Hum khaak hai aur khaak hi maawa hai humara Naat Lyrics



Hum khaak hai aur khaak hi maawa hai humara
Khaki toh woh Adam jade aala hai humara

Allah hume khaak kare apni talab me
Ye khaak toh sarkar se tamga hai humara

Jis khaak pe rakhte the qadam Sayyid e Aalam
Us khaak pe qurban Dil e Shaida hai humara

Kham ho gayi pushte falak is ta’ne zameen se
Sunn humpe Madina hai woh rutba hai humara

Usne laqabe khaak Shehenshah se paaya
Joh Haidar e Karraar ki Maula hai humara

Aye muddaiyon khaak ko tum khaak na samjhe
Is khaak me madfu Shah e Batha hai humara

Is khaak se ta’meer Mazaar e Shah e Kaunain
Ma’moor isi khaak se Qibla hai humara

Hum khaak udaenge joh woh khaak na paayi
Aabaad Raza jis pe Madina hai humara

Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu