Durood lab par Khayal dil mein Lyrics
Durood lab par Khayal dil mein
Aur Ashq Aankhon mein aa rahe hein
Huzur ke dar pe ja rahe hein
To is karine se ja rahe hein
Rasoole Akram Zameene Rabb par
Kisi Tarha gham nibha rahe hein
Jahane tarik mein lahu se
Charage ulfat jala rahe hein
Badan bhi Tera Lahu bhi Tera
Ye Sab Teri Milkiyat hai Aaqa
Ke Ham to karza chuka rahe hein
Ham apni nafsaniyat ke chakar
Tumhara haq kya ada karenge
Bas ek Tumhara karam hai Aaqa
Ke jis pe takiya laga rahe hein
Mein dair se aa sakunga aaqa
Gunah ki gathriyan lagi hein
Ba Teri Rehmat ke aasre par
Qadam qadam badte ja rahe hein
Janabe Aadam bhi keh rahe hein
Madad kisi aur dar se mango
Kaleemo Isa bhi Mere Aaqa
Tumhare janib hi aa rahe hein
Baroze Mehshar Tumhara Mujrim
Tumhare daman mein aake chhupta
Magar wahan Auliya jama hein
Jo shor sun sun ke aa rahe hein
Mein sakht mayus ho chuka tha
Ke Gause Azam pukar uthe
Mere Aaqa Mere Muridon ko
Jaane kab se bula rahe hein
Hamara gham khwar bhi hai koi
Kisi ko hamse bhi hai Mahobbat
Tumhari Naatein suna suna kar
Zamane bhar ko jata rahe hein
Teri gulami ki tabedari ko
Badshahi Mukabala hai
Ke Ba-yazeedo Junaid jaise
Sifarishein leke aa rahe hein
Tumhari Sarkar aala Shah mein
Hurufe Ashraf ki aabru kya
Wahan to Hassan Naat-khwan hai
Raza bhi nagme suna rahe hein
MashaAllah SubhanAllah
ReplyDelete