Posts

Showing posts from October, 2015

Ushaaq ka hai pyara Sarkaar ka Madina Naat Lyrics

Ushaaq ka hai pyara Sarkaar ka Madina har aankh ka hai pyara Sarkaar ka Madina. Dekhi Sunehri jaali mehraab unka mimbar Jannat ka hai nazaara Sarkaar ka Madina. Gunmbad Minaar Unke kya khoob lag rahe hai Khulde bari ka naqsha Sarkaar ka Madina. Jis ko yaqeen na aye Taiba Woh Dekh aaye Jannat se jaise utra Sarkaar ka Madina. Daaman me hain Uhad ke turbat ye kya niraali Madfan me hai iske Hamza Sarkaar ka Madina. Waan Hajio ka Jaana Yaan aasiyon ka aana Hai kaabe ka bhi kaaba Sarkaar ka Madina Anwaar hai baraste Shaamo sahar yaha par hain kis qadar suhana Sarkaar ka Madina Sarkaar ki gali me gar maut aa gayi to Bakshish ka hai sahara Sarkaar Ka Madina Aye kaash maut humko Taibe nagar me aye Bane aakhri thikana Sarkaar ka Madina. Hasnain o Fatima ke Maula Ali ke Sadqe Rahe yun hi aana jaana Sarkaar ka Madina Rizwan ki dua hai Ahmad ki iltija hai Bane aankhri Thikana Sarkaar ka Madina. Jaau madine phir se ye aarzoo dili ha...

Hum khaak hai aur khaak hi maawa hai humara Naat Lyrics

Hum khaak hai aur khaak hi maawa hai humara Khaki toh woh Adam jade aala hai humara Allah hume khaak kare apni talab me Ye khaak toh sarkar se tamga hai humara Jis khaak pe rakhte the qadam Sayyid e Aalam Us khaak pe qurban Dil e Shaida hai humara Kham ho gayi pushte falak is ta’ne zameen se Sunn humpe Madina hai woh rutba hai humara Usne laqabe khaak Shehenshah se paaya Joh Haidar e Karraar ki Maula hai humara Aye muddaiyon khaak ko tum khaak na samjhe Is khaak me madfu Shah e Batha hai humara Is khaak se ta’meer Mazaar e Shah e Kaunain Ma’moor isi khaak se Qibla hai humara Hum khaak udaenge joh woh khaak na paayi Aabaad Raza jis pe Madina hai humara

Salatullah salamullah Naat Lyrics

Salatullah salamullah Ala Ta Ha Rasulillah Salatullah salamullah Ala Ya Sin Habibillah Tawassulna bi bismillah Wa bi’l Hādi Rasūlillah Wa kulli mujāhidin lillah Bi-Ahl il-Badri Ya Allah We seek a way with bismillah And with the guide, Rasulillah And all who strive in the way of Allah The people of Badr ya Allah Ilāhi sallim-il ummah Min al-āfāti wa’n-niqma Wa min hammin wa Min ghammin Bi-Ahl il-Badri Ya Allah Oh my Lord! Keep your people free From hardship and adversity From fear and sorrow and anxiety Through your love of the people of Badr Ya Allah Wa kam min rahmatin hasulat Wa kam min zillatin fasulat Wa kam min ni`matin wasulat Bi-Ahl il-Badri Ya Allah And oh! What mercy we have acquired How many misfortunes we’re made to avoid How great the blessings that have entered our lives Through your love of the people of Badr Ya Allah Wa salli `alā nabiyyil barr Bi-lā `addin wa la hasrin Wa āli sādatin ghurrin Bi-Ahl il-Badri Ya Allah Upon the sinless prophet blessings send Beyond all co...

Ae Rabbe jahan punjtan e paak ka sadqa Naat Lyrics

Ae Rabbe jahan punjtan e paak ka sadqa Iss qoum ka daman gham e shabir say bhar day. Bachoon ko aata ker Ali Asghar ka tabassum Burhoon ko Habib Ibn e Mazahir ki nazar day. Kamsin ko milay walwalaye auno Muhammad Har eik jawan ko Ali Akbar ka jigar day. Maoon ko sikha saniy e Zahra ka saliqa Behnoon ko Sakina ki dua’oon ka asar day. Maula tujhay Zainab ki asiri ki qasam hai Bay jurm asiroon ko rahai ki khabar day. Jo chadar e Zainab ki azadar hain mola Mehfooz rahein aisi khawateen kay parday. Jo deen kay kam aayein woh aulad aata ker Jo majlisay Shabir ki khatir ho woh ghar day. Muflis pay zaro lal jawahir ki ho barish Maqrooz ka har karz ada ghaib say ker day. Gham koi na day humko siwa e gham e Shabir Shabir ka gham bant raha hai to idhar dey. Aie Rab e jahan panjtan e pak ka sadqa Is kom ka daman gham e shabir say bhar day.

