Aqa aqa bol banday aqa aqa bol


Aqa aqa bol banday aqa aqa bol
Zikr nabi tu karta ja yay zikr barra anmol

Aisa din bhi aaja-ay sarkar kay dar pay betthay ho
Lab khamosh zubaan ban ja-ay aansu arza kartay ho
Un kay dar pay ronay waalay, dil say kucch to bolol

Sarkar e do aalam pyaray aqa jidhar say guzra kartay thay
Shajr gawaahi dayta tha or pathar kalima partay thay
Noor e khuda kay munkir ab to, apni aankhayn khol

Aow chalo deewano saaray shehr e madinah chaltay heyn
Mayri kya oqaat he sab hii un kay dar say paltay heyn
Ghairon ko bhi daytay heyn, bin maangay bin mol

Jab say hosh sambaala he meyn unki naatayn parta huun
Gustaahi na ho ja-ay meyn sambal sambal kay chalta huun
Maan ki dua-on ka sadqa, aisa mila maahol

Rashid naatayn likhna parna yay he barra ihsan
Un kay karm kay sadqay hii se unchi he parwan
Naat e nabi tu suna-ay ja, kaano mayn rasghol

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Mere Muhammad Pyaare Bane hein Dulha || मेरे मुहम्मद प्यारे बने हैं दूल्हा || Qasida-e-Meraaj || Lyrics || Hafiz Tahir Qadri

Sare La-Makaan se Talab hui Lyrics | Balaghal Ula bi Kamalihi Lyrics / सर-ए-ला-मकाँ से तलब हुई

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics / मदीने के आक़ा, सलामुन अलैक / مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Hum ne Aankhon se dekha nahin hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا