ataa meethi meethi ho.n madine ki inhein munniyaan 'ataa waasta ya rabb ! madine ki mubaarak khaak ka dulha bana  dulha bana  is tarha mehka kare ye gh...

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika Lyrics / All Versions / या नबी सलाम 'अलैक या रसूल सलाम 'अलैक

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics / मदीने के आक़ा, सलामुन अलैक / مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