Wo charag e deen e muhammadi

Wo charag e deen e muhammadi Jis se duniya me ujaala hai Roshan jis ke dam se dil hain wo mera kamli wala hai Ummat ke liye har dukh ko saha Or sabr kiya har mushkil me Qurbaan nabi ji tum per hum Teri rehmat hum per aala hai Teri deed ki pyasi hai ummat Aye rab ke habeeb aye parda nasheen Teri deed ka hum ko pila sharbat Wo hi sharbat sab se nirala hai Sab taalib hain bakhshish e khuda Or teri rasaai jaante hain Is aalam me us aalam me Tumra hi to bol – baala hai Har ne’amat ka maalik Allah Wohi paalta hai Beshaq lekin Hum sadqey me jis ke palte hain Wo mera kamli wala hai ‘ Mehboob ‘ fida ho kyun na tere Aye noor e khuda mushkeel kusha Jab jab bhi pukara mushkeel me Rehmat ne tumhari sambhala hai

Mujhe do bheekh ulfat ki madine main chala aaun

Mujhe do bheekh ulfat ki madine main chala aaun Mere aaqa mera armaan yahi ab tak adhura hai Teri rehmat ka qatra paane wale tajdaron ki Teri azmat ka jalwa dekhne wale hazaron ki Teri midhat bayan karte karodon sukhanwaron ki Kalam chalti rahi lekin kalaam ab tak adhura hai Tere roza e aqdas ki tamanna rakhne walon ki Tere rozey ki jaali chum aayein un khayalon ki Sabhi sattar hazaron ki sabhi umeed walon ki Dua chalti rahi lekin dawam ab tak adhura hai Mere allah tere bande ki khwahish chhut na paye Tere mehboob ki nagri ki hasrat ruthh na paye Faqat tab tak meri saanson ki ladiyan toot na paye Duago hasratein meri muqam ab tak adhura hai Sabhi kaamon se afzal hai ghulami tere dar ki khoob Kahe fir kyun mujhe koi adhura hai tera mansoob Ghulami tere dar ki kaash mil jaye mujhe ‘mehboob’ Na keh paye koi tera ghulam ab tak adhura hai Mujhe do bheekh ulfat ki madine main chala aaun Mere aaqa mera armaan yahi ab tak adhura hai

Nabi ki naat me padh lun to koi baat nahi

Nabi ki naat me padh lun to koi baat nahi Wo naat sun ke jo khush hon to koi baat baney Log duniya me kahein mujh ko yun deewana to kya Jo kahein wo mujhe deewana koi baat baney Maine maana meri auqaat nahi hai ke chalun Ho ishaara chalun taibah to koi baat baney Main kahun mujh ko ghulamon ka ghulam apna karo Kahein manzur hai jo wo to koi baat baney Nahi bujhti hi nahi pyas meri hashrat ki Wo karein vaada e kausar to koi baat baney Maut ruk ja do ghari raah me hain mere Nabi Paoon deedar fir chalun to koi baat baney Dam e ‘ Mehboob ‘ nikal jaye padhtey Naat e Nabi Kaho aameen tum sabhi to koi baat baney

Nibhalo Tum Nibhalo Tum Nibhalo Ya RasoolAllah

Nibhalo Tum Nibhalo Tum Nibhalo Ya RasoolAllah Bulaalo Ab Madiney Mey Bulaalo Ya Rasool Allah Satatey Hain Jo Duniya Waley Is Ka Kuch Nahi Hain Gham Mujhey Bas Apna Keh Kar Tum Bulaalo Ya Rasool Allah Sunehri Jaaliyon Key Saamney Pohcha Hoon Mey Aaqa Mujhey Apni Ziyaarat Tum Karaado Ya Rasool Allah Meyri Qismat Buree Ho To Khudara Tum Bhalee Kardo Sanwaaro Meyri Qismat Ko Sanwaaro Ya Rasool Allah ‘Ataa Ho ‘Ilm Ki Daulat ‘Ataa Ho Deed Ki Daulat Damey Aakhir Madinah Bhi ‘Ataa Ho Ya Rasool Allah Shafa’at Ka Sawali Hoon Sawali Hoon Mey Rehmat Ka Ijaabat Sey Nawaazo Tum Nawaazo Ya Rasool Allah Mo’in-e-Raah-e-Taiba Hain Merey Khwaja Mo’inuddeen Mo’in-e-Raah-e-Jannat Bhi Banaado Ya Rasool Allah Tasadduq Ghaus e A’azam Ka Tawassul A’ala Hazrat Ka Baqee-e-Paak Key Qaabil Banaado Ya Rasool Allah Nigah-e-Mufti-e A’azam Ney Zindah Kardiya Dil Ko Unhee Ka Saath Mehshar Mey ‘Ataa Ho Ya Rasool Allah Tamanna Yeh Liye Jaata Hai Aaqa Shakir e Razvi Isey Izney Madinah Phir ‘Ataa Ho Ya...

