Skip to main content

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics


Kamli wale ka Naam le le kar
Be-Sahare Salam karte hein
Hajiyon Mustafa se keh dena
Gham ke mare Salam karte hein

Allah Allah Huzur ki Baatein
Marhaba Rango Noor ki Baatein
Chand Jinki Balayein leta hai
Aur Sitare Salam karte hein

Zahire Tayba Tu Madine mein
Mere Aaqa se itna keh dena
Pyare Aaqa Rasool sun lijiye
Gham ke mare Salam karte hein

Aye Payami Meri Kasam hai Tuje
Araz karna Rasoole Akram se
Qalbe Muztar ko hai Huzur tadap
Aur Sare Salam karte hein

Sabz Gumbad ka Aankh mein Manzar
Aur Tasawwur mein Aapka Mimbar
Samne Jaliyan hein Roze ki
Aur Zahen se Salam karte hein

Allah Allah Huzur ke Gaisu
Bhini Bhini mahekti Wo khushbu
Jinse Ma'moor hai fiza har soo
Wo Nazare Salam karte hein

Jalwa Gahe Shahe Anam hai
Unke Roze ka Aheteram hai
Ummati jhum jhum kar Tumko
Rab ke Pyare Salam karte hein

Jab Muhammad ka Naam aata hai
Rehmaton ka Payam aata hai
Lab Hamare Durood padte hein
Dil Hamare Salam karte hein

Zikr tha Aakhari Mahine ka
Chhid gaya Tazkira Madine ka
Sabz Gumbad ko Aaj bhi Anwar
Chand Taare Salam karte hein

Teri Furkat mein bekarar hai Jo
Hijre Tayba mein Dil-Figar hai Jo
Wo Talabghar bhi ro ro kar
Aye Meri Jaan Salam karte hein

Aye Khuda ke Habeeb Pyare Rasool
Ye Hamara Salam kijiye kubul
Aaj Mehfil mein Jitne Hazir hein
Milke Sare Salam karte hein

Popular posts from this blog

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Lyrics

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Wa ala Aalihi Wa ASahbihi Wa Barik Wa Sallim Sabse Ula wa Aala Hamara Nabi Sabse bala wa Wala Hamara Nabi Apne Maula ka Pyara Hamara Nabi Donon Aalam ka Dulha Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Wa ala Aalihi Wa ASahbihi Wa Barik Wa Sallim Lakhon aaye yahan aur lakhon gaye Unche Unche Shahenshah yaha na rahe Kitne diye jale jalke fir buj gaye Kya khabar kitne Taare khile chhup gaye Par na dube na duba Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Wa ala Aalihi Wa ASahbihi Wa Barik Wa Sallim Jinke Talwon ka dhowan hai Aabe Hayat Hai Wo Jaane Masiha Hamara Nabi Khalk se Auliya Auliya se Rusool Aur Rasoolon se aala Hamara Nabi Kaun deta hai dene ko Munh chahiye Dene wala hai saccha Hamara Nabi Ghamzadon ko Raza Muzda dijiye ke hein Bekason ka Sahara Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Wa ala Aalihi Wa ASahbihi Wa Barik Wa

Shahe Do alam Salam Assalam Lyrics

Shahe Do alam Salam Assalam  Garibon ke hamdam salam Assalam Karo door har gham Salam Assalam Har aankh hoke purnam salam Assalam Shahe Do alam Salam Assalam  Garibon ke hamdam salam Assalam Rabb ne bade pyar se me'raaj mein kaha Rehne do na'layn ko aa jaao mustafa Kadam e Muhammad ko liya arsh ne bosa Jhum uthe sare malaik w marhaba Mange jo nabi rabb ne wo diya Rabb ne jo diya nabi ne wo liya Jhuka arsh e Aazam Salam Assalam Shahe Do alam Salam Assalam  Garibon ke hamdam salam Assalam Aap ne jo kar diya ungali ka ishara Chaand do tukde hua kurban ho gaya Jab namaz e asar ali ki hui kaza Aap ne suraj ko dubara palat diya Aap jo kiye mo'ajaze bane Aap jab chale do jahan juke Mera sar bhi hai kham Salam Assalam Shahe Do alam Salam Assalam  Garibon ke hamdam salam Assalam Ya nabi ab hind mein mushkil hua jina Nazre karam se hamen bulwayen madina Paas hamare na koi maalo zar hai Mujse badi door madine ka safar hai Der na karo jald

Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Lyrics || Hafiz Tahir Qadri

Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Hajj ka Sharaf ho fir ata Ya Rabbe Mustafa Meetha Madina fir dikha Ya Rabbe Mustafa Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Rukh Soo-e-Kaaba Hath mein Zamzam ka Jaam ho Pee kar karun Mein fir Dua Ya Rabbe Mustafa Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Roti rahe jo Har Gadi Ishke Rasool mein Wo Aankh de de Ya Khuda Ya Rabbe Mustafa Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Mere Maula Karam ho Karam Mere Maula Karam ho Karam De de Tawafe Khana-e-Kaaba ka fir Sharaf Farma Ye Pura Mudd'aa Ya Rabbe Mustafa Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Aankhon mein Jalwa Shah ka Aur Lab pe Naat ho Jab Rooh Tan se ho Juda Ya Rabbe Mustafa Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Firdos mein Pados