Falak se Duroodo Salam aa raha hai Lyrics || फलक से दुरूदो सलाम आ रहा है || Shahana Shaikh || Roman(ENG) & हिंदी (HINDI)


Roman(ENG):


Falak se Duroodo Salam aa raha hai
Zubaan par Muhammad Naam aa raha hai

Muje mil gayi hai Do Aalam ki Shaahi
Mera Unke mangto mein naam aa raha hai

Jo dastoore aakhir Ataa-e-Nabi hai
Wo ab tak zamaane ke kaam aa raha hai

Muyassar hua jisko Qurbe Ilaahi
Zameen par wo Aali Makaam aa raha hai

Shafaa-at ki jisko sanad hai samajlo
Wo kehde ke Mera gulaam aa raha hai

Maza jab hai Sarkaar Mehshar mein keh dein
Wo dekho Hamara gulaam aa raha hai

Falak se Duroodo Salam aa raha hai
Zubaan par Muhammad Naam aa raha hai






हिंदी (HINDI):



फलक से दुरूदो सलाम आ रहा है
जुबां पर मुहम्मद नाम आ रहा है

मुझे मिल गयी है दो आलम की शाही
मेरा उनके मंगतों में नाम आ रहा है

जो दस्तूरे आखिर अता-इ-नबी है
वो अब तक ज़माने के काम आ रहा है

मुयस्सर हुआ जिसको क़ुर्बे इलाही
ज़मीं पर वो आली मकाम आ रहा है

शफ़ाअत की जिसको सनद है समजलो
वो कहदे के मेरा गुलाम आ रहा है

मज़ा जब है सरकार महशर में कह दें
वो देखो हमारा गुलाम आ रहा है



More Miladunnabi Naat Lyrics:

Click For More Miladunnbi Naats

Comments

Post a Comment

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Aa gaya Ramzan hai Kalam lyrics by Bilal Qadri in English ~ Hindi

Aye Shahenshahe Madina Assalat-o-Wassalam || अये शहंशाहे मदीना अस्सलातु वस्सलाम || اے شہنشاہِ مدینہ ! اَصَّلَاتُ وَ اسّلَامْ