Sarkar e dono aalam nazar e karam ho jaana

Sarkar e dono aalam nazar e karam ho jaana Aariz hoon aarzoo hai dar per mujhe bulana Dar tera chhod kar kyun mein ghairon ke paas jaun Manzur thokarein bhi galiyon me teri jaana Meri ik khata pe teri so so ataayein sarvar Beshaq karam ka tere shaidai hai zamana Kiye darkhaton ne sajde suraj palat ke aaya Tukdey huwa qamar fior kudrat pe teri jaana Turbat me jab andheri rukhsat karein kareebi Anwaar se fir apne meri kabr jagmagana Beshaq ho bekashon ke tum dastgeer aaqa Failaye aata daaman tere dar pe sab zamana Maidaan e hashr me jab khulne lagey kamai Ummat ki apni aaqa imdaad ko tum aana Badhne lagi hai meri din raat tishnagi ye Saaqi e hauz e kausar meri pyas ko bujhana Aaqa karam ki tere kar baarishein badon per Sarshar ishq se hon ‘ Mehboob ‘ or zamana

Shah e Madinah Mujh Ko Taibah Bulaa Liye Hain

Shah e Madinah Mujh Ko Taibah Bulaa Liye Hain Soyee Huwi Thee Qismat Aaqa Jagaa Diye Hain Qismat Pey Rashk Meyri Kartey Hain Sub Farishtey Phir Sey Madiney Mujh Ko Aaqa Bulaa Liye Hain Maanga Hai Jo Bhi Jab Bhi Uss Sey Siwa Milaa Hain Jholi Ko Sab Ki Bhar Key Aaqa Du’a Diye Hain Eyk Ko Mili Sadaqat Eyk Ko Mili ‘Adaalat Sadqey Unhee Ka Deydo Daaman Bichaa Diye Hain ‘Uthman ‘Ali Ka Sadqa ‘Ilm o ‘Amal ‘Ataa Ho Armaan Liye Yeh Dar Pey Bistar Jamaa Diye Hain Shakir Pey Jab Bhi Chaaye Huzn o Alam Key Baadal Aaqa Nibha Liye Hain Daata Bachaa Liye Hain

Aa gae muzda shafa’at ka sunanay wale,

Aa gae muzda shafa’at ka sunanay wale, Naar-e-dozakh se ghulamon ko bachanay wale. Hai muqaddar main bulandi hi bulandi apne, Hum tou hain kadmon main sar un k jhukanay wale. Kar k ehsaan jitaana yeh nahi shaan unki, Aur koi hon gai woh ehsaan jitaanay wale. Mar k pohancha jo lehed main tou nakeeron ne kaha, Marhaba na’at shah-e-deen ki sunanay wale. Tu jala sakti nahi sun le jahanam hum ko, Hum tou hain jashan-e-wilaadat kay mananay wale. Kash sarkaar sar-e-hashar kahain mujh se Obaid, Aa ja daaman main meri na’at sunanay walay.

KARAM GAUS E AAZAMKARAM GAUS E AAZAM

KARAM GAUS E AAZAMKARAM GAUS E AAZAM TUMHARE TASADDUQ BHARAM GAUS E AAZAM TUMHEN QASMEN DE KAR KHILATA HAI MAULA UTHATA HAI NAAZ O NE"AM GAUS E AAZAM WILAYAT KI ASNAD OUSEE KO MILEGI MILA JIS KI KHATIR QALAM GAUS E AAZAM AGISNA AGISNA AGISNA AGISNA GIRAFTAR E GUM HAI UMAM GAUS E AAZAM DIL E MUZTARIB KO MAYASSAR SUKOON HO AGAR DIL PE RAKH DO QADAM GAUS E AAZAM MUJHE BAAZ APNE NAHI KAHTE APNA TUMHIN KAH DO APNA, KARAM GAUS E AAZAM PANAH APNE DAMAN KI MUJH KO ATAA HO K DHATE HAIN AADAA SITAM GAUS E AAZAM MUREEDEE PE NAAZAN HAI SHAKIR NOORI MILA IS KO DAST E KARAM GAUS E AAZAM

Ban kay Nuuray KHUDA, Mustafa aagaey

Ban kay Nuuray KHUDA, Mustafa aagaey Marahaba Marhaba, Marhaba Marhaba Mustafa aagaey Marhaba Marhaba Mustafa aagaey Ujri dunya thi AAqa ney aabaad ki Her taraf dhuum Unkay hay Meelaad ki Sab kay Mushkil kusha, Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Ho gaey Nuur dunya kay zulmat tallay Jin kay aanay say Mao ko baytay millay Sarwar-e-Ambiyaa (A.S), Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Ban kay Nuuray KHUDA, Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Arsh per Jashan Jin ka manaaya gaya Sab Rasuulou (A.S) ko jiss may bulaaya gya Haa wohi Dil Ruba Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Ban kay Nuuray KHUDA, Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Ab na maa’yuus hoga sawaali koi Aaj Naasir na lotay ga khaali koi Muskura ay gada , Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Ban kay Nuuray KHUDA, Mustafa aagaey Mustafa aagaey, Mustafa aag...

Subho Meelade Nabi he kya suhana Noor he

Subho Meelade Nabi he kya suhana Noor he Agayaa wo noore waala jiska saara Noor he Aankh waalo aawo dekho maahe Tayba ki ziyaa Aasmaan ke chand me to peeka peeka Noor he Tu na hota, to na hota do jahaan ka intizaam Tu zameen ka noor he, tu asmaan ka Noor he Jisne jo kuch Noor payaa sub Teri Sarkaar se Noor ki Sarkaar ka to subse pehla Noor he Jistaraf ko ut?gayee aalam munaw?war hogaye Me Teri Aankho ke Sadqe in me kitna Noor he Mustafa ke noor me he Zaate Baari Jalwa ghar Mustafa ka Noor yoon kehte! Khuda ka Noor he Istaraf bi ek nighahe Noorale Noorala Me sarapaa ma?siyat hoon Tu sarapaa Noor he

Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi

Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi Jaisay Meray Sarkaar Hain Waisa Nahi Koi Tumsa Tou Haseen Aankh Ne Dekha Nahi Koi Ye Shaan-e-Latafat Hai Ke Saaya Nahi Koi Ye Toor Say Kehti Hai Abhi Tak Shab-e-Mairaj Sarkaar Ka Jalwa Hai Tamaasha Nahi Koi Hota Hai Jaha Zikr Muhammad(SalAllaho Alaih-e-Wa Sallam) Kay Karam Ka Uss Bazm Mein Mehroom Tamanna Nahi Koi Aizaaz Ye Haasil Hai Tou Haasil Hai Zamee Ko Aflaak Pe Tou Gumbad-e-Khizra Nahi Koi Sarkar Ki Rehmat Ne Magar Khoob Nawaza Ye Sach Hai Ke Khalid Sa Nikamma Nahi Koi

pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se

pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat tohfa ye mila hai sarkar-e-nabi se ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se darbare-nabi se bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-nabi se ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se darbare-nabi se irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar ye pooch le aake koi beemar-e-nabi se aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se darbar-e-nabi se pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se darbar-e-nabi se pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se darbar-e-nabi se

Aanay walo yay to bataao shehr e madina kesa he

Aanay walo yay to bataao shehr  e madina kesa he Sar un kay qadmon mayn rakh kar jukh kar jiina kesa he Gunbaday khazra kay sa-ay mayn beytth kay tum to aa-ay ho Uss sa-ay mayn rab kay aagay sajda karna kesa he Dil aankhayn or ruuh tumhari lagti heyn sehraab mujhay Dar pay un kay beytth kay zamzam piina kesa he Diiwano aankhon say tumharitna puuch to laynay do Waqt e dua rozay pay un kay aansu bahana kesa he Waqt e rukhsat dil ko apnay chhoarr wahaan tum aa-ay ho Yay batlaa-o ishrat un kay dar say bichharrna kesa he

Bhar do jholi meri ya Muhammad Naat Lyrics By Mushtak Qadry

Shah-e-Madeena suno ilteja Khuda ke liye Karam ho mujh pe Habeeb-e-Khuda Khuda ke liye Huzoor ghuncha-e-ummeed ab to khil jaaye Tumhaare dar ka gadaa hoon to bheek mil jaaye Bhar do jholi meri ya Muhammad Lautkar main na jaaunga khaali Tumhaare aastaane se zamaana kya nahin paata Koi bhi dar se khaali maangne waala nahin jaata Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena Tum zamaane ke mukhtaar ho ya nabi Bekason ke madadgaar ho ya nabi Sab ki sunte ho apne ho ya ghair ho Tum ghareebon ke gham-khwaar ho nabi Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena Hum hain ranj-o-museebat ke maare hue Saqt mushkil mein hain gham se haare hue Ya nabi kuchh Khudaara humein bheek do Dar pe aaye hain jholi pasaare hue Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena Hai mukhaalif zamaana kidhar jaaein hum Haalat-e-bekasi kisko dikhlaaye hum Hum tumh...

Ban kay Nuuray KHUDA, Mustafa aagaey

Ban kay Nuuray KHUDA, Mustafa aagaey Marahaba Marhaba, Marhaba Marhaba Mustafa aagaey Marhaba Marhaba Mustafa aagaey Ujri dunya thi AAqa ney aabaad ki Her taraf dhuum Unkay hay Meelaad ki Sab kay Mushkil kusha, Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Ho gaey Nuur dunya kay zulmat tallay Jin kay aanay say Mao ko baytay millay Sarwar-e-Ambiyaa (A.S), Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Ban kay Nuuray KHUDA, Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Arsh per Jashan Jin ka manaaya gaya Sab Rasuulou (A.S) ko jiss may bulaaya gya Haa wohi Dil Ruba Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Ban kay Nuuray KHUDA, Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Ab na maa’yuus hoga sawaali koi Aaj Naasir na lotay ga khaali koi Muskura ay gada , Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Ban kay Nuuray KHUDA, Mustafa aagaey Mustafa aagaey, Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Marahaba Marhaba ...

Aqa aqa bol banday aqa aqa bol

Aqa aqa bol banday aqa aqa bol Zikr nabi tu karta ja yay zikr barra anmol Aisa din bhi aaja-ay sarkar kay dar pay betthay ho Lab khamosh zubaan ban ja-ay aansu arza kartay ho Un kay dar pay ronay waalay, dil say kucch to bolol Sarkar e do aalam pyaray aqa jidhar say guzra kartay thay Shajr gawaahi dayta tha or pathar kalima partay thay Noor e khuda kay munkir ab to, apni aankhayn khol Aow chalo deewano saaray shehr e madinah chaltay heyn Mayri kya oqaat he sab hii un kay dar say paltay heyn Ghairon ko bhi daytay heyn, bin maangay bin mol Jab say hosh sambaala he meyn unki naatayn parta huun Gustaahi na ho ja-ay meyn sambal sambal kay chalta huun Maan ki dua-on ka sadqa, aisa mila maahol Rashid naatayn likhna parna yay he barra ihsan Un kay karm kay sadqay hii se unchi he parwan Naat e nabi tu suna-ay ja, kaano mayn rasghol

Amena bibi keh gulshan main, aa’i hai thaza bahaar

Amena bibi keh gulshan main, aa’i hai thaza bahaar Parthay hai Sallallahu wasallam, aaj dar-o-deewar Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu Allah Allah Allahu, la illaha illahu Baarah Rabbi ul awwal ko, aayah duur-e-yateem Maah-e-nabuwwat mehr-e-risalat, saahib-e-khulq-e-azeem Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu Allah Allah Allahu, la illaha illahu Hamid-o-Mahmood aur Muhammad , dow jaag ka sardaar Jaan seh hi pyaara raj dulaara, rahmat ka sarkaar Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu Allah Allah Allahu, la illaha illahu Yasin, Ta Ha, kamli waala, Qur’an kii tafseer Hazir-o-Nazir shahid-o-qaasiim, aaya sirajum munir Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu Allah Allah Allahu, la illaha illahu

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Kaba Dikha de Maula Maula Lyrics / काबा दिखा दे मौला मौला

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Labbayk Allahumma Labbayk Nasheed Lyrics / लब्बैक अल्लाहुम्मा लब्बैक / لبّیک اللّٰھم لبّیک / Lyrics

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / حاجیوں مصطفیٰ سے کہ دینا

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Taiba ke Jane wale ja kar bade adab se Lyrics / तैबा के जाने वाले जा कर बड़े अदब से / طیبہ کے جانے والے جا کر بڑے ادب سے

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर