Madine ka safar hai aur mein Namdeeda Namdeeda Lyrics

Madine ka safar hai aur mein Namdeeda Namdeeda
Zabeen afsurda afsurda Kadam Lagzida Lagzida

Chala hun ek mujrim ki tarha  Mein janib e Tayba
Nazar sharminda sharminda Badan Larzida LarzidaKisi ke hath ne mujko sahara de diya warna
Kaha mein aur kaha ye raste pechida pechida

Kaha mein aur kaha us roza e akdas ka nazara
Nazar us simt uthte hai magar duzdida duzdida

Gulamane Muhammad dur se pahechane jaate hein
Dil e girwida girwida sar e shorida shorida

Madine jaake ham samje Takaddus kisko kahete hein
Hawa pakiza pakiza faza sanjida sanjida

Basarat kho gai lekin basirat to salamat hai
Madina hamne dekha hai magar na deeda na deeda

Wohi Iqbal jisko naaz tha kal khushmijazi par
Firake Tayba mein raheta hai ab ranjeeda ranjeeda

Madine ka safar hai aur mein Namdeeda Namdeeda
Zabeen afsurda afsurda Kadam Lagzida Lagzida

Comments

Post a Comment

Facebook Page

Followers

Popular Naat Lyrics

Wo jiske liye Mehfile Konain saji hai Lyrics || Roman(Eng) and Hindi(हिंदी)

Shahe Do Aalam Salaam Assalaam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी (Hindi)

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)