Naat-Khwan: Owais Raza Qadri Asif Attari Arif Attari haazir hai dar-e-daulat pe gada, sarkaar tawajjoh farmaaein haazir hai dar-e-daulat pe gada, sarkaar tawajjoh farmaaein mohtaj-e-nazar hai haal mera, sarkaar tawajjoh farmaaein main kab aane ke qaabil tha, rahmat ne yahaan tak pahunchaya sarkaar pe tan-man-jaan fida, sarkaar tawajjoh farmaaein aansu aansu hein fariyaadi, aur 'arz-e-karam hichki-hichki dhadkan-dhadkan deti hai sada, sarkar tawajjoh farmaaein ek main hi nahin puri ummat, sari duniya sari khalqat takti hai rasta rahmat ka, sarkaar tawajjoh farmaaein Same Lyrics with different styles: haazir hai dar-e-daulat pe gada, sarkaar tawajjoh farmaaein mohtaj-e-nazar hai haal mera, sarkaar tawajjoh farmaaein ...