Wo charag e deen e muhammadi

Wo charag e deen e muhammadi
Jis se duniya me ujaala hai
Roshan jis ke dam se dil hain
wo mera kamli wala hai
Ummat ke liye har dukh ko saha
Or sabr kiya har mushkil me
Qurbaan nabi ji tum per hum
Teri rehmat hum per aala hai
Teri deed ki pyasi hai ummat
Aye rab ke habeeb aye parda nasheen
Teri deed ka hum ko pila sharbat
Wo hi sharbat sab se nirala hai
Sab taalib hain bakhshish e khuda
Or teri rasaai jaante hain
Is aalam me us aalam me
Tumra hi to bol – baala hai
Har ne’amat ka maalik Allah
Wohi paalta hai Beshaq lekin
Hum sadqey me jis ke palte hain
Wo mera kamli wala hai
‘ Mehboob ‘ fida ho kyun na tere
Aye noor e khuda mushkeel kusha
Jab jab bhi pukara mushkeel me
Rehmat ne tumhari sambhala hai

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / حاجیوں مصطفیٰ سے کہ دینا

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics / मदीने के आक़ा, सलामुन अलैक / مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics / मौला या सल्ली व सलीम / مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Kaaba Dikhade Maula Maula Lyrics / काबा दिखा दे मौला मौला