apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun    apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun      ya KHuda ! aabru rakh meri tu, teri hamd-o-sana kar raha hun         tu jo chahe to ban jaye qismat, mere sajdo.n ki kya hai haqiqat      teri chokhat pe sar ko jhuka kar, farz apna ada kar raha hun      apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun         maine duniya ka dekha nazaara, al-madad keh ke maine pukaara      mujhko apni panaho.n mein rakhna, bas yahi iltija kar raha hun      apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun         aaj mahfil mein baithe hein jitne, sab ke dil ki tamanna ho puri      sab ko haji bana de tu maula! main tadap kar dua kar raha hun      apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun         apne mahboob ka dar dikha de, mera soya muqaddar jaga de      lutf-e-duniya ko le aaj se mein, apne dil se jhuda kar raha hun      apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha ...