Wo hai Mera Nabi Kamli wala Nabi Lyrics



Zameen Tera daman bhi padh jayega kam
Wo Sarwar ki Tazeem likh na sakenge
Ya Saton Samundar bhi ban kar siyahi
Muhammad ki ek Meem likh na sakenge

Ishq mein khud Khuda keh raha hai yahi
Hai Khudai ka Meri ujala nabi
Wo hai Mera Nabi Kamli wala Nabi


Rehbare Deen hai Jaane Imaan hai
Jispe nazil kiya Meine Qur'an hai
Saltanat mein Nabuwwat ki Sultan hai
Hashr mein aasiyon ka nigehban hai
Us Arab ke Sawariya ki kya Shan hai
Jispe sare Payambar bhi qurban hai
Wo hai Mera Nabi Kamli wala Nabi

Jisne faakon mein reh ke bhi sajde kiye
Dushmanon se bhi na jisne shikwe kiye
Deen ke naam pe ghar ka ghar de diya
Karbala mein nawase ka sar de diya
Wo hai Mera Nabi Kamli wala Nabi

Jisne Baatein sahin Jisne Faaka saha
Shehre Tahef mein bhi khun jiska baha
Har sitam seh gaya Deeno Haq ke liye
Naam par Mere jisne nawase diye
Jis se qayam hui shane Insan hai
Haan wohi donon Aalam ka Sultan hai
Sabse Aakhir mein aaya aur Awwal hua
Martaba jiska kaabe se afzal hua
Wo hai Mera Nabi Kamli wala Nabi

Lakh Meri Ibadat mein mashgul hai
Fir bhi bande Teri ye badhi bhul hai
Shane Mehboob se gar Tu gafil raha
Lakh Aalim hai Tu fir bhi jahil raha
Honge maqbool na Tere sajde Mujhe
Mera farman hai sun Ae Bande Mere
Jiske lab pe bhi hoga Muhammad ka naam
Aese Bande pe kar dunga dozakh haram
Wo hai Mera Nabi Kamli wala Nabi

Jis se Pyare Ali ko Shuja'at mili
Bu-Bakar ko bhi jis se Sadaqat mili
Pyare Usman ko meri chahat mili
Aur Umar ko bhi Imaan ki daulat mili
Jis se charon Khalifa mahobbat karein
Khuld pe jis ki beti hukumat kare
Wo hai Mera Nabi Kamli wala Nabi

Cand tukde hua , Duba Suraj ugha
Sangarezon ne bhi jiska kalema padha
Ek hi kya saare aalam ko bakhshunga mein
Jiske sadqe mein aadam ko bakhshunga mein
Wo hai Mera Nabi Kamli wala Nabi

Sar sitam ka bhi aakhir jhuka hi diya
Usne kalma Umar ko padha hi diya
Bu-jahel ghar ka tha dar-badar ho gaya
Jisne kalema padha mo'atabar ho gaya
Wo hai Mera Nabi Kamli wala Nabi

Har gunah har khata bakhshwaega jo
Aasiyon ko bhi jannat dilayega jo
Garmi-e-Hashr se bhi bachaega jo
Apni ummat pe kamli udhaega jo
Wo hai Mera Nabi Kamli wala Nabi

Zikr se jiske har qalb ma'moor hai
Mera Mehboob hai wo Mera noor hai
Fikre Ummat mein rota raha umar bhar
Jo chatai pe sota raha umar bhar
Wo hai Mera Nabi Kamli wala Nabi

Fikre ummat mein na soya wo Mera Mehboob hai
Ashkon se daman jo dhoya wo Mera Mehboob hai
Jo har ek sajde mein kehta Rabbe Habli Ummati
Uthke jo raaton ko roya wo Mera Mehboob hai

Jiske apnon ne jisko sataya bahot
Shehre Makka mein jo dukh uthaya bahot
Jiske sadqe mein Rehmat ka zeena bana
Jiske aane se Yasrab Madina bana
Wo hai Mera Nabi Kamli wala Nabi

Falak ke haseen chand Taaron se puchho
Zameen ke ye rangeen nazaron se puchho
Ye Kaliyan ye Phoolon ye Baharon se puchho
Samandar se puchho kanaron se puchho
Ke jaa jaa ke Deeni Adaron se puchho
Ye Qur'an ke Teeson paaron se puchho
Wo Makke pe chhayee gataon se puchho
Madine ki dilkash hawaon se puchho
Jo qurban hui un nigahon se puchho
Wo Dayi Haleema ki bahon se puchho
Ali Murtaza ki suja'at se puchho
Abu Bakr ki wo Sadakat se puchho
Wo Usman Gani ki mahobbat se puchho
Umar ki wo be lo chahat se puchho
Gausul Wara ki ada'at se puchho
Wo Khwaja Piya ki karamat se puchho
Har ek auliya ki wilayat se puchho
Ae Bandon zara jaake Jannat se puchho
Duroodon ke nagme lutane lagegi
Har ek she'a se aawaz aane lagegi
Wo hai Sab ka nabi Kamli wala Nabi

Kahin baaton mein bhi ye Raaz poshida nahin milta
Kahin dariya muyassar hai kahin katra nahin milta
Karodon Masjidein hein aur karodon hein namazi bhi
Husain ibne Ali se ab kahin Sajda nahin milta
Khuda ki maar hai un par ya unki badnaseebi hai
Wo andhe hein jinko Sarkar ka jalwa nahin milta
Wo hai Sab ka nabi Kamli wala Nabi

Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu