Mujhe do bheekh ulfat ki madine main chala aaun

Mere aaqa mera armaan yahi ab tak adhura hai

Teri rehmat ka qatra paane wale tajdaron ki
Teri azmat ka jalwa dekhne wale hazaron ki
Teri midhat bayan karte karodon sukhanwaron ki
Kalam chalti rahi lekin kalaam ab tak adhura hai

Tere roza e aqdas ki tamanna rakhne walon ki
Tere rozey ki jaali chum aayein un khayalon ki
Sabhi sattar hazaron ki sabhi umeed walon ki
Dua chalti rahi lekin dawam ab tak adhura hai

Mere allah tere bande ki khwahish chhut na paye
Tere mehboob ki nagri ki hasrat ruthh na paye
Faqat tab tak meri saanson ki ladiyan toot na paye
Duago hasratein meri muqam ab tak adhura hai

Sabhi kaamon se afzal hai ghulami tere dar ki khoob
Kahe fir kyun mujhe koi adhura hai tera mansoob
Ghulami tere dar ki kaash mil jaye mujhe ‘mehboob’
Na keh paye koi tera ghulam ab tak adhura hai
Kahe fir kyun mujhe koi adhura hai tera mansoob
Ghulami tere dar ki kaash mil jaye mujhe ‘mehboob’
Na keh paye koi tera ghulam ab tak adhura hai
Mujhe do bheekh ulfat ki madine main chala aaun
Mere aaqa mera armaan yahi ab tak adhura hai
Mere aaqa mera armaan yahi ab tak adhura hai
Comments
Post a Comment