mere tum khwaab mein aao mere ghar roshni hogi mere tum khwaab mein aao mere ghar roshni hogi meri qismat jagaa jaao inaayat ye badi hogi madine mujko aana hai ghame furkat mitaana hai kab aaqa-e-madina dar pe meri haazri hogi shahensha-e-madina do, tadapne ka kareena do wo aankh aaqa inaayat ho, ki jo ashkon bhari hogi banaalo apnaa diwaana, banaalo apnaa mastaana khazaane mein tumhaare kya kami pyaare nabi hogi ghame doori rulaata hai, madina yaad aata hai tasalli rakh aye diwane! teri bhi haazri hogi muje gar deed ho jaaye, to meri eid ho jaaye tera deedaar jab hoga, muje haasil khushi hogi khazaan ka sakht pehra hai, ghamon ka dhup andhera hai zara sa muskuraa doge, to dil mein roshni hogi ilahi! gumbade khazraa ke saaye mein shahaadat de meri laash unke kadmon mein na jaane kab padhi hogi hamein bhi izn mil jaaye shahaa qadmon mein aane ka na jaane kab...