Meri Ulfat Madine se yunhi nahi Lyrics || मेरी उल्फत मदीने से यूँहीं नहीं || Hafiz Tahir Qadri
Roman (English) :
Wo Madina Jo Konain ka Taaj hai
Jiska Deedar Momin ki Meraaj hai
Zindagi mein Khuda Har Musalman ko
Woh Madina dikha de to Kya baat hai
Meri Ulfat Madine se yunhi nahin
Mere Aaqa ka Roza Madine mein hai
Mein Madine ki Jaanib na Kaise khichun
Mera Deen aur Duniya Madine mein hai
Arshe Aazam se Jiski badhi Shaan hai
Roza-e-Mustafa Jiski Pehchaan hai
Jiska Ham-palla Koi Maholla nahin
Ek Aesa Maholla Madine mein hai
Hamko Apni Talab se Siwa chahiye
Aap Jaise hein waisi ataa chahiye
Kyun kahun Ye ataa Woh ataa chahiye
Aap ko Ilm hai Hamko Kya Chahiye
Aashikaane Nabi ke hai Dil ki sada
Sabz Gumbad ke Saaye mein Ghar chahiye
Fir Muje Maut ka koi khatra na ho
Maut kya Zindagi ki bhi parwah na ho
Kash Sarkar Ek Baar Mujse kahein
Ab Tera Jeena Marna Madine mein hai
Meri Ulfat Madine se yunhi nahin
Mere Aaqa ka Roza Madine mein hai
Mein Madine ki Janib na Kaise khichun
Mera Deen aur Duniya Madine mein hai
Raatein bhi Madine ki Baatein bhi Madine ki
Jeene mein Ye Jeena hai Kya Baat hai jeene ki
Sarware Do Jahan se Dua hai Meri
Haan Yahi Chashme Tar Iltija hai Meri
Unki Fehrist mein Mera bhi Naam ho
Jinka Rozaana jaana Madine mein hai
Meri Ulfat Madine se yunhi nahin
Mere Aaqa ka Roza Madine mein hai
Mein Madine ki Janib na Kaise khichun
Mera Deen aur Duniya Madine mein hai
हिंदी (Hindi) :
वो मदीना जो कुनैन का ताज है
जिसका दीदार मोमिन की मेराज है
ज़िन्दगी में खुदा हर मुसलमान को
वो मदीना दिखा दे तो क्या बात है
मेरी उल्फत मदीने से यूँहीं नहीं
मेरे आक़ा का रोज़ा मदीने में है
में मदीने की जानिब न कैसे खीचूँ
मेरा दीं और दुनिया मदीने में है
अर्शे आज़म पे जिसकी बड़ी शान है
रोज़ा-इ-मुस्तफा जिसकी पहचान है
जिसका हमपल्ला कोई महोल्ला नहीं
एक ऐसा महोल्ला मदीने में है
हमको अपनी तलब से सिवा चाहिए
आप जैसे हैं वैसी अता चाहिए
क्यों कहूं ये अता वो अता चाहिए
आपको इल्म है हमको क्या चाहिए
आशिकाने नबी के है दिल की सदा
सब्ज़ गुम्बद के साये में घर चाहिए
फिर मुझे मौत का कोई खतरा न हो
मौत क्या ज़िन्दगी की भी परवाह न हो
काश सरकार एक बार मुझसे कहें
अब तेरा जीना मरना मदीने में है
मेरी उल्फत मदीने से यूँहीं नहीं
मेरे आक़ा का रोज़ा मदीने में है
में मदीने की जानिब न कैसे खीचूँ
मेरा दीं और दुनिया मदीने में है
रातें भी मदीने की , बातें भी मदीने की
जीने में ये जीना है, क्या बात है जीने की
सरवरे दो जहां से दुआ है मेरी
हाँ यही चश्मे तर इल्तिजा है मेरी
उनकी फेहरिस्त में मेरा भी नाम हो
जिनका रोज़ाना जाना मदीने में है
मेरी उल्फत मदीने से यूँहीं नहीं
मेरे आक़ा का रोज़ा मदीने में है
में मदीने की जानिब न कैसे खीचूँ
मेरा दीं और दुनिया मदीने में है
Comments
Post a Comment